Hoga jab kabhi jungle men chunav
Jeetega khargosh
Haar jayega sher
Denge kamzor jaanwar
Nirbhik hokar apne apne amulya vote
Hogi naharon, bagheron aaur cheeton ki durgati
Banegi Pradhan mantri chatur-chalak Loumadi,
Lagenge peeche hathiyon ke yeh awara kutte
Bandar karenge ghodon ki sawaari
Mendhak chadh baithenge saanpon ke phanon par
Bandhege choohe ghantiyan billiyon ke galon men
Rah jayenge kuchh idhar udhar bichhde bikhre Sher Baghere
Lenge weh sharanagat abhayaranya men
Ya kiye jayenge kaid chidiyagharon ke pinjaron men
Dekhe jayenge lagate chakkar vyakul se
Ya unhe rakhenge banakar geedad
Circus ke riing-masteron ke hunter....................
(Aam chunav se pahile likhi gayi thi)
Wednesday, June 24, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment