Dekh badon ka aacharan
Chhote karte bas anusaran
Dekar gurujanon ka udaharan
Kahten hain chhote :
Kiya hum ne to matra anukaran…….
Hota hai kaartvaya badon ka
Karen prastut manak-misal
Unke daindin acharanon se
Prabhavit hai sansaar vishal………...
(Geeta ke Chouthe adhyay ka ikkisavan shlok hai : Yadyadacarati sresthtattadevetaro gyanah ! sa yatpramanam kurute lokastadanuvartate !! arthat ‘whetever a great man does, the world follows. Whatever standards he sets, the world pursues.
Log apne netaon/dharanguruon/adhyapakon/bosses ka anusaran va anukaran karate hain. Log unke acharan, vyavahar va charitra se puri tarah prabhavit hote hain.. Atah yah unka guruttar dayitva aevam param kartavya ban jata hai ki weh sadachari va sachchritra banen. Jo baden hain unpar bhi yah baat lagu hoti hai, kyonki unke sahi-galat ka anusaran chhote karte hain.)
Monday, June 1, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment