Wednesday, June 10, 2009

Sarvottam Mitra (Best Friend) : Geeta Se-Nayeda

Geeta ka Shlok :

Uddharedatmanatmanam natmanamavasadayet !
atmaiva hytmano bandhuratmaiva ripuratmanah !!6/5!!

Whether one attains elevation or degradation through one's mind depends on oneself only, for the mind can be one's friend or one's foe.

******************************************************

Manuj kare utthan swayam ka,
Kare varjit adhipatan swayam ka,
Param mitra bane swayam swayam ka,
Param shatru sambhavit swayam ka.

**************************************************************

Geeta Chhatte adhyay ka yah panchvan shlok apne aap men aek puri vidha hai…..hamare mansik aevam bhoutik vikas ka mool mantra ismen nihit hai.
Yah humen apne men jhankne ko prerit karta hai….atam-santulan ka awahan kar raha hai. Aek ukti hai, “Nij par shashan fir anushashan.” Hamara sarvadhik ‘neglected’ pahlu “swa’ hi hota hai. Bahut dafa hum “aham” ko agyanvash “swa” ka prayay samajh baith.te hain aaur khud ko aise raston par bhatka dete hain jahan se loutna mushkil hota hai.

Manushya ka mastisk srijanta ki shakti se sampann hone ke saath hi chanchalta aevan shanshay ke shrap se bhi grasit hai. Aek santulit aaur jagrook mastisk hamara param mitra hota hai aaur iske viparit avastha men hone wala mastisk hamara param shatru sidh hota hai. Swayam ka utthan karne ke saath hum doosron ke prati prem aaur pravah (care) rakh kar hum unke saath vicharon aevam anubhuti ka tadatmya sthapit karte hain jo sahaz roop se unhe mansik shanty pahunchata hai.

No comments: