Monday, February 16, 2009

Ardhang....

Lagbhag do hazar varsh pahile Tamil Mahakavi Elangovan ne, jo aek Boudh Bhikshu bhi the, ‘Shilappdikaram’ namak maha-kavya ki rachna ki jismen manviya smbandhon, aaur prem trikon ki baat hai…purush hai Vyavsayi Kovlan, do nariyan hain Madhavi (veshya) aaur Kannagi ( Kovlan ki patni). Madhavi kalantar men mansik avsad(depression) se grasit ho jati hai. Madhavi Elangovan ko apni baat kahti hai jo isi kavya par aadharit Amrit Lal Nagar ji ke upanyas ‘Suhag Ke Nupur’ ka samapan kathya hai. Prastut kavita Madhavi ke us kathan ko abhivyakt kar rahi hai.
____________________________________________________________________

Purush dambh aaur swarath ne
Papon ko kiya tha udit, Bhante !
Isi moodhta se peedit atishay
Manav ardhang tha vyathit, Bhante !

Dristi rahi aekangi nar ki
Sati ko aadar saka na de, Bhante !
Bana veshya athkhel kiye
Sukh tathapi saka na de, Bhante !

Purush swayam asthir budhi
Khata rahe jhankole ghor, Bhante !
Nyay rudan-krindan nari ashru
Agni jal parlay dway kathor, Bhante !

Kandhon Ka Sahara

Jindagi ki aapadhapi men
Daudte chalte the weh
Bina ruke
Bina thitke
Bina viram aaur vishram ke;
Akele unko hi
Dhona tha bojha jindagi ka…….

Thak gaye the jab
Hokar shaktivihin
To chalne lage the
Reng reng kar
Rook rook kar
Viram aaur vishram ke liye nahhin
Mazboori men……….
Dono hi halat men the
Ashant
Vyathit
Tanavgrast
Asurakshit……….

Magar dekho aaj
Chale ja rahe hain
Shant aaur pusrsukoon
Hokar sab chintaon se mukt;
Bilkul beparvah………….
Mila hain unhe
Kandhon ka sahara
Kahin chalne ke liye
Pahili aaur aakhri bar.