Wednesday, October 1, 2008

Rishte : nayeda

Rishton ko dekha
Gaur se.
Aek rishta hai
‘Mein’ aaur ‘Yah’ ka,
Jismen dusre ko
Bana deten hain mahaz
‘Vastu’: aek bejan si vastu
Jiska swamitav hi
Ban jata hai rishton ki
Parakastha,
Nahin kiya jata hai aadar
Doosre ka hriday se
Sharton se bhara hota hai yeh rishta
Jismen prem kaam malikana junoon
Hota hai jiyadah
Har khushi ke peechhe chuupa
Hota hai dard.
Lakhon insan jiye ja rahe hain
In rishton ko
Ya mare jaa rahe hain
In rishton men.
Kar rahen hain barbad
Khud ko aaur Khudai ko
Uljhe Dhagon ki tarha.

Aek aaur rishta hai
‘Mein’ aaur ‘Tum’ ka
Yeh rishta hai
Jisko jeeten hain
Mohabbat karnewale
Dono karten hain
Samman ik-dooje ka,
Donon vikas karten hain aaur
Karten hai samapann
Aek-doosre ko
Nahin samjha jata dusre ko
Istemal aaur Upbhog ki aek vastu
'Dena' jiyadah socha jaata hai
'Paana'nahin ya bahot kaam.
Aisa rishta ho ta hai tulya
Prarthana ke
Upasana ke..

Aek teesra rishta bhi
Hota hai,
Jo shayad hota nahin
‘Aek Rishta’.
Usmen na hota hai
‘Mein’ aaur ‘Yah’
Aaaur na hi
‘Mein’ aaur ‘Tum’,
Bas hota hai sab aek-mek sa,
Jeete hain do aek ho kar,
Baan jaten hai aek charam anand,
Ghatit hoti hai
Aek aisi stithi jise jeete hai
Aadhyatmic rahasyadarshi,
Jise pane ko prays-rat rahten hai
‘Dhyani’...aavdhani........


(Inspired by a 'talk' of a great mystic.)

4 comments:

संगीता स्वरुप ( गीत ) said...

aapne rishton ki vyakhya bahut sateek kari hai.main aur yah.......matr ek bejaan si vasti jaise rishte.. main aur tum ka rishta jahan dena adhik ho aur phir adhyatm marg ka rishta jahan sab ek ho jaayen.
bahut sundar abhivyakti hai.
badhai

taanya said...

helo nayeda ji...namaskaar.....shayed aapko me yaad hu ya nahi...bt anyway aapki ye rachna mujhe aise lagi mano meri zindgi ko bahut nazdeek se chhuuti hui si jati ho...aur waise bhi mujhe aaj hi aapke blog ka pata chala thru sangeeta ji k blog se...

bahut acchhhi rachna...ek satye ko kitni saadgi se aapne ujager kar k likha hai..kaabile taareef hai...dil to kar raha tha..ki ye rachna khatam na ho aur ise me padhti jau...bt end is everywhere..so in rishto ka bhi in jakadno ka bhi kahi.n na kahi.n to end hoga hi lekin jaha..dono k man -aatma se ek ho jaane ki baat hoti hai..waha end nahi hota..vaha to u lagta hai..ab shuruaat hai ya ab yahi manzil hai..yahi sb kuchh hai..

ati uttam rachna..

nayeda............ said...

Tanyaji, aapka bahut bahut shukriya.

nayeda............ said...

Sangeeta Di,
aapke sneh ke liye shukriya !