Wednesday, June 10, 2009

Subh Karm -Geeta Se------Nayeda

Shribhagvanuvaca:

Partha naiveha namutra vinastasya vidyate !
na hi kalyanakrtkascid durgatin tata gacchati !! 6:40 !!

The lord of Sri said :

O son pf Pritha, neither here in this world nor in the next is a sincere person defeated. Such a person, my dear friend, is never on the road of misfortune.

***************************************************************
SARAL BHAVANUVAD :


Nahin hota hai patan
Us manuj ka
Jo subh karam karta hai man se
Nash na hota
Us manav ka
Is lok-waas par lok gaman se........

*****************************************************************
Charcha Geeta ke chhatven adhyay ke chalisven shlok ki ho rahi hai.

Aek dridhnischayi team apni kamiyon ko samajh tatha sudhaar kar behtar pradarshan karte hue sudh sadhnon se uchhttam udeshyon ko prapt kar leti hai. Parajay aaur dosharopan ke bhay ka nistar hone par team ka pratyek sadasya nirbhay hokar parinaam ki fikr kiye bagair pure josh aaur hosh se karya sampadan men jee-jaan se jut jata hai. Aek jimmedar leader ke liye parinam se adhik mahatvapurna hai karya ki padhati va prakriya, kyonki use purna vishwas hai ki koyi bhi karya sureeti se kiye jane par saflata sunischit hai.

Sarthak hai satkarm ka asafal prayas bhi,
Vyarth hai apkarm ka safal vinyas bhi..........

***************************************************************

No comments: