Tuesday, March 24, 2009

Rishton Ke Rakhav Men : Dvitiya Sopan (II)

Rishton ke
Rakhav men
Sahajta ka
Abhav Kyon.........?

Sun-te hain
Har roz ke
Rishte aaur dosti
Hote hain
Barabarwalon men
Achchhe
Koyi bada
Koyi chhota
Na ho sakte
Dilbar sachche,

Kisun ne
Sudaama ko
Gale se tha lagaya
Brahamand ka woh
Malik
Raj-gaddi se
Uttar aaya
Aalam ke sarkar ne
Zazba yaari ka
Yun nibhaya
Gaarib ke paon ko
Ansuon se tha dhulaya
Fati potli ne
Chavalon ko tha bikharaya
Muththi bhar bhar ke
Bhagwan ne tha khaya..........

Jay uski bolte hue
Hamara yah
Swabhav kyon..............?
Rishton ke rakhav men
Sahaj-ta ka abhav kyon........?

1 comment:

Avinash Chandra said...

achchha laga...bahut bahut