Monday, September 29, 2008

Prakarti Aaur Paryavaran : Nayeda

Mein aksar maan se sambandhit vishayon par likhti hun. Prakriti aur paryavaran hamesha mere hriday aevam mastisk men rahten hai, par na jane kyon kabhi un bhavnaon ko shabd nahin diye. Muhammed Bhai ki 'Global Warming' par, aevam Sangeeta di ki 'Varkshon' par likhi rachnaon ne aevam apne aek aur saathi Vinuji ke
vicharon se bhi prerana mili aur natiza mera yah prayas hai.......thodi hichkichahat ke saath.
**********************************************************************

Hamari sansakriti
Ne prakriti ko
Prabhu ka hi roop mana hai
Humne Jal, Vayu, Vriksha,
Dhara, Gagan, Agni
Sabhi ko puja hai
Aur pujaten hai.
Ved mantron men
Prithvi Shanti,
Antriksh Shanti
Ka gunjan hota hai,
Har puja men haryali aur tazgi
Ka samavesh hota hai
Hawan agni ki sahayta se
Watawaran shudhu ka awahan hai.
Shastriya aevam lok sangeet
Dhavni pradushan ka sajeev jawab hai.
Fir hum shayad paschatya chakachoundh
Aur hamari swarathparta se grasit sochon
Ke karan hamari parmparaon
Ko bhul baithe hai.
Aur prayawaran aur prakriti
Ke virudh anjane men khade
Ho gayen hai aur
Daindin pradushan men apna
Moun yogdan de rahen hai.
Aao pun: apni parmparaon
Ko aaj ke sandarbh men dekhen
Aur aisa na karen jo paryawaran-santulan
ko nasht karta hai.
Aur karen aisa jo prakriti ko prasann kar
Paryavaran ko ullasit aur
Jiwant karta hai.
'GLOBAL WARMING'
Ka daitya attahas kar raha hai
Us-se ladne prabhu ka awatar
Hamari manobahvanaon men
Hona hai.............
Aur hamen pahal kar
Manvata ko us 'jalim'
Se bachana hai.

No comments: