Wednesday, October 1, 2008

Shunyta Tak : Nayeda

Vijit karna
Suksham
Manodvegon ko
Paya hai
Meine kathintar
Tulna men
Vishva Vijay ke--
Ashtra-shastra
Upayog se bhi.

Meine kiya hai
Mehsoos
Manovikaron ko
Jo chhupe hue hain
Mere antar men.
Karte rahe hain jo
Lajjit mujh ko,
Nahin hari kintu
Himmat
Meine.

Mere prayog
Saath satya ke
Dete rahen hai……..
Dete rahenge
Upahar mujhe
Harshatirek ka
Kintu
Jan-ta hun mein
Chhanana hai mujhe
Marg aek sankat bhara,
Aaur
Pahunchaana hai mujhe
Swayam ko
Shunyata tak.

(This is how Gandhi concluded his autobiography)

3 comments:

संगीता स्वरुप ( गीत ) said...

aapki lekhani ko pranaam.mann ko jeetna sach hi dushkar kary hai..aur apane mann ke vikaar bhi himmat se hi jeete ja sakte hain.saty kaanton bhare marg par chal kar hi milta hai.......sahaj nahi hai shuny tak jaana. aapka shukriya .ek soch dene wali rachna padhwaane ke liye.
aabhaar

Unknown said...

सच कहू रोमन लिपि के कारण...आपका अससास बैगाना सा लगा ..sorry ..

अहसास तेरा
छुवे ना सेवरा
भाषा पे जैसे
लिपटी है काई
हिंदी कों रोमन में
लीखता क्यू भाई

वैसे भाव कों बांधा है बहुत अच्छी तरह आपने

nayeda............ said...

sangeeta di,
aapka shukriya.

madhusudanji,
aapka shukriya. baat aapki sahi hai, lipi ke bare men, lekin mein roman se comfortable hun, please bear with me.