Saturday, May 30, 2009

Gyanarjan : By Nayeda

Yadi pipasa ho
Gyanamrit anupaan ki
Karen khoz
Anubhavi-gyani ki
Hokar vinayavanat
Payen sanidhya sudhijan ka
Kar prastut
Saadar jigyasa
Karen prarambh
Srijan ka………


(Geeta ke chouthe adyay ka chhountisava shlok hai : “tadviddhi pranipatena pariprasnena sevaya. ! upadeksyanti te gyanam gyaninastattvadarsinah !!.....
That wisdom can be acquired through humble resignation, significant queries, and by rendering service to the wise who have realized the truth. They in turn will impart wisdom unto you…….Vishay ke gahan adhyayan ke saath aacharan ka vyavharik anubhav hone par hi vyakti shikshak ki aharta prapt kar sakta hai. Aise hi vyakti ko gyani aevam anubhavi mana ja sakta hai gyanarjan ke udeshya se.)

Thursday, May 28, 2009

Zazba-e-Kamyabi : Ankit

Makan chahiye gar rihayash ko tujh ko
Kagaj-o- kalam se khinche naksha koyi
Sir dhakne ke kabil aek makan nahin hota
Kismet ke bharose rahe baithe mere yaron !
Kamchoron ka mukammal jahan nahin hota.

Man ke khet men dalo tamannaon ke beej yaron
Lagan aaur mehnat se karni hai rakhwali tujh ko
Sinchoge pasine se apne to lahlahayegi fasalen
Kamyab hone walon ka murda bayaan nahin hota.

Puchha kiya nazumin se hal-e-kismat apna tum ne
Na jane sitaron ke kis chalan se kaha kuchh us ne
Socho kabhi ilm unke men
Khud ke mukkadar ka makool thikana nahin hota.

Kahte ho raat-o-din chilla ke
Unki kismet ka sitara tha buland
Kamyabi unki ke peechhe hui
Mehanat aaur taqleefon ke
Hisabon ka milana nahin hota.

Sabit hai tazurba-e-science se
Jhonki jisne taqat jehani-o-jismani
Jis shey ko pane aaur apnane men,
Yaron !us shey ke khatir chehra uska
Kisi haal men anjana nahin hota.

Mere liye mauke nahin
Mera koyi sangi sathi nahin
Mere sitare achche nahin
Sab baten hain nakamayabi ki
Kamayab logon ke sang
Shuruat men jamana nahin hota.

Thonk seene ko badh chalo aage rahi
Thokren khakar sambhalana hai tujhe
Khwabaaluda aankho se jagna hai tujhe
Safar ki dastan bas yahi hai mere dost
Manzil ko rahon ne bhi pahchana nahin hota.

Neenv Aaur Kangoore : Ankit

Aaur gahri
Aaur gahri
Khodani hai neenv
Tujhe filhal ;
Agar karni hai
Tameer tumhe
Aek unche
Khoobsurat mahal ki………

Jab talak
Nahin milega
Mati ka lagaw
Nahin aayega
Tere Bharose men
Neela aasman
Jise nahin hai
Shauk dekhna kattayi
Kisi buland imarat ke
Kanguron ko
Uski bhahri chamak ko……..

Gar nahin hoga
Tera judav
Gagan ki sahdharmini
Jeevan sangini
Mehbooba
Jamin se,
Sunghenge dhool
Pal bhar men
Tumahri satrangi kalpanayen
Tumhare srijan ke sapane………..

Khatir isike
Hey srijak !
Aaur gahri
Khodani hai neenv
Tujhe ab bhi ;
Karani hai gar
Tameer tumhe
Aek unche
Khoobsurat mahal ki………

Thursday, May 14, 2009

Arpan

Tyag
Daan
Arpan
Teenon hi shabd
Hoten hai prateet
Samanarthak
Karten hain baat
Kuchh dene ki.

Tyaag men
Chhod deten hain
Swamitva apna
Nahin hai sankalp
Kiska hoga swamitva……..

Daan men bhi
Chhoda jata hai swamitav
Kintu utpann kiya jata hai
Kisi aaur ka swamitva
Dene wale ka haath
Rahta hai upar
Lene wale ka neeche
Yah unch neech la sakta hai
Tanik bhav
Ahamkar ka……………

Arpan men
Li jati hai vastu
Anjuri men
Kiya jata hai
Sahaj samarparn
Bhav hote hain anugrah ke
Paane wale ke prati
Shradha aevam
Samman se aot-prot…………….

Layen bhav
Sarvasva hai prabhu ka
Mera apna kuchh nahin
Swamitva ka bas
Bhram mujhe
Tera kar raha hun
Arpan tujhko
Karo mukt mujhe
Hey Prabhu !
Mithya mamatva se……………

(Geeta ke navam adhyay ke shlok 27 se prerit)

Prerak Shlok :

Yatkarosi yadasnasi
Yajjuhosi dadasi yat !
Yattapasyasi kaunteya tatkurusva
madarpanam !! 9/27 !!

Whatever you do, whatever you eat, whatever you offer or give away, whatever austerities you perform, do that, O son of Kunti as an offering to me.
________________________________________________________________