Friday, April 17, 2009

Bhookh Aaur Aasman......

Jamin par
Bikhre danon ko
Dekha tha jab
Udte hue
Parinde ne
Hua tha mehsoos
Kuchh usko
Samet li thi
Pankhe apni
Aaur utar
Aaya tha
Jamin par
Kahte hue:
Bhookh
Badi hai
Aasman se.........

Dard Ke Ehsason Ke Bina....

Benamak hai zindagi
Dard ke ehsason ke bina
Srijan ki bel ko
Rakhti hai hara
Anchahi si peeda……

Lag jati hai deemak
Aish-O-aaram ki
Chetna aaur samvedna ko
Rah jata hai
Bas khokhla sa insan…..

Suraj gar nahin doobta
Batao na
Andheri raat ke safe par
Kaun likh pata
Taron ki nazm………

Nahin chhate
Badra kajrare
Batao na
Kaisi sajati
Aasman par
Satrangi indradhanush…….

Dard ne rakha hai
Zindagi ko zinda
Batao na
Hamdardi na hoti agar
Insan kaise karta
Mehsoos
Noor khuda ka………..

Monday, April 13, 2009

Rishton Ke Rakhav Men III

Rishton ke
Rakhav men
Sahajta ka
Abhav Kyon ?

Radha ne
Kisun se
Neh lagaya tha,
Kanha ne
Us pawan prem ko
Hridaya se
Nibhaya tha,
Kisi ne dono ko
Mandap tale
Nahin bithaya tha,
Saptapadi ke
Samajik niyamon se
Nahin bandhaya tha,
Purna purush ne
Purna-nari ko
Atam-vat
Apanaya tha,
Krishan men thi
Vilin Radha, aaur
Radha men bhi
Kisana samaya tha,
Bhaktiyug ke
Kaviyon ne
Isi Prem ko
Apne geeton men
Gungunaya tha………………..

Nahin thakte hum
Japte hue naam
Radheyshyam ka,
Kya bhoola ja
Sakta hai wah
Manzar Brijdham ka,
Jahan raas hua tha
Brijkishori-Sundar Shyam ka,
Har mandir men
Hota hai darshan
Premi-yugal
Purna-vritul
Radheyshyam ka,
Vrindavan ke sang
Sumrin karte hain
Hum Barsana naam ka.
Chandan tilak
Shri Radha hai
Vishvapati
Saligram ka.

Paya tha samroop
Prabhu ke
Radhika aaradhika ne,
Gunjayman hai sarvatra
Madhur uchcharan
Radhey Radhey,
Bin radhey
Krishna hai aadhey.

Fir bhi sachche premiyon ke
Pragadh pavitra prem se
Samaj ka durbhav kyon……………?
Rishton ke rakhav men
Sahajta ka abhav kyon………….?

Imaan-O-Yakeen

Beej nahin karta hai
Parvah
Boote ke ugane ki
Boote ke phalne ki

Diya nahin hota hai
Fikramand
Suraj ke jalwa hone ka
Suraj ke doob jane ka

Hota hai Imaan-O-Yakin
Beej ka galne men
Diye ka jalne men……