Aaukat Nahin……..
Zustzu hui meri raydan yah bhi koyee bat nahin
Saang chaha tha jindagi ka kyun aaj tira sath nahi
Dum ghutna tha mukddar men kya karta charagar
Kuchla gaya maara gaya usmen tira haath nahin
Meri aehtiyat-e-nazar kha gayi dhokha mohabbat men
Anjam hai meri gafalat ka teri koyee saugat nahin
Raunak-e-bahar-e-gul gul-o- gulistan gayee
Tum bin viran hui mehfil koyee baat nahin
Humne diya tha khud ko aur tum ne thi bichhayee bisat
Hare jo bazi jung-e-ishk men unko koyee shah-o- maat nahi.
Basi hai tiri tasveer dil-o-jehan men aey sanam !
Mita de usko ya ke uda de aisi koyee aaukat nahin.
Zustzu=talash Raydan=vyarth Charagar=chikitask Aehtiyat-e-nazar=drishti ki sawdhani Raunak-e-bahar-e-gul-o-gulistan=upavan aur phoolon ki shobha.
Saturday, October 18, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
bahut khoobsurat gazal hai.
saara iljaam khud pe lagaya hai,
jo bhi dhokha muhabbat men khaya hai,
inthan ho gayi hai muhabbat ki ,mere dost
ki sanam ki tasveer ko dil men basaya hai.
waise aapki lekhani se aise vichaar kam hi nikalte hain.
yun dard par daad nahi hoti par gazal par daad kabool karen.
mujhe bahut pasand aayi...aapka blog bahut jyada achchha laga.....sach me bahut jyada
Post a Comment