Saturday, December 27, 2008

Paigam-e-Iztirar : Nayeda

Chhuan uski se dil ko qaraar aa gaya
Juban pe barson se ruka izehar aa gaya.

Pighali thi main tazamat-e-aaftab men
Bagban se milne koyee gulzar aa gaya.

Mire mukaddar men na thi tanhayee goya
Charagar ban shahar-e-dil-e-azar aa gaya.

Pinha kiye the mata-e-deed-o-dil ko hum
Lootne jalim kyun sare bazzar aa gaya.

Badhne lage the junoon se sukoon ke janib
Kuchh aisa hua ke paigam-e-iztirar aa gaya.

__________________________________________________________
(Qaraar= aaram Izehar=vyakt karna Tazamat=garmi
Aaftab=surya Bagban=mali Gulzar=bageecha
Mukkddar=bhagya Tanhayee=aekakipan Charagar=vaidya
Shahar-e-dil-e-azar=Dil-roopi bimar shahar Pinha=chhupaya hua
Junoon=unmad Sukoon=shanti Paigam=sandesha Iztirar=vyakulta.)

Wednesday, December 10, 2008

Ufane Dariya Ke Rukh.......

Kayee marhale-o-hal aab to nikalne hai
Ufane dariya ke rukh humen badlne hai.

Rakhe chalten hain kafan hatheli men
Kya fikr jo unke tewar machlane hai.

Sitam sahkar bhi muskurate hain hum
Teer kitene yun tarkash se nikalne hai.

Sach mano harf-e-mubi hai mere sapne
Khuli aankhon men yahi safar chalne hai.

Shamma ki mandagi se kyun hai taaujjub
Jalva-e-aftab bhi aakhir ko yun dhalne hai.

Har shai ko honi hai hasil apni hi surat
Hadis-e-yaar ke unwan bhi nikharne hai.

Kyun sochte rahte hain har lamhe tujhko
Is taraha kya yadon ke zakhm bharne hai.

Shuaaen lipati si kyun hai darkhaton se
Har aek janib khizan ke kasid lapakne hai.

(Mandagi=bujhna Harf-e-mubi=suraj ki tarha roshan Marhale=samasyayen
Hal=smadhan Hadis-e-yaar=Premi ki baten Shuaaen=kirane Darakht=ped
Janib=taraf Kasid=patravahak, messenger.)

Friday, November 7, 2008

Words

Most Words
Of my writings
Your Writings
Express
A split reality
Of outer.
So
The inadequacy in
Describing the
Real
Living
Inside.

Indecisive
Fear-struck
Condemning
I am
While facing
Present,
Wearing
Mask of words.

To live 'authentic'
And 'Courageous'
I have to stop
Spit words
And act what
My inner hints.

O words !
You are
Incomplete
Translation of
My feelings...........
In silence I am
What I am.

Wednesday, November 5, 2008

Entity

O Blue Sky !
You are just my
Imagination
An extended reflection of
My feelings...............

You have
No entity
No existence
The Sun
The Moon
The stars
Never need you

False paraise
By poets
Inflated your EGO
Giving illusion
Of your being to
The world...........

Today i am free
From your clutches
Assumed around me;
AND Here
And Now
Embracing
The truth:
The earth
Below my feet
Giving me the base,
My enity,
My existence.

This Side Of River

That day
On river bank
You vanished in
Woods
Leaving me
Alone.

I crossed the
River and
Burnt the lone boat.
Now
I am into
Happiness
This side of
The river.

Your calls
Your wails
From that side of
The river
Remind me:
You are hurt by
The loss of
Your possession
Not by the
Separation of
The two souls.

I am tranquil
With
Wild flowers
Green leaves
Flowing water
Chirping birds
And a soothing
Silence
This side of
The river.

Amigo !
Leave me alone
With myself,
Here
I have befriended
With my SELF.

Kya Kahiye : Part II

Maat puchho ke hum par kya gujari
Us shab ki kahani kya kahiye.

Jannat ki tamanna thi dil men
Dojakh ki kahani kya kahiye.

Safar-e-jindagani hua shuru
Hui khatam kahani kya kahiye.

Khuda ko kahten hai hazir-nazir
Qafir ki kahani kya kahiye.

Dou kadam chale aaur saan chhoda
Humsafar ki kahani kya kahiye.

Aaurat ne aaurat ko ruswa kiya
Aaurat ki kahani kya kahiye.

Aankhon men tashan aaur bhukha jism
Us bande ki jindagani kya kahiye.

Jab Pyar ke dariye such gaye
Aankhon men hai pani kya kahiye.

Jab tum tum na aaur hum hum na rahe
Yeh baten bemani kya kahiye.

Phoolon se nazuk aaurat hai to kya
Dastan-e-jhansi ki rani kya kahiye.

Buniyaad thi rishta-e-pakijagi ki
Napak thi neeyat kya kahiye.

Aaurat ne kiya tha paida mardon ko
Aaurat ki hi jillat kya kahiye.

Wahashi bane khudgarz bane
Mardon ki yeh fitrat kya kahiye.

Mandir aaur maszid ki baten
Pathar ki haquiqat kya kahiye.

Geeta ki kahen Kuran ki kahe
Insan ki ajamat kya kahiye.

Boshida raha jo saanson men
Uss Ishq ki halat kya kahiye.

Sazde men sar jhukate dekha
Dhongi ki yah aadat kya kahiye.

Munsif na kar sake faisala koi
Hathon men hai taqat kya kahiye.

Yah jeena bhi koyee jeena hai
Sanson ki ghutan ka kya kahiye.

Jhanjhar padi hai pairon men
Zanzeer ki tootan kya kahiye

Tuesday, November 4, 2008

Yaad Aane Lage :Nayeda & Ankit

Aap kyon hum ko yaad aane lage
Aankh nam kyun hui
Kyon khud ko hum bharmane lage. (N)

Aks har lamhe aapka jo dekha humne
Juda ho kar bhi
Hum kyun is tarha muskurane lage. (A)

Khuli aankho men khwabon ne dere dal diye
Palak jhafaken yun kaise
Hum Neend se bhi ghabrane lage. (N)

Har saans ga rahi hai tarane yun aapke
Har dhun ko sahla kar
Hum saajon ko yun bajane lage. (A)

Bedardi na hai piya jane hai dil apna
Sab bhul kar kyun
Hum bhi khud ko bahkane lage. (N)

Aek mitti ko banta hai khuda ne meri jaan
Jaan funki to
Kadam uske bhi ladkhadane lage. (A)

Alfaz kitaben sab bhul gaye hum to
Bas aap hai isk mere
Apni kismet pe yun reejh ke itrane lage (N)

Hath men haath diya tha tune jis pal
Goonge the tab talak
Hum fir se nagmat gungunane lage. (A)

Sahar ka tara lubhane laga hum ko
Aap aayenge bas aab
Soch ke mehfil ko hum sajane lage (N)

Pyar hamara har pal yun badhta hi rahe
Aek hai jaan-jism do hai
Subaha ke panchhi se chahchahane lage (A & N)

Sunday, October 19, 2008

Kabhi Kabhi

Dile betab men asar late hain arman kabhi kabhi
Tere shahar men nazar aate hain insan kabhi kabhi.

Aaapki magrooriyat ka hua alam kuchh is tarha
Bhule se ghar aapke aate hain mehman kabhi kabhi.

Kyon fikr kare aye dil mausam-e-sahil ka yun abhi
Kastiyon par hote hain mehrban tufan kabhi kabhi.

Khud ko samajhne lage hain farishta yeh shekhji
Tasbih rakhte ungaliyon men haiwan kabhi kabhi.

Aisa hua fareb ba-zahir bazm-e-jamane men
Barbadiyon ke badal yun barse kabhi kabhi

De rahe hai tohmat mire sar tanzim-e-jahan ke nam
Milte rahe the rahon men tere farman kabhi kabhi

Saturday, October 18, 2008

Aaukat Nahin.......

Aaukat Nahin……..
Zustzu hui meri raydan yah bhi koyee bat nahin
Saang chaha tha jindagi ka kyun aaj tira sath nahi

Dum ghutna tha mukddar men kya karta charagar
Kuchla gaya maara gaya usmen tira haath nahin

Meri aehtiyat-e-nazar kha gayi dhokha mohabbat men
Anjam hai meri gafalat ka teri koyee saugat nahin

Raunak-e-bahar-e-gul gul-o- gulistan gayee
Tum bin viran hui mehfil koyee baat nahin

Humne diya tha khud ko aur tum ne thi bichhayee bisat
Hare jo bazi jung-e-ishk men unko koyee shah-o- maat nahi.

Basi hai tiri tasveer dil-o-jehan men aey sanam !
Mita de usko ya ke uda de aisi koyee aaukat nahin.

Zustzu=talash Raydan=vyarth Charagar=chikitask Aehtiyat-e-nazar=drishti ki sawdhani Raunak-e-bahar-e-gul-o-gulistan=upavan aur phoolon ki shobha.

Tuesday, October 7, 2008

Aanshu : Nayeda

anshu,
aab ka
yek katra
dil se nikla
aankhon ki rah
bahir aaya
kahne
kayee ankahi
dastane
gum ki
khushi ki
katra nahin
yah hai attar
insaniyat ka
ehsas insan
hone ka.

Wednesday, October 1, 2008

Shunyta Tak : Nayeda

Vijit karna
Suksham
Manodvegon ko
Paya hai
Meine kathintar
Tulna men
Vishva Vijay ke--
Ashtra-shastra
Upayog se bhi.

Meine kiya hai
Mehsoos
Manovikaron ko
Jo chhupe hue hain
Mere antar men.
Karte rahe hain jo
Lajjit mujh ko,
Nahin hari kintu
Himmat
Meine.

Mere prayog
Saath satya ke
Dete rahen hai……..
Dete rahenge
Upahar mujhe
Harshatirek ka
Kintu
Jan-ta hun mein
Chhanana hai mujhe
Marg aek sankat bhara,
Aaur
Pahunchaana hai mujhe
Swayam ko
Shunyata tak.

(This is how Gandhi concluded his autobiography)

Rishte : nayeda

Rishton ko dekha
Gaur se.
Aek rishta hai
‘Mein’ aaur ‘Yah’ ka,
Jismen dusre ko
Bana deten hain mahaz
‘Vastu’: aek bejan si vastu
Jiska swamitav hi
Ban jata hai rishton ki
Parakastha,
Nahin kiya jata hai aadar
Doosre ka hriday se
Sharton se bhara hota hai yeh rishta
Jismen prem kaam malikana junoon
Hota hai jiyadah
Har khushi ke peechhe chuupa
Hota hai dard.
Lakhon insan jiye ja rahe hain
In rishton ko
Ya mare jaa rahe hain
In rishton men.
Kar rahen hain barbad
Khud ko aaur Khudai ko
Uljhe Dhagon ki tarha.

Aek aaur rishta hai
‘Mein’ aaur ‘Tum’ ka
Yeh rishta hai
Jisko jeeten hain
Mohabbat karnewale
Dono karten hain
Samman ik-dooje ka,
Donon vikas karten hain aaur
Karten hai samapann
Aek-doosre ko
Nahin samjha jata dusre ko
Istemal aaur Upbhog ki aek vastu
'Dena' jiyadah socha jaata hai
'Paana'nahin ya bahot kaam.
Aisa rishta ho ta hai tulya
Prarthana ke
Upasana ke..

Aek teesra rishta bhi
Hota hai,
Jo shayad hota nahin
‘Aek Rishta’.
Usmen na hota hai
‘Mein’ aaur ‘Yah’
Aaaur na hi
‘Mein’ aaur ‘Tum’,
Bas hota hai sab aek-mek sa,
Jeete hain do aek ho kar,
Baan jaten hai aek charam anand,
Ghatit hoti hai
Aek aisi stithi jise jeete hai
Aadhyatmic rahasyadarshi,
Jise pane ko prays-rat rahten hai
‘Dhyani’...aavdhani........


(Inspired by a 'talk' of a great mystic.)

Tuesday, September 30, 2008

Mrityu : Dhammpad Se----------Nayeda

Prerak Sutra:
Yadhaa Dandena Gopaalo, Gavo Paacheti Gocharam,
Evem Jaraa Cha Machhucha, Aayum Paachenti Paaninam.
----------------Gautam Budh.
__________________________________________________________________

Charvaha
Liye Haath
Lakut ko
Chale nij
Gauon ke
Parshva men.

Karta hai
Prahar
Gopalal
Lakuti se jab
Ho samay
Uska.

Mrityu
kare
Anusaran
Manuj ka.
Kare
Prahar
Upayukt
Samay par.

(Gwala galti karne wali gaay ko to lakut maarta hi hai, kabhi kabhi apni upasthiti ka abhas karane ke liye bhi wah prahar kar-ta hai. Yah prahar kabhi bhi ghatit ho sakta hai. Mrityu bhi isi prakar hamare peechhe rehti hai.....aaur kisi bhi samay apni upasthiti ka anubhav kara sakti hai. Humen is liye chahiye : i) Shresth mrityu ke liye behtar jeewan mulyon ka yogdan karte hue shresth jiwan bitana. ii) Kisi bhi karya,uttardayitva ya faisle ko adhura na chhodne ka prayas karna. iii)wholesome sakaratmak jiwan bitana.-----yah thotha gyan nahin, aisa hona sambhav hai, hum prayas nahin karte......ismen aanshik safaltayen purna saflata ki aor agrasar karti hai.,....aaur hamaa 'Aakhri Safar' 'Antim Yaatra' ya 'Vidai'---Pur-sukoon jeewan ki tarha hi pusr-sukoon hota/hoti hai..........mrityu hamari-'Hum hanse jaag roye.' jaisi hoti hai-------jeewan ke samay hi humara apna, swayam aaur sansar ka aaklan aaur samayojan, humen shanti de pata hai)

Yugm : Dhammpad Se----------Nayeda

Prerak Sutra :

Nahi Verena Veraani, Sammanteedha Kudaachanam,
Averena Cha Sammanti, Esa Dhammo Sanatano.
-----------Gautam Budh
___________________________________________________________________

Nahin
Jeet sakte
Ghrina ko
Karke
Ghrina.

Jeet sakten hai
Ghrina ko
Hokar matra
Prem men.

“Mite ghrina ,
Ho Pem sabse”
Dharam yahi hai
Sanatan
Neeti yahi hai
Sarvada
Safal
Sanatan.

(Humen samajhna hai ghrina aaur prem ke dvandav (yugal,yugm,pair) ko. Ghrina ka samna ghrina se karna ‘adding fuel to fire’ hai. Ghrina ka jawab prem se dena aag par pani dalne ke muafik hai. Prem hai: insan ko uske surat-e-hal men sweekar karna aaur uski atmik unnati men madadgar hona. Prem aek ‘positive’ energy hai aaur ghrina aek ‘negative’ energy. Ghrina jalati hai pure vatavran ko jisme ghrina karne wala tatha ghrina ka patra dono hi jal jaten hai. Prem aek sundar aevam sukhad bhavna hai…….yah aek aisa tarika bhi hai jis-se aauron ko uttam vicharon, bhavnaon aaur kriyaon se labhanavit karaya ja sakta hai.Bina koi vanchha kiye, swayam ko bhi is prakriya men labh hasil hota hai. Esa Dhammo Sanatano.)

Vijay : Dhammpad Se-------Nayeda

Prerak Sutra :
Yo Sahassam Sahassena, Sangaame Manuse jine,
Ekamacha Jeyyam Attaanaanaam, Sa Ve Sangaama Juttamo.
-------------------Gautam Budh
____________________________________________________________________

Vijay
Sahsra janon par hai
Shresta.

Vijay
Sahsra samaron ki hai
Shresthatar.

Vijay
Swayam par hai
Shresth-tam.

Vijay
Nij Atma par hai
Sarvopari
Shresth-tam.

(Atamvijay ke mayne hai: Apne mastisk, chetna, kamna va awashyaktaon par vijay. Swachhand kamnaon ki purti arambh men 'swaragiya jaisa lagne wala' sukh deti hai kintu uski nishpatti deti hai narkiya peeda. Swachhand kamanaon ko sajagta se talna shuru men kasthdayak sa lagne par bhi anandpurna parinam deta hai........dar-asal humen avashyaktaon aaur swachhand kamnaon ko apne sandarbh men dekhna hota hai...aaur thoda thahar kar makool faisla lena hota hai. Humen apni 'priorities' ka khayal hamari gatividhiyon ko sampadit karne ke muatallik karna hota hai.
Aek aantrik vijay (Atam-vijay) behtar hai hazaron bahri vijayon se )

Chitt/Mind : Dhammpad Se--------Nayeda

Prerak Sutra:

Pandhanam Chapalam Chittam,Durakkham Dunnivarayam,
Ujum Karoti Medhaavi, Usukaarova Tejnam.
-------------------Gautam Budh
____________________________________________________________________

Manav Chitt
Atyant
Chanchal aaur
Asthir.
Niyantaran iska
Ati-kathin.

Kare
Sanshodhan
Nij Chitt ka
Nij Maan ka
Budhiman manu.

Aur kare
Seedha Usko,
Jaise kare
Aek Teerandaz apne
Teer ko.

(Nirantar abhyas, aekagrata, sakaratamk drishti, vichar shakti dwara apne chitt ko spast aevam sthir rakhne ke liye prayas karne honge.. Vivek aaur bhavna ko mila kar--- vichar aevam anubhuti se kiya gaya karya shreysakar hota hai.)

( Budh ne kaha hai ki chitt/maan/mind mayavi hai..aek jadugar. Yah rachta hai bimariyon ko aur rach bhi sakta hai unki chikitsa ko.Sabhi prakar ke ‘illusions’-saundarya aaur kurupta, saflata aur aasaflata, dhanadyta aur niradhanta…sabhi yah chitt rachta rahta hai. Aaaur humen rakhta hai yah chitt ‘hypnotize’ kiye hue. Is hypnosis ki awastha se bahir aana hota hai humen, samajh ke chitt ko/mind ko/maan ko aaur usko dekhte hue, uski maya ko sakshi bhav se nirakhte hue.)

Chirantan Aur Kshanik Sukh:Dhammpad Se------Nayeda

Prerak Sutra:

Maata Sukha Parichaaga, Passe Che Vipulam Sukham,
Chaje Matta Sukham Dhiro, Sampassam Vipulam Sukham.
-------------Gautam Budh

___________________________________________________________________

Kshin men paya
Kshan men ganwaya
Sukh ya
Prasannata hoti hai
Kshinabhangur-
Alpayu.

Kshan men paya
Kshanon men samaya
Sukh ya
Prasannata hoti hai
Chirayu.
Kshabhangur
Sukh Nahin hai
Satya.
Sukha Sanatan hota
Satya.

Budhiman kare
Prayas subh pane
Sukh
Chirantan-
Sanatan.

Gawanye
Nij Jiwan, Kare
Lalsa
Kshanik
Sukhon ki,
Moodh Manuj
Nadan.

('i live in moments' bahuton ke munh se sunate hai aaj kal...ya 'i live in present' Bahut achha statement hai yah. Lekin yah apne temptation se janit karya-kalapon ka 'cover'
bahut dafa hota hai........jiwan kuchh nahin kshanon ka aek jamawada hai......unmen har kshan hum sukh se jiyen to sukhi ho sakten hai.......par woh sukh aisa ho jo agle kshan 'continue' kare ya waise hi sukh to utapann kare agle kshan men....yeh tabhi ho sakta hai jab hum 'short term' view se nizat pa kar 'long-term' view apanayen.....apne kshan ke liye makool gatividhi ka chunaw karen....humen gyan ki takat isiliye mili hai....chahe hum 'kshan' men jiyen ya 'moments' men.)

Krodh : Dhammpad Se----------Nayeda

Prerak Sutra:

Akkodhena Jine Kodham, Asadum Saadhuna Jine,
Jine Kadariyam Daanena, Sacchena Aleeka Vaadinam.
-----------------Gautam Budh
___________________________________________________________________

Krodh jeeta jaye

Akrodh se, aaur

Shaleenta se

Ugrata.

Krpadan vijit ho

Kripanavriti par, aaur

Asatya par

Satayta.


(krodh ka pratyutar shanti ki bhavna hai.........krodh ko vijit karne hetu sakshi bhav apnana hota hai.........reaction janit action ko sthagit kar 'cooling' time dena hota hai.
Maan jab shant hota hai tabhi sahi nirnaya hum le sakten hai. Krodh ke pal men nirnay ya kriyanavan ko 24 ghante taal kar dekhiye...fark mehsoos hoga. Kabhi kabhi
negative/reactionary logon se khud ki shanti ko bachane ke liye krodh ka abhinay karna padta hai...magar man shant rahe to abhinay abhinay rahta hai anytha 'fufkarna' bhi anayas anjan men 'katna' ban jata hai......'anger' aek bahut hi tivra 'energy' hai isko rachnatamkta ki aor mod kar hum labh utha sakten hai....pun: hum 'witnessing' ko apana kar krodh pravarti men parivartan la sakten hai.)

Prasannata aaur Sukh:Dhammpad Se-------Nayeda

Prerak Sutra:
Arogya Paramma Labha, Santutti Paramam dhanam,
Vissasa Parama Gnaati, Nibbanam Paramam Sukham.
---------------Gautam Budh.
__________________________________________________________________

Su-swasthya hi
Sarvottam
Sampati Hai

Santosh hai
Shresth
Sangrah (Kosh)
Sampati.............

Shresth
Sakha
Swa-vishwas janit hai

Sarvavijayi Ananad hai
Sahaj Nirvan Nispati...........



(Deh jeewan yatra ki nauka hai use santulit aahar, vyayam, vihar aevam aausadhi dwara 'fit & fine' rakhna hai.Prakriti ke viparit acharan karne aevam dushchintayen karne se hum aswasth hoten hai. Prapt jeewan ko sweekar kar prasann rahne ka naam hi santosh hai. Dusron par viswash karna unhe jimmedar banata hai....hum unka hriday bhi is-se jeet sakten hai aaur apna anvashyak bojh halka kar sakten hai.
Mukti ya nirvan hai bas:vaicharik sudhta-- sharirik swasth-ta dwara raag-dwesh se upar uthna.)

Arahata : Dhammpad se-------Nayeda

Prerak Sutra:
Santam Tassa Manam Hoti, Santam Vaacha cha Kamma cha,
Sammaa danna Vimuttassa, Upasanassa Tadino.
--------------Gautam Budh.
******************************************************************

Maan Mastisk ho
Shant
Satya
Sakaratmak
Shudh.

Vachan ho
Satya
Sakaratamk
Shudh.

Kriya kalap ho
Sakaratmak
Shudh.

Wahi hai
Mukt...........
Wahi hai
Sant.........
Wahi hai
Sadhu-manav.


(Jeewan ko vriksha ke roop men lete hain, charitra ka tana, sambandho ki shakhayen,
kathan ke pushp tatha kriyaon aur parinamon ke phalon ko lekar vikshit hai yah vriksha jo shudh udeshyay ke beej se utpann hai. Aatmiya anubhootiyon, madhur sambandhon, va meaningful activities ke liye sahyogi honge pavitra vichar,vachan aur
kriya kalap.)

Budhiman: Dhammpad Se-------Nayeda

Prerak Sutra:

Nidheenam va Pavattaram,Yam Passe Vajj Dassinam,Niggayha Vaadim Medhavam,
Tadisam Panditam Bhaje,Tadisam Bhaja Maanassa, Seyyo Hoti Na Paapiyo.
---------Gautam Budha
********************************************************************

Budhiman hai woh,
Jo kahat sada
Satya ko,
Drishta ban karta ingan
Doshon ka*
Gun kosh ko jan
Karen aapadan
Trutiyon ka.*

(*Pahle swayam ke/ki-- taduparant aauron ke/ki)


Sangati Budhiman ki
Hoti sahyogi
Satya ko lakhne men
Dosh-rahit hone men
Jiwan vijit karne men.


(Dhammpad ki charcha men, aek vidva-manishi ka yah 'slogan' kafi steek hai:"Samunnat ho karo apna sudhar, Bano aauron ki unnati men madadgar." unhe pranam. Sarvapratham apne doshon ki vastvik pehchan>adhyayan aaur abhyas dwara apna sudhar>anyon ko bhul-sudhar karne aevam dosh-rahit hone ki prakriya men sahyog.)

Papa (Sin) : Dhammpad se-------Nayeda

Prerak Sutra:
Paapopi passati bhadram, Yava paapam na pacchati,
Yaadatha pachati paapam, adha paapo paapani passati.
--------------------Gautam Budh.
*******************************************************************

Paapi ko
Hota prateet
Sab Kuchh
Anukul aevam
Atyuttam............
Jab prayant
Na hota paap
Paripakva.

Bharan hota
Hai Paap Ghat ka
Jab paripurana;
Dristvya hota
Paapi ko
Apna Paap
Sampurana.


(Gautam Budh ke vachnon ka sar hai: Dusron ko sharirik, mansik athwa vaicharik kshati pahunchana paap hai. Paap jab paripakva hota hai tab paap-karta apne
peeda-dayi karmon ko purna roop se dekhta hai tatha apne karmon ke parinam aaur
prabhav ko anubhav karta hai.Apne karya-kalapon ke prati"Jagrukta" humen apni galtiyon ko samjhati hai aur tatkshan apne ko sudhar kar hum uske bure parinamon ko ksheen kar sakten hai:"Sukh Pahunchaya kisi ko, khud ko sukhi banata hai, Dukh
pahunchaya kisi ko khud ko dukhi banata hai.........We are responsible for our own miseries.)

Swayam : Dhammpad Se-----Nayeda

Prerak Sutra:

Atta Hi Attano Natho, Kohi Natho Paro Siya,
Atta Na Hi Sudantena, Naatham Labhati Dullabham.
------------Gautam Budh

_____________________________________________________________________

Jo Swayam hai
Swami
Swayam ka.

Nahin hai koyee
Anya
Swami
Uska.

Parityag kar
Ahamkar ka
Banta hai jo
Shreshth
Swayam.

Prapya hoti
Usko
Atmavijay
Swayam ke hi
Prayason se.


(Aek baat to spast hai ki 'swayam' aaur 'ahamkar' do alag alag tathya hai. Vyakti swayam hi apna behtarin dost ban sakta hai aaur swayam hi apna bad-tar dushman.
Apni khushi aaur gum ka bhi jimmedar insan khud hi hota hai, dusron ko to jhoota
ilzam diya jata hai. Sara khel hamari manodasha ka hai. Atmawad>Atmavalokan>Gyan>Mukti(Nirvan)........sab kuchh swayam dwara...swayam ko jagrit kar.
Caution:'Swayam Ko.' na ki 'ahamkar' ko. Budham Sharanam Gachhami ! )

Jagrookta:Dhammpad se-----Nayeda

Prerak Sutra:
Appamatto pamattesu;Suttesu bahu jaagaro,
Abalassamva seeghasso;Hitvaa yaatisumedhaso.
------------Gautam Budha

*********************************************************


Hona hai
Tujhe
Jagrook
Aasawdhan
Manavon
Men……………

Rahana hai
Tujhe
Sajag
Supt
Manavon
Men……………

Tvarit
Ashav
Rahe
Agrani
Manthar-gati
Ashvon se………….

Jagrit
Medhavi
Nar-nari
Hote Hai
Agragami
Jeevan Men…………


Jagrookta ya apramad ka matlab hai 'present moment' ki happening ka pura pura ilm (jankari) aur usse pahile, uske darmiyan aur uske baad ki 'activeness'.

Moorkh:Dhammpad Se-----Nayeda

Prerak Sutra:
Yo Baalo Mannati Baalyam, Pandito Vaapi Tenaso,
Baalo Cha Pandita Maani, Save Baaloti Vucchati.
--------Gautam Budha.
*********************************************************************

Jab ho
Gyan
Nij Gyan ka
Aaaur
Sangyan
Nij agyan ka
To hota hai
Purna Gyani.

Ho Jise
Gyan
Swagyan ka,
Kintu na ho
Gyan
Swa-agyan ka
Hota hai
Wah
Ardh Gyani.

Jo Ho
Swa-gyan se
Nij agyan se
Anjan,
Hota Hai
Wah
Moorkh
Bhola.


(Aanjane vishayon ka ilm badhate rahna hi behtar shakhsiyat banane ka mantra hai.
Kewal moorkh hi yah samjhte hain ki weh sab kuchh jante hain, magar budhiman yah samajhte hain ki abhi bhi bahut kuchh jan-na aur seekhna shesh hai. Nirantar abhyas
va prashikshan dwara agyan se gyan ki aor badhna hi jwajalyaman vyaktitva nirman ki prakriya hai....aisa aek vidvan teekakar ka nirvachan hai.)

Bhikku-sadhu : Dhammpad se----Nayeda

Prerak Sutra:

Vassikaa Piya Puppani, Maddavaani Pamunchati,
Evam Raagancha Dosancha,Vippamucheda Bhikkavo !
-------Gautam Budha

*********************************************************************

Lata tyagti
Shusk
Pushpon ko,
Rahit ho
Asakti aevam
Swamitva
Bhavon se.

Tyago
Tum bhi
Kamanaon,
Ghrinaon
Ahamkar
Asakti aaur
Akankshaon ke
Bhavon ko,
Hey Bhikkuon !



(Bhikku, sadhu ya sage hone ka arth yah nahin hai ki hum sansar ka parityag karen aur vesh parivartan karen. Sadhu-swabhav manusya apne parivesh, samooh, stithi, prakriti,sansar, srishti tatha brahamand ka anivarya aevam purak aansh hota hai. uske pas sab hone par bhi kuchh nahin hota aaur kuchh na hone par bhi sab kuchh hota hai.)

Bhramar Aaur Pushp : Dhammpad Se---Nayeda

(Dhammapada Gautam Budh ki bhavnaon,vicharon aevam sidhanto ka anupam sangraha hai. In men se chun kar kuchh gyan maniyon ko aap ke saath, samay samay par, share karna chahungi--------Aaj Shubharamabh)
*******************************************************************

Le leta hai
Raas
Sugandh
Aevam Parag,
Mandarata
Gata
Prasann
Bhramar
Kiye bina koi kshati,
Hanste-gate
Khile Pushp ko.

Dekho maitri
Unki................

Akshat rahta hai
Pushp
Prafullit
Vikasit
Hare Bhare
Udyan men.
Liye wahi
Ranag
Saurabh aaur
Saundarya.

Yeh Kavi : Nanhe Bachche--Nayeda

Yeh kavi ya shayar,
Hoten hai,
Un nanhe komal se bachchon,
Ki tarha,
Jo na milne par tadaphte hain O,
Mil jane par jhagdate hain.

Sun ke,
Suna ke,
Tashane bujha ke,
Pyasen jaga ke,
Nirlipt nirmohi se,
Bharpoor mohabbaton ko liye,
Utha kar apni apni diariyan,
Bolte Bolte,
Chal padten hai.


(Yeh rachna us waqt likhi gayi thi jab hum kavi goshtiyon men shirkat kar lete the...jahan kehnewale bhi kavi hote the aur sun-ne wale bhi......ek aisa pyara manjar tha woh jismen aisa apanatva anubhav hota tha ki......wahi aab Srijan ka Sahyog men mehsoos kar rahen hai)

Avchetan Maan Ki Anubhuti : Ankit

Meri raton men,
Aek komal si dastak,
Jaga deti hai mujh ko.
Aur dundhata hun,
Apne Dil ki dhadkan,
Jo wahan nahin hai,
Bas khojta hi,
Reh jata hun.

Achanak khamoshi ke bich,
Wahi masoom si aawaj,
Dheeme se kehti hai:
"Jo mere pas hai,
Use kahan dekh rahe ho.
Chale aao sanso ke karib,
Ehasason ka yeh safar,
Bahut ho chuka,
Meri dhadkanon men samaya,
Tumhare dil ka saaz,
Janma chuka hai aek nayee dhun,
Jise sunane,samjhane,
Aur gungunane ke liye,
Chahiye mahaj saath,
Jo har raat se pare ho,
Har din se kahin door,
Us spandan ke ird-gird,
Jahan thahar jata ho waqt."

Mein tha jaga hua,
Fir woh aek sapna tha ?
Koi nahin tha aas pass,
Woh thi kya mere,
Avchetan maan ki,
Anubhuti............???

Raang aaur Ashk baan gaye Amrut : Ankit

Patjhad mei soona tha
Gulshan
Bahar ke ehsas bhi
Gir chuke the
Sukhe patton ke sang.

Laga tha
Mousam badal raha hai
nayee hawayen nayee konple
fir se khila rahi hai
is ujde dayar ko.

Rishton ke rakhaw ki daud mein
Gadh liye the chand mayne,
Jo sach ke itne karib the
Ki uski parchhaiyan ban
Sach hi lagne lage the.

Jo bhi rang bhare the faza mein
Dhul gaye the sare
Tej barish ki bouchhar mein ya
Paini hawa ke jhonkon ne
Uda dala tha in sukhe
Bemel rango ko.

Hare dariya ke kinare
Patli hawa mein
Bakul ki khushboo liye
Koyal ki kook ne jab
Paigame jindagani diya
Dard ke askon ne
Rangon ko apne mein ghol
Bana diya PREM ka Amrat
Jo bantega
Sare Jahan mein.

Lakshya : Ankit

Ek panchhi,
Nanha sa,
Komal sa,
Mandra raha tha,
Neel Akash men.

Socha usne,
Mein udu aur,
Chhu lun
Us chandi se chamkte
Shwet badal ko.

Laga puri shakti,
Ud chala tha panchhi
Badal ki
Disha men.

Badal chanchal
Chalta
Kabhi purab
Kabhi pacchim
Kabhi rukta
Fir laga tha
Swayam ko failane.

Aur hua kuchh aisa,
Chhant gaya badal
Bikhar sa gaya
Ho gaya nazron se aaujhal,
Panchhi ke
Pahunchne se pahle.

Kah utha panchhi
Meri Bhul thi
Mein tha bhramit
Mera Lakshya
Thos nahin tha
Kshan-bhangur tha.

Mujhe lakshya
Rakhna tha
Parbat ke un
Garvile shikharon ko
Jo anaadi hai
Anant hai
Jinme Vyapt
Jiwan ki kritartha hai
Dhanyta Hai.


(Inspired by Talks of OSHO)

Chhadam Swayam Ko Lekar Aaya Prabhu Tere Dwar : Nayeda

Mere Prabhu !
Tum se milane,
Milan-sthal ko,
Nikla tha nitant aekela,
Mein.
Kintu iss tamas men,
Yah ek 'mein'
Aur hai,
Kaun ???

Mein lata hun,
Nij ko aek aor kinare,
Bachne us-se.
Kintu,
Na prapya hai,
Unmukti us-se.

Marg ki dhool,
Ko uchhal raha hai,
Wah apni,
Uddand wakra padchal se.
Mila raha hai,
Vikrit tivra swar,
Pratyek Shabd men,
Jo hai uchcharit,
Mere mukh se,

Wah hai mera,
Laghu-niman aham,
Chhadm swayamka
Dhare roop.
Nahin janta,
Nahin manta,
Lesh matra bhi,
Lajja ko.

Mere Prabhu !
Sharan tihari,
Aakar tere dware,
Sang us virat danaw ke,
Mein hun ghor lajjit.
Sarobar hun,
Sharm men aur
Pschatap men.

( Yah kavita Gurudev Rabindra Nath Tagore ki ek rachna se prerit hai aur uska roopantar hindi shabdon men karne ka prayas hai.Gurudev 'self '( 'Swayam') ke do bhagon ko dekhte the: Ek- 'Ego' dusra 'spirit' ya sacred self.Yahan 'wah' ego ko kaha gaya hai.Ego is demanding,pushy,obsessed with being right and is always in search of more. It never seems to be satisfied. Sacred self is inclined to being peaceful, non-competetive, non-judgemental, and it never makes demands......arthat swabhavik evam buniyadi 'Swayam'.)

Nostalgia--Saath Mera : Nayeda

Gar Chahite ho saath mera,
Tum ko,
Mujh se pahile khud ko chahna hoga.
Andhere ehsason se khud ko ubarna hoga.

Manzil ki dooriyan nahin maloom,
Chalne ka hausala jagana hoga.

Jo khoya hai use bhulana hoga,
Jo hai usko sanwarna hoga.

Aasman men gar udna hai to,
Dharati ka safar pura-na hoga.

Bahut tair chuke ho lahron par,
Pana gar moti hai to doobna hoga.

Kitne komal hai ehsas jindagi ke,
Unhe naram hathon se sambhalana hoga.

Shabanam ko na churale suraj subha ka,
Is anam rishte ko khud se bhi chhupana hoga.

Karta Hun Ya Hota Hai : Ankit

Sochata hun,
Hota hai,
Ya,
Karta hun men ?

Prashan: 'Karta hun'
Ya: 'Hota hai' ka nahin,
Us satya ka hai,
'Jo Hota Hai'
Wah is aa-prashan ka,
Maun sa uttar hai.

Sab ki tarha,
Mein bhi is bhram men,
Pala badha hun,
"Mein karta hun."

Mahaj isiliye,
Nahin manzoor karta,
Chand ka aana jaana,
Taron ka timtimana,
Suraj ka chamakna,
Phoolon ka khilana,
Hawaon ka chhu jana,
Pehli sans ka rona,
Andhere aur ujale ka khel,
Aur woh sab kuchh,
Jo sahaj swabhawik ho raha hai.

Ghad leta hun,
Ek amurt murti,
'KARTA' ki,
Aur khud ko uljha,
Jag ko bhar-ma,
Chala deta hun shrinkhla,
Un andheron ki,
Jinmen hum dekhte jate hai,
Deep ban-kar,
Khud ko jala kar,
Bas dusron ko,
Aur bhool jaten hai,
us param astitva ko,
Jo samaya hai,
Hamare 'Swayam' men.

Chhota Bada : Ankit

Pahad aurGilhari men,
Hua tha fasad.
Pahad tha gussaya,
Apni bulandi par itraya.
Keh dala tha gilhari ko:
'Aek adna khudparast'.

Gilhari ne ahista se diya jawab:

"Beshaque aap ho bade bahut,
Magar,
Har tarha ki shai aur mausam ki,
Hoti hai jarurat,
Baras ke banane men aur,
Jahan ko basane men bhi.

Aur mein nahin sochti,
Hai koi tauhin,
Adna hone men.
Gar mein aap jaisi badi nahin..to,
Nahin hai chhote aap bhi meri manind,
Aur nahin hai furtile mujh se.

Mein nahin kar rehi inkar,
Aap muhaiya karten mujhko,
Aek sundar si pagdandi.

Liyakat aur takat men,
Hoten hai fark,
Khuda ne sab ko banaya hai,
Aeksi mohabbat aur karam se,
Sabhi ko di hai makul jagahen,
Aausaf aur aukaten.

Han mein apni peeth par,
Janglat ko nahin de sakti makam,
Magar aap bhi nahin,
Tod sakte ek nanhi si badam.


Fasad=fight. Khud-parast=prig. Adna=petty Shai=object,thing,aricle. Jahan=universe.
Tauhin=insult. Manind=same as. Aausaf=qualities,attributes. Aauakt=status,dignity.
Makool=just,appropriate. Makam=place,house. Liyakat=capability,eligibility.

(This poem is inspired by the poem 'FABLE' by Ralph Waldo Emerson (1802-83),
an American poet and philosopher, who believed that nature is a manifestation of spirit.)

Kashamkash : Ankit

Roshani ke andhere,
Ankhon ki rah se,
Chetna ki parton men,
Samaye ja rahe hai.


Moun bhi,
kuch kahta bolta sa lagta hai,
Shabdon ke mayne,
Kuchh aur hi lagte ja rahe hai.

Kashamkash ke yeh daur,
Dooj ka chand ban,
Andheri kali raat men bhi,
Poonam ki aas jagaye ja rahe hai.

Kahne Sun-ne ko,
Maap Rahen hai,
Sun-ne na jane,
Kya kahe ja rahe hai.

Aao kuchh pal.
Mil kar,
Kah sun le......

Tum kaho.....Mein bolun,
Mein sunu....tum bhi suno,
Jo bhi ho shuruat,
Ho bas apni....bas apni,
Na teri....na meri.
Aei Mere Hamsafar,
Jara jhank to le mere dil ke aaine men,
khuda ke diye yeh chand din,
Bas yuhin bite ja rahe hai.

Woh Kya Hai : Ankit

(Barson pahile likhi yeh halki fulki rachna aap se share karne ko hazir hun.........)

Woh Kya Hai ???

Aek khusboo,
Aek bhini si mehak,
Jo mehkati hai madhuvan ko.

Aek geet,
Aek meethi si chehak,
Jo chehkati hai Jiwan ko.

Aek roshani,
Aek sukhad si chamak,
Jo chamkati antarman ko.

Aek ajanabi,
Aek chir parichit si,
Jo jaga deti apanepan ko.

Ek paheli,A
ek jagrit si bahak,
Jo bahkati hai tan-man ko.

Aek sanjidagi,
Aek pyari si kashish,
Jo bojhil karti har pal ko.

Aek prerana,
Aek saya si saathi,
Jo asan karti Mushkil ko.

Aek sakoon,
Aek khilti si khushi,
Jo bikhrati muskanon ko.

Aek chingari,
Aek sulagati si aagan,
Jo dahakati hai roun-roun ko.

Aek tashan,
Aek bolti si khamoshi,
Jo tadpha deti dhadakano ko.

Aek chahat,
Aek sheetal si rahat,
Jo maat deti hai paimanon ko.

Aek ahat,
Aek alsai si karwat,
Jo jaga deti aarmano ko.

Itna kuchh sochne aur jan-ne ke,
Bad bhi puchh raha hun khud se,
Woh kya hai ???.

Aek Daur Aisa Bhi : Ankit

Chahten is dil men basa karti thi kabhi,
Aapki yaden humen aaya karti thi kabhi.

Mukaffaal rakhte the hum apne dar ko,
Dastaken hasino ki suni jaati thi kabhi.

Bekhwab hua karti thi chandani raten,
Shab-e-mawas roshan hua karti thi kabhi.

Hoti thi mire saath taufik-e-ijitrab,ai sanam,
Warna talab-e-khudkushi hua karti thi kabhi.

Shor-e-baharan chhup ke roti thi khija men,
Gulshan ki udasi humen hansa karti thi kabhi.

Deewaron ke nishan kehten hain dastan dil ki,
Lipat unke ashkon ki nadiyan baha karti thi kabhi.

Andam,ruh aur ana ki baaten jani hai abhi,
Ibadat ka jariya teri tasvir nazar aati thi kabhi.

Mukffaal=locked Dar=darwaja Dastak=knock(on door) Hasinon=beauties
Bekhwab=without sleep Shab=Night Mawas=dark date. Taufik=divine power
Ijitrab=restlessness Shor-e-baharan=uproar of the advent of spring season.
Khija=autumn,fall. Andam=body(Sharir) Ruh=spirit(atma) Ana=self Ibadat=worship.

Uddalak Aaruni : Nayeda

Yah rachna aadharit hai 'Chhandogyopanishad' par. Jitani samajh thi us-ke anusar samajha hai aevam bhavanuvad ko aapke saath bant-ne ka yah ek chhota sa prayas hai. Bhool-truti ke liye agrim kshamayachna!

GYANI PITA KI SHIKSHA MEDHAWI PUTRA KO
(Sandarbh:Adhyay- 6.....Khand-1)

Aaruni namak vidvapurush tha,
Shwetaketu putra sukumar,
Dwadash varsh ki aayu men,
Kiya gaya up-nayan sanskar,
Guru-kul men ved-pathan ko,
Bheja Gaya Aarunikumar.

Varsh barah tak ved padhe the,
Ban gaya Shwetketu sujan,
Atipandit atimedhawi,
Kintu bat bat men abhiman.

Pita bahut hi chintit tha,
Dekh nij-putra ka vywhar,
Swakalyan aur janhit hetu,
Dene honge vivek sanskar.

Putra ! nahin hai uchit tanik bhi,
Tera yah mithya abhiman,
Barah varsh ke bad bhi tu,
Rah gaya tu nipat anjan.

Sarvagyani ka vesh banaye,
Kyon karta hai tu pramad,
Bahut jan-na baki hai,
Paya tu ne adhura gyan.

Kya tu ne wah vidya padhi hai,
Jis se hota hai nij ka sangyan,
Jise Seekh kar- use jan kar,
Ban sakte ho chatur sujan.

(Is vivek ko pakar, hey sut! )
Thoda sun- sab sun lega too,
Jo kabhi nahin suna tha jiwan men,
Jo aab tak na aa paya tha too ne,
Aa jayega thujh maan men.

Putra tha uddand abhimani,
Kintu bahut hi tha medhavi,
Aisi vidya na jani meine,
Fir kya hoga mera bhavi.

Ahankar us matishali ka hua tuarant hi choor,
Bola pitashree karen abodh par anukampa bharpur,
Karen kshama den gyan amolak,
Hey tat mein hun balak mazboor.

( Uddalak Aaruni ne putra Shwetaketu ko jo vivek purna atam gyan diya wah uparayukt Upnishad men varnit hai........uska ek udaharan isi post ke agle skandh{Pl. see above} men awashya dekhiye.......nahin to yah rachna adhuri lagegi)

Saugat : Nayeda

Saugat (Gurudev Rabi Thakur Ki Rachna:Anuwad)
Ari ! akhir men maut aayegi,
Jis din dar par tere,
Us din kya degi saugat.

Bhara hua saanso ka pyala,
Uske janib rakh dungi,
Karungi uska kahairmakdam,
Nahi jane dungi khali haath.

Kitni khijan-bahar ki raten,
Kitni subaha aur shamen,
Bhare hue meri sanso men,
Jinke mithe se ehsas.

Kitne phal aur kitne phool,
Rahte dil men mere jhool,
Sakoon-o-gam ki dhup chhanw men,
Jinka hua badhaw.

Maut aayegi dar par jis din,
Sarmaya jo din itno ka,
Sarnjam jo din itno ka,
Din akhari thal saja kar,
De dungi saugat.

Kal Aaj Aaaur Kal : Nayeda

Kal Aaj Aur Kal
Ek tarha se ye rachna Ankitji aur meri sanjha rachna hai.
Prologue ke rup men ankitji ke kuchh chhando ko pesh kar rehi hun :

SAMAY:KAL AAJ AUR KAL :
Samay sutra to aek hai,nam diye hai bhinn.
Kak-aaj-kal bhed men, sutra hua vichhinn..

Vigat diwas hi adya hai,adya hi hoy bahvishya.
Wahi prani aek guru hai, wahi hoyet hai shisya..

Dekhan ki seemayen hai,dristvya seemant,
Gyan chakshu jab khul jaye,dikhan lage anant..

Samay rahsya ko jane,mane na koi panth.
De sweekriti astitva ko, woh sachcha nirgranth.

Samay aek ki string hai jiske teen hisson kal, aaj aur kal ki baat hum karten hai, kabhi use bhut, vartman aur bhavisya men bant kar dekhten hai......kyonki hamari seemayen hai. Prem ke baren men bhi aisa hi kuchh kram chalta hai, jise vikash ki prakriya bhi keh sakten hai.......alag alag samay par alag alag rang. aayiye teen rupon men ise dekhen

KAL (Vigat)
Ashant trishna,
Nayee sadh,
Naye yatn,
Dolay chetan,
Paane ki akanksha,
Khone ka bhay,
Anhoni apekshayen,
Apurit ka vismay,
Milan ki pratiksha,
Bichhauh ki upeksha,
Udwelit tan-man,
Nayanon men asha,
Chintan men pratyasha,
Deh ka bahu chintan,
Satwikya Manchan,
Ghatit swalp,
Kritatva adhik,
Yugal sang-Brahamand prithak,
Kalpana ka pravah,
Ang Ang utsah,
sambandhon ki paribhasayen,
Nitya Nayee Bhasayen,
Har baat nitant par,
Har niryan ant par,
Aisa hi kuchh tha,
Vigat kal ka,
PREM.............................


Aaj (Abhi..abhi)
Shant trishna,
Sanyat Sadh,
Aprayatan,
Sath hone ki akanksha,
Seemit apekshayen,
Apurit ki sweekriti,
Milan-bichhauh samtulyayta,
Vastvik ko manyta,
Santulit chintan,
Viveksheel man,
Deh ko gaunata,
Adhyatm ko prathmikta,
Ghatit abhik,
Kritritva swalp,
Brahamand sang yugal,
Sahanubhuti prabal,
Dhara par vicharan,
Uchta ka avalokan,
Paraspar samajh,
Shant sthir jiwan,
Sambandhon ka yathopyukt mulyankan,
Jiwan men sah-astitva ka ankan,
Wahi gamak,
Wahi lalak,
Kuchh aisa hai,
Aaaj ka,
PREM..................


Kal (Aagat)
Sambandhon ka anawran,
Swatva ka tirohan,
Astitva se sanyog,
Mithyatva se viyog,
Nashwarta ka abhas,
Naisargikta har swas,
Sahajta hi Jiwan,
Karuna ka prabalya,
Maitri ka kaiwalya,
Chintan ho swachhand,
Moun ki yatra ka anand,
Gantvya ka vishmaran,
Aham ka arohan,
Kaal chakra ko sweekriti,
Moulik sweekarya-tajya anukriti,
Sheetal anubhuti,
Swabhavik prastuti,
Prabhu se Aektav,
Swayam ka swayam-
Par swamitva,
Kuchh aisa hi hoga,
Bhavi kal ka,
PREM...............

Sweekarti Samgarta aaur Mukti-Aek Chintan : Nayeda

Bhay se palayan,
Bhay se sangharsh,
Bhay ka alingan,
Hota hai use,
Sinchit kar,
Ankur,kompal,paudha aur,
Vriksha bana Dena,
Aek jungal bana dena.

Bhay ko jan,
Lekar uska sangyan,
Kar use sahaj sweekar,
Puchhen swayam se,
Bhay hai kahan ?
Uttar hoga : kahin nahin.
Yehi hai jiwan ka tathya,
Yehi hai usko jan-na,
Yehi hai usko man-na.

Bhay se kaisa bhagna ?
Bhag ke kaisa bachna ?
Kahan jana kahan chhupna ?
Jeewan men bhay hai,
Asurksha hai,
Mrityu hai,
Aisa hai,
Aek sahaj satya hoga,
Aisa hi jan lena,
Aisa hi man lena.

Sahaj sweekariti,
Sab samsyayon ka hal hai,
Mrityu sweekrit hai,
Mrityu kahan ?
Asurksha sweekrit hai,
Asurksha kahan ?
Bhay Sweekrit hai,
Bhay kahan ?
Bhed itna hi hai,
Bas ise jan lena,
Ise man lena.

Jeewan tathyon ko man lena,
Bhay ko sahaj sweekar karna,
Jeewan ko angikar kar ,
De dena sahaj Sweekriti,
Yehi hai Jiwan ki samgrata,
Aur nakaratmakta se mukti.

Khuda Behisab Deta Hai : Nayeda

Chasm na ho magar pyare, khuda to khwab deta hai.
Bhala ho ya koi bura, khuda behisab deta hai..

Jindagi jeena jaise bhi, to jee lo khushgirami se,
Woh chubhte khar deta hai, to khile gulab deta hai.

Garam tapati dhoop men parishan hona hai bewajib,
Sahra ki tapish men bhi woh chhaon-o-aab deta hai.

Nafrat ki is himakat se girate rahte ho kyon khud ko,
Khuda insan ko mohabbat ka mahaj rabab deta hai.

Khudi ko ibadat men buland kar pata hai jo banda,
Khuda us wali allah ko, sar subha apna adab deta hai.

Bhatkata hai tu rahon men, zustzu ars-e-nashin ki hai,
Woh basata hai dilon men hi, sada-e-jawab deta hai.

Chasm=eyes. Khwab=dreams.Khushgirami=enchanting gait. Khar=thorn Sahra=desert Aab=water Chhaon=shadow Himakat=foolishness Rabab=a stringed musical instrument.Ibadat=prayer Buland=elevate Zustzu=search Ars-e-nashin=God who lives in sky.Sada=call Jawab=reply

Aab Muskuraiye : Ankit

Gam-e-hayat men khud ko na mitaiye.
Aaudhe se andheron se bahir to aaeye..

Gurur ke fasanon se wakif hai aap bhi,
Bas Sadagi se yeh jindagi rangi banaeye.

Nala-e-murge sahar ko mohtaz kab suraj,
Kudarat ki haquiqat se na nazren churaiye.

Ranjishon ko dil men rakhe hue dafan,
Is jindagi ko khud ki lahad na banaeye.

Gaya kal kab aaya hai dubara lout kar
Aaj hi ek sach hai,hasin mehfil sajaeye.

Khola kijey dariche apne ghar ke bhi kabhi,
Mausam bada dilkash hai, tuk lutf uthaeye.

Hansne se ban-ta hai mauhal khusgawar,
Udasi ke drame ho gaye, aab muskuraeye.

Gam-e-hayat=Sorrow of life. Guroor=pride Nala-e-murge sahar=voice
of the bird that sings in morning.(Murge ki bang) Ranjish=distress,dejection, enemity.
Dariche=window. Lahad=grave.

Uhapoh : Nayeda

Achha bahut achha lagta hai
Bin bole tumhara bolna
Lekin uhapoh hoti hai
Jab Mein apne man ki sochon ke
Mayne teri nazron men talashti hun
Fir ruk ruk kar khud se hi puchhati hun
Yeh meri dundhali si samajh
Koi galatfahmi to nahin Hai.

Fir ek dilase ki tarha
Falsafana andaz men
Apne aap se kehati hun
Shayad aisa tab hota hai
Jab hum apni sochon ke aks
Dusron ko aaina bana kar dekhten hai
Ya bina jane
Kisi ko samjhane ka
Dawa kar beth-te hain.

Fir toot kar
Khud ko samjhati hun
Chalo achha hua...aur
Kadam badne se ruk jaten hai
Magar afsos ! mere kahne
Aur tumhare moun se janme
Ye pur-rang komal se sapne
Bin bole......Bin roye
Bemout hi mar jate hain.

Aei Mere Jan-baz Hum-safar : Nayeda

Jee karta hai
Khud ko jagakar
Sula dun tujh ko.

Bin chhuye
Pyar bhari nazron se
Sahla dun tujh ko.

Pee kar dard sare tumhare
Meri janmon ki khushiyon se
Saja dun tujh ko.

Tu muskuraye har-dum
Is manjar ko pane
Loota dun mein khudko.

Aei Mere jan-baj humsafar
Kyon gaye ho thak
Manzil ho jaye na mayus
Udas dekh kar tujh ko.

Nidan-griha men-Talash antim Satya Ki : Ankit

Nidan-griha Men:Talash Antim SatAaaj Subah
ya Ki
Dekhi ek sajili si
Naveli si naar
Kalidas ki upamaon ko
Jiska ang-ang kar raha tha sakar.

Suhana libas
Uska mridu haas
Deh se prasphutit
Bhini si suwas
Kah rahi thi
Sukhmay hai
Pritrapt hai.

Chehre par jhalakta
Taskin
Awaj men mehkta sakoon
Kah raha tha
Pyar deti hai
Pyar pati hai.

Swapanil aankhe
Muskate adhar
Sadagi ka andaz
Rango ka chunaw
Bayan kar rahe the
Sapne leti hai
Aur haquiqat ko bhi janti hai.

Sach to yeh hai
Us apritabh saundrya ko
Ek rog nidan kendra men
Dekh kar
Mein vismit tha
Vyathit tha.

Na puchho kaise ?
Magar jana
Shikha se nakh tak
Honge parikshan
Har ang ke upang ke
Har thos ke
Har drav ke.

Wah sundar tan
Tha peedit
Kai vyadhiyon se
Ho chala tha mein hairan
Aur pareshan
Uth gaye the
Katipay prashan Mahan.

Kya aise sundar grih men bhi
Koi kurup rah sakta hai ?
Satya kya hai ?
Deh ya Atma ?
Shashwat Kya hai ?
Jo hum dekhten hai
Ya jo hum jeeten hai ?

Mein vyakul
Samay ke pratikool
Bhatak raha tha
Antim satya ki talash men.

FIR EK DRISHYA:


Wahin Mil gaye
Ek vairagi
Honge koi Sadanand
Ya Sadchittanand
Ya koi aur anand
Par vihin anand se
Chehre par tanaw
Maan men duschinta
Soch bas ek hi liye
Aab kya hoga. ?

Deh ka chintan chhod
Atma ko jaan-ne
Parmatma ko pane
Jan Jan ko jagane nikle
Is pathik ko jab
Deh-chinta men dooba dekha
Uth gaye the fir se
Katipay prashan mahan.

Kya jogiya libas men
Ek bhramit manav rah raha hai ?
Satya Kya hai?
Yah tyag ya wah bhog ?
yah bhagna ya wah jeena ?

Mein vyakul
Samay ke pratikool
Pun: bhatak raha tha
Antim satya ki talash men.

Unmad Ya Pehchan : Ankit

Anchhui taza mehki si hawa kabhi kabhi
Uth-ti hai mere antar men
Hila deti hai jhakjhor deti hai duniyawee aawarano ko
Hata deti hai maan par jame kritrimata ke mail ko
Ujle darpan men dikhta hai
Mera apna bimb
Jise mein umron se dundh raha tha paraye nayno men.


Jinhe mein youwan mad men unmadit wasanayen ya ki
Antar ki surpankhayen samajh raha tha
Woh galat-fehamiyan thi parmparaon se dabi
Meri kayar manasikta ki
Ya thi weh auron ke munh se nikli
Irshya bhari katuktiyan
Un kachi-sachi bhawanaon ke khilaf
Jin ko yeh bhid haquiqat maante hue bhi
Jhutla deti hai-bardashat nahin kar pati hai.


(Iss sadharan si rachna ka, jo bahut samay pahle likhi gayi thi, mere jiwan men bahut
mahatva hai......aap sab ke saath ise share karna mano apne intimate doston se bahuk hokar baten karne jaisa hai.....umeed hai bhasa se adhik bhavon par nazre inayat karenge.)


Mein khush hun bahut khush
Pa raha hun khud ko halka-halka sa (kyonki)
Aaj pahli bar dekh paya hun thik se
Apne ko apne hi darpan men
Yeh koi unmad nahin
Koi kuntha nahin
Koi paap nahin
Yeh to meri khoyee huyee pahchan hai.

Aao Lout Chalen : Ankit

Aao Lout Chalen
Teri ankhon men
Na shikve hai
Na umeedon ke shoule hai
Aur na hi jajba-e-mohabbat hai.

Aao aab lout chalen
Us makam par
Jahan tujhko bhi sakoon
Aur mujhe bhi taskin hai.

Iss ek sang loutne ke daur men
Kuchh aisa bhi ho jaye
Hum-tum aek ho jayen
kyonki aaj isi masle par
Dono hum-yakeen hai.

Kyon Hai : Ankit

Ras aa gaya hai tang-e-kafas to fikr ashiyan kyon hai
Beparwahi ki fitrat thi to deeda-e-tar ka dariya kyon hai.

Kehten hai jo hua woh manjure khuda tha
Fir yeh fasil aap aur rakeeb ke darmiyan kyon hai.

Likhte rehre hai baj aaukat nagma-e-mohabbat
Fir aap aur hum mein yeh dureeyan kron hai.

Chup ho jate hai bol bol ke lab-e-goya
Trjuman-e-gam karne aap ki tanhaiyan kyon hai.

Derina Sharar to bujh chuki hai kab ki maji men
Mere is haal men aapki badgumaniyan kyon hai.

Deewaron par likhdi hai tahrir-e-ashk aapne
Jamane ko dikhane fir yeh khushfahmiyan kyon hai.

Takrir karte rehte hai aap sufiyana andaz men hardam
Ya allah ! ruki huyee tasbih men unguliyan kyon hai.


Tang=narrowness Kafas=cage/pinjra deeda-e-tar=bhigi ankhe
Fasil=deewar Baj aaukat=Kabhi-kabhi/sometimes Lab-e-goya=bolne wale hont
Trjuman-e-gam=dukh ka pratinidhitav karne wale Derina=purani Sharar=chingari
Badgumaniyan=galatfahmiyan Tahrir=likhawat Ashk=anshu/tears Takrir=bhasan/speech Tasbih=japmala/rosary

Mera Naseeb Hai : Ankit

Kyun khojte hain sanse hum dafinon mein
Tum mil na sake mujh ko mera naseeb hai.

Tere darichon se aab bhi aati hai sadayen mujh ko
Kya hua shabistan mein tire mera rakib hai.

Kyo karen surat-e-hal ki tankeed har-dum
Rishton ke ranj-e-safar ki ibdita ajeeb hai.

Khwabon mein bhi sochten hain sirf tujhko
Deewana hun bekal kahten mere habeeb hai.

Ajanabi bhi jante hai hale dil mera
Woh chup kyun hai jo mere dil ke kareeb hai.

Mubarik ho duniya ki lalo-guhar tujh ko
Hum jaison ki kismat mei shayad saleeb hai.

Nawashta-e-deewar ko padh nahin sakte
kyon kahe jate hai ki 'Saroor'* ek adeeb hai.



(*Mein 'Saroor' naam se bhi kehta hun.)

Dafinon=grave yards Shabistan=bedroom Tankeed=criticize Bekal=restless
Habeed=friends Lalo-guhar=gems n pearls Ranj-e-safar=travel of pain/grief
ibdita=begining Nawashta-e-deewar=witing on wall Adeeb=literary person

Tera Aana : Ankit

'Itta' sa tera aana,
iss shahar ki barish ki tarha hai,
jo ek lambi si,
janlewa tapish ke bad,
bas yun hi chali aati hai.

aur mahaj kuch der,
be maan baras kar,
fiza mein aur jiyadah,
umas o' udasi,
chhod jati hai.

aao magar,
iss kadar aao,
ki mausam badal jaye,
udasiyan hansne lage,
aur gulshan mehak jaye.

na ithla,
tuk soch aei mere badal,
tum mein jo jal hai,
woh mera hi jal jana hai,
too chahe jaise bhi barse,
tujhko,
mujh mein mil jana hai.

Saang Aek sham ka : Nayeda

Anjuman mein larzati
Teri aawaj ne
Barsa di mujh par
Khusiyon ki barish
Warna meri aag ke liye
To shabnam ki
Ek boond kafi hai.

Aag to bujh gayee
Aei mere hum nashin
Tashangi dil ki
Magar ab bhi baki hai.

Hum jante hai
Teri mehfil mein
Maay, sagar aur rind
Be-muafi hai-(magar)
Is tanha jindagi ko
Tumhare saang ki
Ek sham kafi hai.

Khumar Men Sou Jayen : Ankit

Tera yun khoya khoya sa rehna
Chup reh kar udasi ki nazm gungunana
Gujrata hai nagwar
Mujh ko.

Maanta hun judai ki ek
Apni tapish hai
Magar yeh bhi to
Mohbbat ki ek kashish hai.

Aao ! ek daur
Un khusiyon ka jo humne saang saang jiyee thi
Maay samajh kar ho jaye
Kal aaj aur kaal to aate jate hain
Aao bas
Khumar men so jayen.

Har Baat Aab Ruhani Hai : nayeda

Jab se huye tum murshad mere
Jana ki wajood ki baten sab bemani hai.

Tujh se hi mein hun, mujh se hi tu hai
Baki sab jhoote fasane O adhuri kahani hai.

Tohmaten dete hai sab barham hokar
Manjil-e-mouud ki hakikat jinhe anjani hai.

Sukhan-faroshi ho ya dayanatdari
Maglub-e-guman hai sab kuchh, dad-o-ilzam sab fani ha.

Andhere- ujale, hijr-o-wasl, neki-ajab sab ek hai mujh pe
Khwab-e-farda be-simt baten hai, yeh sab aani jani hai.

Maktal ka daar chala gaya hai aab mujh se
Masloob hun to kya, munsif ki shakl meri pahchani hai.

Gam-o-khushi se beparwah ho gaya hun mein
Bas junoon-e-ishk hi aab meri jindagani hai.

Hisar-e-jat se jab se nikala hai mujhe tum ne
Har soch men meri hai mohabbat, har bat aab ruhani hai.


Murshad=Guide/margdarshak. wajood=astitva. Tohamte=dosh
Barham=pareshan Manjil-e-mouud=decided destination-nischit lakshya
Hisar-e-jat=astitva ki gherabandi Sukhan-faroshi=swarathparta/selfishness
Dayanatdari=udarta Maglub-e-guman=Bhram se hare hue Ilazam=aarop
Dad=prashansa Maktal=wadhsthal Masloob=fansi par chadhaya jane wala
Hijr=virah Wasl=milan neki=punya ajab=paap khwab-e-farda=aane wali raat ka sapna be-simt=dishahin ruhani=atma se sambandhit.

Monday, September 29, 2008

Ummeed Hai Ki Tu Fir Lout Aayegi : Ankit

Woh Chhote se din
Aur lambi si raten
Teri aur Meri
Aboli si woh baten
Aaj mujhe fir yaad aa gayee hai.

Khuli khidaki se
Aati Hawa ki manind
Aaj tu phir chhu gayee hai
Ek aash jaga kar
Purane jakhmon ko
Fir hara kar gayee hai.

Badwan khulne se
Pehle ka ishara hai
Ya ki tera sahil ko dekhna aur
Mujhe samandar ka fir se jimma dena
Kuchh bhi ho
Mujh ko aaj bhi ehsas hai tera
Umeed hai ki tu fir lout aayegee.

Aandhkar aaur Prakash : Ankit

Tam ki chinta chhodo
Prakash ko pradipt karo.

Jo sochten hai
Sochte rahte hai
Bas tam ka
woh nahin pahunch pate
Kabhi Prakash tak.

Hota hai har jiwan men
Andhkar
Kar use swikar-angikar
Kuchh log
Ksheen kar lete hai
Prakash prapti ki
Akanksha ko.

Yah swikriti andhkar ki
Ek paap hai
Apradh hai
Tumhare apne prati hi
Yahi janmata hai
Dusron ke khilaf
Tum se hone wali
Nadaniyon ko
Tumhare nirapradh apradhon ko.

Kuchh log
Andhkar swikarya se bachne
Jut jate hain
Satat use
Nakarne men
Aur andhkar ka nishedh
Ban jata hai unka
Ek matra upkram.

Bhool hoti hai
Tam ki hasti ko swikarna
Uski kalpnik satta ke sammukh
Sir ko jhuka dena.

Waisi hi bhool hoti hai
Us se bewajah ladna
Dono hi hai bhram manuj ke
Dono hai agyan
Sadiyon se sadhaye huye
Manav man ke.

Andhkar kuchh bhi nahin
Hai prakash ka na hona
Prakah ka aagman hi
Mita deta hai
Ghor Tam ko
Kar alokit kan kan ko.

Andhkar se ladna matra
'Aa'-'Bhav' se ladna hai
Ek bahtkaw hai
Ek vikshipatata hai
Ardh chetan man ki.

Ladna hai to
Tam ko mitane nahin
Prakash lane ke liye lado
Prakash pa kar
Prakash la kar
Tam ko swat:
Mitne do.

Na tam ko sweekaro
Na tam ko nakaro
Na tam se lado
Tam tumhara lakshya nahin hai
Tumhara gantvya hai Prakash.

Utho! aage badho
Pane Prakash ko
Lane Navjyot ko
Jo tam ko nigal kar
Kar de roshan
Tan Man ko.

Mera Aakhri Safar : Nayeda

Meri jindagi ka shajar jab girne ko hua,
Shakhon par baithe parinde bhi ud gaye.

dar-o-bam bhi rone lage ham-saye bhi the chasm-e-tar,
Apno ke kai khwab bhi deeda-e-tar men doob gaye.

Ittila-e-hamd thi ke harf-e-talab us roj,
duaon men uthe woh haath bhi lahra kar ruk gaye.

Rakht-e-safar ko us din yun karke rawana,
Ta-jindagi nibhane wale kandha dene thahar gaye.

Fooka gaya tha bejan badan mera marghat mein,
Khuli ankhon ke putle rishta-e-benam ko taras gaye.

Aab jeene ki nadamaten thi na marne ki khalish,
Sare dilejaron ko chhod hum apni rahgujar ko chal diye.


Shajar=tree. Dar-o-bam=doors and roof. ham-saye=neighbors
Chasm-e-tar=wet eyes. Deeda-e-tar=drown in tears.
Hamd=Praise of god. Hrf-e-talab=begging, yachna ki baat.
Rakht-e-safar=luggage n baggage fo travel(yahan jalane ke liye shamshan ko lakdiyan
bhejne se mayne hai) Khalish=pierce,chubhan Nadamaten=shames/sharmindagi
dilejaron=co-traveller rahgujar=path, marg.

Aek Bulawa Ashk Bahane Ke Liye : Nayeda

Aao Saath Rou to Len

Us din achanak,
Tum dikh gaye the,
Jheel kinere ki,
Bhid mein-ek arse ke baad.

Nazren mili thi,
Tum Hum thithak,
Gaye the,
Butt hi ho gaye the.

Mujhe laga,
Aaaj ka suraj na dube,
Din thahar jaye...tum bhi,
Na lotne ke liye.

Teri ankho ke kale,
Keh rahe the,
Udasiyon ki sangat ne,
Tujhe bhi bana dala tha UDAS.

Meri muskurahten,
Meri khusgawari,
Nazar karni chahi thi tumko,
Magar thujhe tha bas inkar.

Tumhari tarasti ankhe,
khoj rahi thi apnapan,
Dil ki tanhaiyon men,
Kisi ka saath.

Duniya ke dasturon se pare,
Ek jindagi aur bhi ho sakti thi,
Na Teri na Meri,
Teri bhi Meri bhi....bas apani.

Dekha tum jakde ho,
Riwajon ke nagphason men,
Jhutla Rahe the khud ki,
Sachhayiyon ko.

Jab hansna,khilna aur,
Gungunana na tha gawara tujh ko,
Menen kaha tha dheere se,
Aao saath saath rou to len.

Ehsas Kuchh Hone Ka :Nayeda

Ujiyari dhoop,
sone ka jhol,
Ya khudai roshani ka noor,
Suraj ki saugat si,
Ya maa ki gaud ki garmahat si
Aseer ke bahar azadi si,
Jab bhi chhuti hai mujhe,
Mujhe apna wajood,
Jata hai mil aur,
De jata hai ehsas,
Kuchh hone ka.

Mast Pawan ka jhonka,
Ya shamim diwani si,
Mehboob sa sparsh,
Tansen ka sangeet,
Jab bhi chhuta hai mujhe,
Mujhe hota hai,
Apne hone ka ehsas,
Aur de jata hai sandesha,
Kuchh hone ka.

Barish ki bochharen,
Mano khushboo ki fuharen,
Ya kudrat ke ishare,
Bheege bheege se nazare,
Jab bhi aate hai pas mere,
Mujhe hota hai vishwas,
Kisi ke apne hone ka,
Aur gunguna jate hai geet,
Kuchh hone ka.

Lahron ki chinghare,
Mano karbala ke lalkare,
Sagar ki gahrai,
Ya uske adi-ant ka aprichay,
Jab bhi do-char hote hai,
Mere jehan-o-jigar ke,
De jate hai mujarrab sa mutal-aa,
Kuchh hone ka.

Parbaton ki uttang chotiyan,
Un par jamin barfon ka thospan,
Suraj ki tapish se pighalana,
Jharna ya darya ka ban jana,
Foonkata hai nit naya mantra,
Meri khudgarz kayeenat men,
Sikha jata hai ek sabak,
Kuchh hone ka.

Indra dhanush ke rang,
Badlon ka umadna,
Mor ka nachna aur,
Koyal ka kookna,
Jinda kar jate hai mujh ko,
Foonk ke pran mere murda jism men,
Jaga jata hai arman,
Kuchh hone ka.

Kyon ho jate hai hum gafil,
Jindagi ki jaddo-jahad men,
Murjhaye se rahte hai hardum,
Goya baste rahen the lahad men,
Kya hua thoda na mila,
Bahut dala hai usne meri jholi men,
Khudayee Karam ka jalwa,
Deta hai dilasa,
Kuchh hone ka.

Khuli Khidkiyan : Nayeda

Husain Sagar ke kinare
Halke kadmo
Aur bhari maan ke saath
Chal-te chal-te
Meine us din-jab
Khulepan ka tohfa manga tha
Tu ne kaha tha :--

Khidkiyan jab bhi khulati hai
Aek thandi hui sisaskati si saans ko
Aek mahke mahke se
Garmahat bhare
Khule aakash ka ehsas deti hai
Aur lagta hai
Bahut kuchh hai naya
Kitna anjana sa
Bahut kuchh jan-na hai
Kitna kuchh pana hai

Par is aakash men kabhi kabhi
Aek toofan umadta hai
Khuli khidkiyon ko joron se thapedta hai
Aur na sirf yeh khidkiyan
Khule darwaje bhi
Dar kar bina sahme band ho jaten hai

Isliye in darichon aur darwajon ko
Pahle se hi adagi(stopper) pe sambhal lo
Taki weh apne is naye wajood ko
Kabhi na kho sake
Aur waqt ke saath aur jiyadah
Khulate rahen
Sambhal ke-Samajh ke.

Khar aaur Gulab : Baat Nazriye Ki : Ankit

Hajaron kharon,
Aur aek nanhi si,
Gulab ki pankhudi,
Ko lekar bahas hui.
Kanto ki tadad,
Jiyadah thi,
Is waste votes bhi,
Jiyadah the.

Magar ehsason,
Jajbaton,
Aur sochon,
Ki bulandi,
Voton se nahin ho sakti,
Unhen to rooh se hota hai,
Mehsoos karna.

Kisi ne mehsoos kiya,
Dil ki gehrai se:
Aek chhoti si pankhudi,
Gulab ki,
Apne men aek mojza hai,
Kudarat ka aek kaishma hai.
Parawardigar ka noor hai.

Hazaron Kanto ka,
Ekhta hona,
Koi dilkashi nahin rakhta,
Kuchh bhi sabit nahin karta.
Mahaj iske ki,
Kitni hairan kun hai,
Yeh duniyan,
Jahan itne tikhe khar hai,
Wahan bhi resham se,
Narm gulab paida ho,
Sakten hai,
Khil sakten hai.
Yah inhissar karta hai ke,
Hum kis nazariye se,
Dekhten hai.

Mojza=miracle. Hairan Kun=wonderful. Dilkashi=attraction. Inhissar=depend. Nazariya:view-point

Phool Kyon Khilta Hai : Nayeda

Us Din Phool se mulakat ho gayi,
Meine puchha : aei dost !
Tum kyon khilte ho ?
Mere sawal men jigyasa bhi thi,
Ascharya bhi,
Aur irshya bhi.
Phool sahaj ho kar bola:
Tum kya sochti ho,
Ki mein kyon khilta hun ?
Jaisa ki hota hai,
Hamare bemani,
Ya ba-mayne wale sawal,
Aur apne dimag men,
Pahile se bhare jawab,
Hamari sochon ke,
Aks hoten hai.
Meine kaha,
Tum dusron ko khusboo,
Dene khilte ho.
Phool ne 'na' men sir hilaya,
Bola: Tab to mujhe khilne ke liye,
Kisi aur ka karna hoga intezar,
Ya usko rakhna hoga har waqt
Tassvur men,
Ya sweekarna hoga,
Us fani shai ka astitva,
kya mera khilna us par nirbhar nahin,
Ho jayega ?
Uske na hone ke ehsas se,
Mere khilne ka kram,
Ruk na jayega ?
Bola Phool:
Kuchh aur socho aur kaho.
Meine kaha:
Tab tum inam pane ke liye,
Khilte ho.
Phool ne fir 'na' men sir hilaya,
Bola: Mein koi padam pususkar,
Ya Veer Chakra pane ke liye,
Nahin khilta hun,
Woh to kuchhek ko milten hai,
Jab ki phool to sare,
Khilten hai,
Kaise hoga yah chayan?
Bola phool:
Kuchh aur socho aur kaho.
Meine kaha:
Tab tum jag men izzat aur aauhada,
pane ke liye khilte ho.
Phool ne aek bar fir 'na' men si hilaya,
Bola: Mujhe janam ke saath hi apne,
Thode ayusya ka ehsas hai,
Mujhe toda ja na hai,
Ya murjha kar gir jana ha.
Fir kaisi izzat...kaisa aauhada ?
Bola phool:
Kuchh aur socho aur kaho.

Mera dhairya jawab de chuka tha,
Phool ke satik bayano ne,
Mera hausala past kar diya tha.
Magar sach ko janne ki utkantha,
Himmat de rehi thi.
Meine kaha:
Fir tumhare khilne ka makasad kya hai ?
Kya tum aadmiyon ki tarha,
Bina maksad ke hilte dulte ho,
Aur bas yun hi khilte ho ?

Phool mand mand muskaya,
Mujh ko bhi thoda chain aaya.
Phool ne jhumte huye kaha:
Mein apne anand,
Apni mauz,
Apne sakoon men khilta hun,
Tumhari baat adha sach hai,
Mein bina maksad ke khilta hun,
Mere khilne men 'ke lye' nahin'
Bas 'men' hai,
Mein jeene ke jajbe men khilta hun,
Mei marne ki mukti men khilta hun,
Antim satya jan chuka,
Isliye aei mere dost,
Mein apne diwanepan men,
Khilta hun.

Mein tabse 'ke liye' aur 'men',
Ke rahsya ko jan-ne,
Karne aur Hone ke,
Bhed ko atmasat karne,
Smagra Sweekriti ko apanane,
Aur Sakshi Bhav ko hasil,
Karne ke kram men,
Khile hue phool ki,
Sangat men,
Mujh jaise bahuton,
Ki pangat mein,
Shumar hun..........................

Tum Ko Jeena Chaheta Hun : Ankit

Saath hone ki chahat,
Sapna ban jaye,
Jeene ki rah,
Khud bandish ban jaye,
Tu hi bata,
Mere hum-dum,
Kaise Hanse Hum ?

Tum mile to laga tha,
Jindagi jeene lagi hai,
Murjhae hui har shai,
Khilne lagi hai,
Aaj baharon men khija,
Jab aane lagi hai,
Tu hi bata,
Mere hum-nashin,
Kaise hanse hum ?

Jab tu na hogi,
Mein chup reh kar,
Khud ko khoj ne lagunga,
Jism ko bhool,
Ruh men jeene lagunga,
Magar aaj hai wo hi arman,
Tu hi bata,
Mere hum-raj,
Kaise hanse hum ?

Jab talak tum saath ho,
Meri har saans aur jajbat ho,
Mere wazood ki har baat ho,
Tum ko dil men basaye,
Sab Ehsason ke saath,
Tum ko jeena chaheta hun.
Tu jara hans ke dikha,
Ae mere Hum-safir*,
"Kaise hanse HUM ?"

*Hum-safir=Friend who sings together.

Bikhre Se Lamhe : Ankit

Mein nahin janta yeh triveniyan hai, she'r hai ya kuchh aur. Bas itna hi ki alag lag lamhon men kuchh jajbat, kuchh soch, kuchh kehne, kuch su-ne ubhare, un lamhon ko kalam band karne ki koshish ki. Aaj unhi lamho ko aapke saath baant ne ke liye hazir hua hun.

*(1)

Band ankhon ko andhere satate hain,
Jage rehne se ehasas.
Aei raat bata aab mein kya karun ?

*(2)

Kaun kis ko dundh reha tha na jane,
Kaun kar reha tha kis ka intizar.
Chand ko teri khidki ke bahar dekha gaya.

*(3)

Sapne so gaye the thak kar,
Tum ne itna kyon taka tha.
Badalte hue chand ko.

*(4)

'Tum' 'mein' ho...'Mein' tum,
Fir sang chalne ki aash kyon.
Kyon na apni apni rahon se chal,
Pahunche sang sang manjil ko.

*(5)

Aao moun hokar,
Mehsoos karen aek duje ho.
Bolne se baaten parayi ho jati hai.

Granthi ka Visarjan : Nayeda

Bair se nahi mitaya,
Ja sakta hai bair ko,
Pratishodh nahin,
Bujha Sakta dahkte pratishodh ko.

Prem ka neer,
Mitata hai bair ko,
Kshma ka jal,
Bujhata hai pratishodh ko.

Purani baten.
Purane aghat,
Yadi laten hai smriti men,
Pratishodh,
Janam Jata hai privarti men.

Nahi rakhten hai,
Das sal purana calendar ghar men,
Fir kyon baten us-se bhi purani,
Aa jati hai swar men.

Khand Khand hota hai manav man,
Sarowar ki shusk mitti ke tulya,
Jahan jal samapti par padti hai dararen,
Agan ban jate hai nafrat ke sharare.

Jis maan men hoti hai,
Katuta, kalah aur dwesh ki bhavna,
Wah chit kshudra hota hai prem-rahit,
Aur deta hai,
Apne aham aur krodh se,
Swayam aur anyon ko partadna.

Itihash ke panno men jahan bhi rakt bahe,
Pratishodh ke bimb the lahraye,
kyon na hum jiwan bodh jagayen,
Pratishodh hata prem ganga bahayen.

Granthi ka visarjan hota hai,
Santulan,Samyam aur Sakshi Bhav se,
Sweekaren Samagra ko aur jagrit ho,
Hokar mukt heenatva prabhav se.

(Ek jagrit manishi ke vicharon se prerit)

Dil Ki Sachchai : Aek Andaze Mohabbat -- Nayeda

(Meri ek antarang saheli formal talim nahin ke barabar pa saki. Uski nikah aek aise aadami ke sath hui jo bahir mulk se bahut kuchh talim aur ilm hasil kar ke aaya. Wah, aek nek aur jahin insan hai, apne work field men bahut hi kamyab hai, aek jimmedar
aaulad, khavind, baap, dost aur shahri hai..........Uske likhe drame Pakistan Tv chanels
par kai dafa air ho chuken hain, uske likhe geeton men bhi kashis,rawani aur gehrai
hai. They are an xecellent couple.Mujhe apni friend ko khush pa kar behad khushi hoti hai. Usse hui antarang baaton ko meine poem men dhalne ki koshish ki hai...........jindagi ki yeh sachchai shayad kayeeon ke dil chhu sake.)

Woh mera Dost hai,
Mera Humdam,
Mera Khuda,
Mein bhi uski dost,
Humdum aur khuda hun.

Hamne apne khwabon ki,
Duniya ko in char hathon,
Aur khuda ke karam se ,
Banaya hai,
Sajaya Aur sanwara hai.
Mein uski bahut si,
Baton ko nahin samajhti,
Na hi samajhne ki juroorat hai,
Mujhe to bas use bolte,
Dekhna achha lagta hai,
Uska lehja aur andaz,
Mere dil ko chhuta hai.
Uske aankhon ki juban,
Mahaj mein hi samajhti hun,
Duniya use padhe sarahe,
Yeh 'hamari' khush kismeti hai.

Uska sabse bada navil,drama,
Geet, Gazal aur kahani woh baat hai,
Hamare gaon ke kheton ki,
Jise woh apne usi..usse behtar,
Andaz men kehta hai...bar bar.
Jindagi aek murabba(khet) hai,
Hum dono jimindar(kisan),
Mein hal chala reha hun,
Aur tum beej bikhere ja rehi ho.
Mein kamar par angochha bandhe,
Nirai kar raha hun,
Tum bhi haath banta rehi ho,
Tum aur men saath saath 'Heer',
Ga rehen hai,
Sara alam mano jhum reha hai.
Yeh lahlahati faslen,
Sunhali phooli sarson,
Hare bute,
Apni hi jindagi nahin to kya hai ?

Insan kahin bhi hokar aa jaye,
Kuchh bhi ban jaye,
Apne jamin, apni mati ki,
Jo sachai sadiyon se hai kayam,
Koi use kaise jhutla sakta hai.
Jindagi ke kheton men,
Plastic ke beej kaise bo sakta hai.

Jab jab woh uljhan men hota hai,
Mere agosh men aa suljhata hai,
Kathin se kathin sawalon ke,
Jawab mujhse hi pa-ta hai.
Uski har nazm ki pehli tanquid,
Meri hoti hai,
Uske har she'r ki pehli dad,
Meri hoti hai.
Meri ankho men uski har ,
Gazal basti hai,
Kya hua mehfil men,
Auron ki taliyan bajti hai.

Mere saath chay ka aek garam piyala,
Usko-mujhko deta hai nayee jindagi,
Ghar ka bana khana, nanhon ka saath,
Furasat ke subaha sham,aur sanjhi bandagi.
Iske alawa bhi hoti hai jo duniya,
Kya humen nahin hai woh bhi muhaiya ?
Khush rehna hansana hamari fitrat hai,
Hamare liye yehi hai jannat, yehi kudarat hai.

Rishton ko 'relationship' kehten hai,
Meine aab jana.......'going around'
Aur 'Break Off' ke mayne ko pehchana,
Longing' ki chhoti lambai ko bhi napa,
Lafjon ke is numayash ki gehrai ko mapa,
Dil se padha...dil se jana...dil se mana,
Jindagi ka kuchh bhi bhed raha na anjana.
Jine ke liye juroori hai sanso ka aana o' jaana,
Ginane walon ka chhota hota hai jamana.
Mujhe kisi darvesh ki is bat men hai 'joy'
Dhai akhar prem ka padhe so pundit hoy.

Inferiority Complex : Nayeda

(Meri aek class-mate ke phd. ke liye research ka subject "Inferiority Complex & Violence---In World History" tha......us jamane men meri bhi research ka kam chal reha tha aur hum aek hi guide ke tahat hone ke nate apni baten share karte the. Hal hi men woh baten khayal men aayee aur natiza yeh rachna hai.)

Tarikh ke panne,
Khoon aur julum-o-sitam,
Ki dastano se bhare hai,
Aaj bhi insani fitrat,
Kab inse pare hai.

Hue hai bahut dayanatdar,
Jehani aur roohani takat,
Ke dhani insani tarikh men,
Jhalak unki aaj bhi hai tehjib men.

Khojna tha ki heen bhavnaon,
Ka kya aasar hota hai insani fitrat men,
Tehlka kyon barpa karten hai,
Yeh log sidi sadhi khuda ki kudarat men.

Nam aaye the saamne sitamagar,
Temur aur Mama shri Sakooni ke,
Hitler, Rasputin, Cleopetra,
Mehmood Gaznavi aur Musolini ke.

Pahila observation tha,
Jinmen jismani kami thi,
Unmen Heen Bhavna,
Joron se jami thi.
Hinsak, irshyalu aur kutil the,
Temur aur Mamashri ati-jatil the.
Yeh galat hi nahin,
Bina koi buniyad tha,
Sher-e-punjab Ranjit Singh Raja,
Ka secular n democratic jajba,
Humen bakhub yaad tha.
Dhritrastra ki apni mazboori thi,
Sur Das ki rachnayen kahan adhuri thi.

Fir Hitler, Rasputin,Cleopetra,
Mehmood, Musolini to pure the,
Unki barbarta ke kisse,
Kya bebuniyad aur adhure the.

Aek baat sab men thi saman,
Iferiority complex ya Heen Bhav ki,
Wohi Irshya,dwesh,hinsa, pratihinsa ban,
Badal deti thi tasvir unke swabhav ki.

Dusron se jalna-prabhutva hasil karne,
Kuchh bhi kar dena unki aadat thi,
Unche ususlon ki aad men,
Khud-parasti aur havi hona unki takat thi.

Aagaz bulund tha.....jindagi be-sakoon thi,
Akhir tha dard-nak, har baat bas junoon thi.
Heen Bhavna ke shaitan ne khuda se duriyan badhai thi,
In bhatke huon ke kartabon se insaniyat sharmayi thi.

Purnta : Nayeda

Ishvashyopnishad ka aarambh 'Shanti Path' se hota hai jo apne aap men ek gudh darshan hai.

SHANTI PATH:

Aum purnamad: purnamidam puranat purnamudchyte !
Purnasya purnamaday purnamevavshishyte !!

BHAWANUWAD KA PRAYAS:

Parmatama bhi pura,
Yah sansar bhi pura,
Sansar upaja hai pramatma se,
Pure se pura nikaljaye, bachta hai pura,
Sansar nikale bhi to prabhu hai pura,
Aur yah sansar bhi nahin adhura.

Aek deepak ki lou,
Jud ke dusre diye ki lou se,
Kar deti hai use bhi alokit,
Lou ki damak dekar bhi,
Pratham Deep rehta prakashit,

Pure Se pura nishkashit,
Shesh hai jo, nahin adhura,
Vishva ko nij se upaja,
Parmatma tathapi pura.

Sinhawalokan Sambandhon Ka : Nayeda

( Yeh rachna vishwa prasidh guitarist Eric Clapton (Layla, Wonderful Tonight fame) aur usi ke sadarsh hamare aek 'family friend' ke jiwan anubhavon par adharit hai.)


Meine Paya hai,
Aapne jiwan vyavhar men,
Aek pratiman,
Jo karta raha hai punravariti,
Swayam ki,
Varshon Varshon,
Dashkon Dashkon.

Anupayukt chunav,
Sambandhon men,
Rahi hai meri visheshta.
Aevam yadi koi,
Nishkapat va riju,
Shalin va shlil,
Rishte aate the,
Meri rah men,
Mein ya to unhe deta tha tal,
Athva Aapne ko chura leta tha,
Aankhmichauli men khud ko,
Bacha leta tha.
Anyatha nazren chhupa,
Apne dambh ya khushfahmi,
Ke bhram ko liye,
Bhag leta tha,
Anya marg par.

Aab mein hun,
Aakela........
Nitant Aakela !
Us vriksh ki tarah,
Jo registan men,
Khada hai aekaki,
Takta door door tak.

Bhav Chintan aaur Kriti : Nayeda

Mein aksar keha kartin hun aur yehi mera tajurba bhi hai ke jajbat agar dil-o-jehan men
ho to shayari ke liye lafz,painting ke liye subject aur raang,nritya ke liye steps, sangeet
ke liye sur-jhankar.......aur aisa hi bahot kuchh kudarti taur par ghatit ho jaata hai. Meri yah nazm isi jajbe ko aap se bant-ne ke maksad se, meine likhne ki koshish ki hai.

This is based on a dialogue between the famous painter Vincent Van Gogh and the studio CEO Brigadier Gauguin. The Brigadier is of the view that the painter should go on painting and should not have any theories. And Vincent Van Gogh utters how he feels about. A powerful delivery of sentiments and thoughts.

I came across this powerful version of Van Gogh while reading Irving Stone's "LUST FOR LIFE', a biographical novel describing the life of the dutch painter who was simply inimitable..........who stood alone........who shined alone in the sky full of stars......sab se alag ......apne aek anuthe andaz men.

Aek falsafana rachna hai, arj hai barae navajish thoda bardasht karen iske saath, ho sakta hai hum sab bhi shayar hain aur yeh hamari si baat ho......aur yehi ehsas lutf de jaye.

*************************************************************************************
Bhav Chintan aur Kriti

Jab mei karta hun surya ko ankit
Chahna hoti meri
Jan-jan ko ho jiwant abhas
Bhisan ghuranayman Surya ka
Jo de reha ho lagatar
Prakash aevam Ushma ki
Ati shaktivan
Tarango ka.

Jab men karta hun Kheton ka chitran
Chahna hoti meri
Jan-jan ko ho sans leta sa vishwash
Anna men nihit anuon ke
Charam prasphutan ka
Aevam gunjayman
Vikhandan ka.

Jab mein karta Sev ka ankan
Chahna hoti meri
Pratyek ko ho pranpurna ehsas
Sev men sarabor ras ka
Us ke twcha ki aur agarsar hone ka
Beejon ki marmsaparshi prayas-sheelta ka
Jo swa-pallwan ki aur
Abhiyanit ho.

Draksh Udyan Ka Drishya

Angur jo falit aur prasphutit ho rahen hai
Aur chhaud rahen hai ras bhari phoohar
Tumhari nasikaon men.
Yahan adhyayan karo
Is darre ka
Chahna hoti Meri
Har Aek kare mehsoos
Us vishal tivra pravahman jalrashi ko
Jisne iss ki bhitikaon ko
Ha dala vichhinn.

Jab mein karta manav chitra ka ankan
Chahna hoti meri
Jan-jan ko ho yeh jiwant abhas
Manav jiwan ke samgra pravah ka
Manuj ke har avalokan
Aevam utpidan ka,
Kheton ka jo upjate anna ko
Aur karten niskasit us jalnidhi ko
Jo tivragati se hai laharati
Us darre men,
Angur ke raas aevam manav jivan ka
Jo pravahit hai
Samrup se.

Jiwan ki aekrupta hi
Lay-tal ka aekatva hai.
Aek sur-tal jis par
Hum sab kar rahen hai nritya
Hum sab: Manav, Sev,Darre
Ghar, Gadi,Khet, Ghode
Aur Sarvashaktiman Surya.

Jo tatva tum men hai
Wahi hoga kal angur men
Kyonki tum aur angoor
Ho aek....aek....aek.

Jab mein karta krishak ko ankit
Khet men atyant hi svedit
Chahna hoti meri
Sab ko ho yeh jinda sa ehsas
Krishak ka
Kheton men vegit pravahman
Samtulya samrup anna ke
Aevam mrida ka
Jo ho rahi ho pravahit
Tadanurup Krishak men.

Jivan Ko Janana

Utkat Chahna hoti meri
Unhe atmik anubhav karane ka
Surya ke tivra sanvahan ka
Krishak men,
Khet men,
Anna men,
Haal men,
Aevam ghodon men.

Jab tumhe hoga ant-stahal men
Aabhas.......................
Sarva-vyapak sarvatomukhi lay-tal ka
Jis par chalayman hai
Prithvi ka sarvasva,
Tum karoge aarambh
Jan-na Jivan ko
Bas wahin se
Bas wahin se.

Ghas Doob aaur Irshya : Nayeda

Ramnik bhavya udyan-prangan
Aek bhag achchhadit
Sukomal ghas se
Jahan baith
Nar-nari payen vishram
Ho kar sfurat
Has aur parihas se.

Wahin kuchh sthan tha
Doorva se achchhadit
Jiske trinon ko
Sadar le nar-nari
Arpit karte devalaya men,
Ho kar nat-mastak
BhaV-vibhour abhari.

Doorva thi atyant dayalu
Kintu ghas kunthit irshyalu
Dekh doob ko parabhu charnon men
Krodhit ati thi ghas
Swayam khinch leti
Samast jal ko wah dweshi
Aab kaise bujhe doob ki pyas.

Peet varna hui doob thi
Kyonki neer na paati thi
Dukhi dekh us nirih ko
Ghas bahut itrati thi
Mali ne dekha doob ko
Maranasann stithi ko
Tod ukhad pun: palan kar
Sanwar diya durva-niyati ko
Samast dhyan raha mali ka
Matra doob ki aur
Upekshit ho gayi ghas dweshi
Sushk hue aur wa chhour.

Doorva pun: pallvit ho gayi
Ghas bani pashuon ka chara
Irshya-dwesh kahan pahunchaye
Yeh parinam katai na vichara

Chale Aao : Nayeda

Sawan ki phooharen
Kare hai ishare
Chale Aao
Bahon men lene mouhe
Pee ! Chale Aao......

Bhiga badan moura
Pyasa tan-man moura
Chale Aao
Garwa lagane
Sajan ! Chale Aao.....

Ghiri hai badariya
Bichhi hai chadariya
Chale Aao
Bijuriyan chamkane
Preetam ! Chale Aao......

Pyase hai nayna
Naahin moye chayna
Chale Aao
Darash dikhane
Sanam ! Chale Aao.......

Lambi hai ratiya
Chupp bhayee batiya
Chale Aao
Geet meethe suna-ne
Priyatam ! Chale Aao......

Suna hai Angana
Udas hai kangana
Chale Aao
Duniya meri sajane
Dilwar ! Chale Aao.......

Toot Jaye Na Maala Kahin Prem Ki : Nayeda

(Ankitji ne bachpan men suna tha, aur unke hoton par aksar rehta hai yah geet.
Iska mukhda aur pahile do stanza wo hi hai jo woh gaaten hai aur baad men kuchh stanza meine jod-ne ki koshish ki hai. Milawat lakh koshish kar ke bhi 'original' ke muafik na ho saki......magar koshish dil se ki gayi hai. Halki masti men kawalli style men gayi jaye to kafi achha lagega yah seedha sa nagma)



Toot jaye na mala kahin prem ki !
Warna Anamol moti bikhar jayenge !!

Mano na mano khushi aapki.
Do din ke musafir bichhad jayenge. !! Toot jaye.....!!

Yah na puchho ke hum se kidhar jao-ge.
Woh jidhar bhej dega udhar jayenge. !!Toot Jaye...!!

Mil lo sabhi ko laga ke gale.
Kuch abhi.. kuchh us.. pahar jayenge !!Toot Jaye...!!

Aapas men hai raji... aur khush hum yahan.
Na socho...shekh-o-bahaman kidhar jayenge. !!Toot Jaye...!!

Jindagi jo mili hai to jee lo Sanam.
Ghut ghut jo rahenge to maar jayenge. !!Toot Jaye...!!

Waqt Aab Hai kam : Nayeda

Waqt aab hai kam.........
(Ammi ki aek saheli hoti thi Nazma-mausi. Urdu literature padhati thi aur bahut hi jajbati thi. Waqar naam ke aek shakhs se unko ishk ho gaya tha......Waqar sahib bantware ke baad us par chale gaye shayad apne gharwalon ke dawab men aur unka saath dene...... aur phir woh laut ke nahin dekh paye. Nazma unki yaadon men tadafti rahi.Nazma Mausi intezar ki tadaf men khud ko aek janlewa bimari ke hathon hawale kar baithi aur bewaqt khuda ko pyari ho gayi. Aakhri waqt men unke dimagi halat bhi bigad gaye the......sukhe peele pade badan, kankal hue jism ke bavjood bhi khud ko sajati sanwarti thi aur mehndi lagati thi...is umeed men ki woh chala aaye...........unhi ke jajbaton ko lafz dene ki koshish kar rehi hai yeh nazm)

Aankh hai pur-nam tum chale aao
Saans aaye hai kuchh kum tum chale aao.

Dhadkane pukarati hai shab-o-din
Thum si gayi hai rum tum chale aao.

Ujda sa lagta hai ye aalam hum ko
Bas uska hi hai karam tum chale aao.

Rooh hai jawan jism dhalane ko aaya
Rishton men hai gar dum tum chale aao.

Din-o-raat bistar bana hai ghar mera
Uth rahe na kadam tum chale aao.

Har pal naam lete tira tujhe sochten hai
Jindagi ban gayi hai samm tum chale aao.

Mehandi lagaye bethe han tere liye
Geshu hue be- kham tum chale aao

Aankh bhar dekh lenge bas tum ko
Waqt aab hai kam tum chale aao.

Rum=bhag daud samm=jahar kham=ghumaw karam=kripa geshu=kesh(hair)

Prabhu ka Vachan Kya ?(What God has Promised) : Nayeda

APJ Abdul Kalam sahib ki autobiography "WINGS OF FIRE" har aage badhne wale aur
positive soch rakhne wale ko bahut inspire karti hai. Khuda ne humen kuchh bhi paka pakaya nahin diya.......na hi humari 'spoon feeding' ki hai.......usne humen aisa kuchh diya hai jiske sahare humen khud ko mehnat kar apne goal ko pana hota hai. Yah kavita Respectable Kalam Sahib dwara diye aek prernaspad udaharan ko aap doston se bant-ne ki humble koshish hai.


PRABHU ne diya na vachan manuj ko:
Neel Nirbhara rahega sadaiva aakash,
Jiwan path par mahkengee
Prati kshan achhadit pushpon ki vas,
Dhup bhi hogi bina vrishti ke,
Harsh bhi hoga bina khed,
Sukh bhi hoga bina kasht ke,
Jiwan ka bas yahi hai bhed.
###
Kintu Prabhu ne diya vachan hai
Samarthya payega diwas har-ek
Vishram prapya hoga parishram ko
Prakash payega path pratyek

(Pahla kathan jindagi ki sachai ko batata hai aur dusra us Psychic infrastructure ki baat karta hai jo khuda ne humen muhaiya kiya hai.....je madadte khud te madadte khuda.)

Yah Ishak Kya Beemari Hai : Nayeda

Yeh jajbaat aek aisi bhartiya naari ke hai jo bahut si viparit awasthaon ke bavjood bhi
pativarta dharm ko aapna ideal maante hue us insan se tajindagi judi rehi jisne uske hote kabhi bhi uski kadr na jani. Woh is duniya se chali gayi tab us insan ko ehsas hua
woh kya thi aur us naari ki usaki jindagi men kya ahmiyat thi? Barbas us pathar dil insan ki ankho se aansuon ki jhadi beh nikalti hai...use ehsas hota hai ki woh us divangata se bahut prem karta tha magar woh prem uske ais-o-aram, mouj-masti aur ego se baad ki seat liye hue tha.........pachhtawa magar aab kya ?
Mera maksad us swargiya naari ko uske balidan aur wafadari ke liye glorify karna katai nahin hai, woh aek alag hi masla hai aur is waqt us datail men nahin jana hai.............
.........magar jaisa dekha mehsoos kiya likha gaya hai is rachna men bas.........


Mana ki is jism men jan tumhari hai
Sab kuchh hai tira ruh to hamari hai.

Isharon pe tere nachte rahe tajindagi
Maji ko chhodo aab yeh ghadi hamari hai.

Juban rahi hai band honth sile hue se hai
Kaisa hai yeh munsif kaisi yeh rubkari hai.

Jaa rahen hai hum aaj duniya se bichhad
Yehi hai bas khija yehi fasl-e-lalakari hai.

Katil ho tum sabit hua taftish-o-gawahi se
Hui na saja tum ko yeh kaisi tarafdari hai.

Kissa-e-barbadi mera shaye hua har bar
Chhupate ho fir bhi yeh kaisi pardadari hai.

Kyon gamjada ho hum na rahe duniya men
Goya kitni raten humne tanha gujaree hai.

Khudmukhtar ho gaye aaj mar ke hum
Aab kyon hanste ho kaisi yeh askbari hai.

Na maloom tha marj aur dawa kya hai
Ae charagar bata yeh ishk kya beemari hai.

Jism=Body Rooh=soul Ishare=indications Khudmukhtar=independent Askbari=flow of
tears Munsif=judge Rubkari=hearing Fasl-e-lalakari=wave of flowers Marz=disease
Charagar=medico/doctor Tarfdari=favoritism Gamjada=sad Maji=past Tajindagi=whole
life Khija=autumn Katil=murderer Sabit=prove Tftish=investigation shaye=publish

Akhari Danw : Nayeda

(Yeh nazm aek love-less relationship ko describe kar rehi hai.........jahan na to jism milten hai na hi rooh. Naari tab bhi koshish men hai ki uski mohabbat kuchh aasar laye
magar banda shayad sadist hai jise mohabbat se jiyadah lutf kisi par jurm barpa karne men, kisi ko tadfane aur tarsane men milta hai. Yah peshkash bhi aaspas se observe ki gayi haquiqat par based hai.)

*************

Jo pathraya bahir dehliz woh mira panw tha
Chhod usko chale jaana bas aakhri danw tha.

Thee pur-kashish mohabbat miri uske liye
Pyar toot ke dete rahe fir bhi khali thanw tha.

Meri badkismeti ne milaya tha humen us-se
Tapish men rahe jalte bas allah hi chhanw tha.

Meri royee hui aankhe yek tamasha tha usko
Mera har gidgidana uski munchhon ka tanw tha.

Tashan na bujh payee thi ta-jindagi hamari
Kya hua dariya kinare jo hamara ganw tha.

Tashan=pyas Tapish=garmi

Pakhandi Akhyan : Nayeda

(Pakhandi ka shabdik arth hai: Chhali/Dhongi. Kuchh innocent pakhandi bhi hoten hai
jo swantsukhay pakhandi hote hai yane bahurupiye...jinhe enjoy kiya jata hai. Magar
Chhaliya Dhongi bahut khatarnak hoten hai ghun ki tarha jahan lagte hai us dane
ko khokhla kar deten hai...kavita ke nayak/nayika aise dhongi-chhaliya hai, unhe
pahchanane men yah rachna madad kar sakegi to iski kamyabi hogi.

Yahan istemal sortha shaili-Rajasthani bhasha ke kavi 'Rajiya' se prerit hai. Aek Udaharan:

"Kali ghani kurup, kasturi kanta tule
Shakkar ghani surup, roda tule Rajiya."

Kasturi ka rang kala hota hai, kurup si lagati hai,magar itni kimati hoti hai isliye sethji apne haton use chhoti si tula par tol-ten hai....Chini safed hoti hai aur sundar bhi dikhti hai lekin use bojha dhone wale shramik pathron se tolte hai.......gun prabal aur pramukh hoten hai. Ismen kurup aur surup ka tuk milta hai......aur dono panktiyon ka aant atukant hai. )

*************************************************************************************
Pakhandi Akhyan

Sada rahe baichain, chintan swarath din-nishi
Bhule apne ben, Jab ghadi aaye swa-dhyey ki.

Meethi bhasa bolkar, duhe matalab har ghadi
Garal visham gholkar, deve pyali mridu pey ki.

Jiwan hua jatil, kunthit man tan ang-pratyang
Swabhav hua kutil, hai drishti bas nij dhyey ki.

Dekh auron ka mel, man hi man irshya kare
Khele bhonda khel, aur baten kare agyey ki.

Sankirna hai vichar, bhasan audarya ka kare
Kritim hai aachar,hai mithya stuti shradhyey ki.

Leela aparampar, fareb makkari sar chadhe
Baten barambar, kare achourya aur asteya ki.

Heen bhavna hriday base, dambhi vikat swabhav
Bhram pravanchna asat hansi, chinta kare na dey ki.

Pakhandpurna vyvahar,samjhe sudhee jan shighra
De saday kshma uphar, kare na apeksha shrey ki.

Audarya=udarta asteya/achourya=chori na karna

Mein Aaur Woh : Nayeda

Mein
Aek dafa
Aek Ibadatgah men gayee
Wahan allah ke aise karam hue
'Mein' wahin reh gayi
Fir jab 'Woh' bahir aayi
Tau sara aalam
Uske liye ibadatgah tha
Aur har insan
Khuda.
Aur us din se
Uske liye
Us ibadatgah ke
Darwaze band
Ho gaye the
Kyonki
Chilla Chilla kar
Koi keh reha tha
Tum ne insan
Ko khuda mana
Tum kafir ho.

Malls ki tarha
Mano dookane
Saji ho.
'Woh' aek din
Fir aek ibadatgah
Men gayi.
Duaon mein adatan
Uske Hath uth gaye
Pujari ko Prabhu
Ki pratima se jiyadah
Usaki fikr ho gayi thi.
Uska naam Puchha gaya.....
Ilm nahin aur
Wahan bhi darwaza
Dikha diya gaya
Suna hai farsh tak
Ko dhoya poncha gaya tha.

kan Kan men basne
Wale prabhu ne
Kaha us-se
Kahan Aa gayi thi tu ?
Mein to tumhare
Aur sabke dilon
Men basta hun

Men sajeev nirjaiv
Sab men hun.
Jarra Jarra mere jalal
Se roshan hai.
Uske Bharose ko
Takat mili
Aur 'woh' aab
Har shai men use dekhti hai.
Aur khule asman ke neeche
Alokik nartya men
Shirkat kaarti hai
Aur gaati hai
Satyam Shivam Sundaram !

Atma aab uski nartak hai,
Antar-atma rang manch
Budhi uske vash men hone
Ke kram men hai
Satva sidhi ka marg hai prasast
Intezar hai swatantraya ke
Phalit hone ka taki
Woh apne se bahir bhi ja sake
Aur bahir rehte hue
Apne bheetar bhi
Reh sake.
************************************************************************************

Shrawan ka mah "Shiv" ka mah hota hai..........."Shiv" aek aise adarsh jo samast
jati-sampradayon se pare hai, bhole shiv bas hai to 'kalyankari'...is rachna ka marm
"Shiv" hai........jiska cosmic dance samast vibhedon se pare hai...kalatit hai.....samayatit
hai.........purush aur prakriti ke rishte ko sakar karne wale "Shiv" ka naman !

Aakhri stanza:

Atma aab uski nartak hai,
Antar-atma rang manch
Budhi uske vash men hone
Ke kram men hai
Satva sidhi ka marg hai prasast
Intezar hai swatantraya ke
Phalit hone ka taki
Woh apne se bahir bhi ja sake
Aur bahir rehte hue
Apne bheetar bhi
Reh sake.

Yeh stanza prerit hai Shiv-sutra ke aek shlok se.............aek kalapnik prashthbhumi men likhi yah adhyatmik rachna aapko anand de yehi manokamna hai.

**************************************************************************************

Door Ki Kaudi : Nayeda

Bade dinon ke bad dur ki aek kodi laya hai,
Shakkar men lipta kunain ki 'bodi' laya hai.

Hoton pe audhi si muskan, dil men nafrat liye,
Jalim hikarat jiyadah mohabbat thodi laya hai.

Junoon-e-dehshat basa hai uske rag rag men,
Napak iradon ki fehrist lambi-choudi laya hai.

Mohabbat ke gharonde napasand hai usko,
Todne unko jang-aluda hathaudi laya hai.

Nakamyab raha hai jung-e-jindgani men,
Duniya ko bargalane niyat bhagodi laya hai.

Khuda akl de usko aur de muafi gunahon se,
Jo ibadat ki jagha jalan-o-julm ki jodi laya hai.

Bodi=bengali men tablet ko kehten hai.
Hikarat=hatred Junoon=extreme madness Dehshat=terror
Jang-aluda=rusted gunahon=sins ibadat=worship
Jalan=jealousy Julm=opression bargalane=to decieve. Jung=battle
Jindagani=life Nakamyab=unsuccessful Niyat=intention

Aaliza Lout Aaye : Nayeda

Sawan diwas ujas ko
Bin badal hui barsat
Sajan ji lout aaye..........

Bhing gayo mouro antar-man
Bhing gayo mouro gaat
Peew ji lout aaye..........

Door gayo to ka hua
Aapno chanda kumudani so saath
Balam ji lot aaye.

Door desh ki jatra
Aapni mati ke jajbat
Aalija lout aaye........

Piyas bujhi do ankhiyan ki
Bhai aaj moure dil ki baat
Piya ji lout aaye...........

Jad-tana tha sukh gaya
Peere hue the saab paat
Maru ji lout aaye..........

Haro huyo man..tan khil utho
Aaaj roshan bhayo prabhat
Preetam ji lout aaye.........

Rooth gayi mukh na boli
Pighali..jyonhi dharo mero haath
Sajan ji lout aaye...........

Tohre bina mouro kichhu nahin
Mouri sakhiyan motiyan ki paant
Bhanwar sa lout aaye.........

Na woh jeete..na mein haar gayi
Isme nahin hai shah aur maat
Aalija lout aaye.......

Ghutan Aaur Khule Dareeche : Nayeda

Jab bhi
Aadhi raat ke bad
Ladkhadate kadam liye
Munh men daru ki bass liye
Lal batti ilake se lout
Ghar aata tha to
Kehta tha :
“Ghutan Ho Rehi Hai-Badjat !
Daricha khol Do Taki
Taza Hawa Rahat De.”
Who khidaki khol
Sar-e-daman-e-shab
Chand taron ko tak-ti thi
Uski di hui choton par
Lal dawa lagati thi
Aur uske barhana kharraton
Ko suna karti thi.

Ghutan
Usko bhi
Mehsoos hoti thi
Us kafas men
Jo us hareem ka hi nahin
Uski dast-e-gam jindgi
Ka bhi khitab tha
Uske nohe jag jag kar
Kashakash-e-marg-o-jindagi se
Nidhal ho
Baar baar Aawaz dete the
Aao !
Mujhko khijan ke bemahar
Talkh ehsas se bachao.
Achanak koi aisa
Aaya tha uski rahon men
Jise uske soch andaz
Aur wuzood pe dil aaya tha
Jo uska sharik-e-gam-khudayee
Ban sukoon de reha tha.
Uski chahat
Sukhe biyawan sahra men
Bahar-e-gul le aayi thi
Lakhon surkh gulab
Apni khushbuyen bakher rahe the
Usko lagne laga tha
Khuda ne us par karam kiya hai
Uski tang jindagi ke
Band dariche ko khol
Thandi hawa ka jhonka diya hai
Ghutan se nizat di hai.

Fir aek din
Wahi sayyad
Aapne sang ‘Samaj’
Nam ke aek bahubali
Ko le aaya
Jo apahiz tha
Aur baisakhiyon par
Chalta tha.
Aek baisakhi ‘Majahab’
Kehalati thi jo
Bar Bar Farz ki
Duhayee deti thi
Dusari ka naam
Kanoon tha jo
Uske ghutan ke hone ko
Sabit karne ke liye
Barson ki saza deta tha.
Lal aankhe tarere
Who bahubali
Kabhi is baisakhi se
Kabhi Us baisakhi se
Use chot pahunchata tha
Aur use ta-zindagi
Mankooha bane rehne ki
Takrir karta tha.

Begairat,Bewafa,Behaya
Na jane kya kya
Namon se use pukara
Ja reha tha.
Jiska aasal haqdar
Who aadami tha jo
Us ‘Samaj’ ka haath pakde
Khada tha
Jo soya hua tha
Us Waqt jab kisi ka
Dum us badaboodar
Andheri jindagi men
Ghut reha tha.

Aagle din ke akhbar ki
Surkhiyan thi:
‘Najayaj Rishton ne Do ki Jaan Li.’
‘Vivahetar Sambandh-Premiyon ki Atamhatya’
‘Love Triangle-Two Dead’
‘Samaj’ ke izaredar
‘Society’ men girati hui
‘Moral Values’ ke liye
Fikrmand ho rehe the
Aur who donon
Mohabbat karnewale
Hathon men Hath liye
Sanson ki sansat se azaad
Bekhabar….Aek lambi si
Neend so rehe the.

Kareeb hi men
Radio par Mallika-e-tarnnum
Noorjehan ka purana
Nagma baj reha tha
“Khuda Khud Pyar Karta hai
Muhabbat eek ibadat hai”

Mayne:
Dreecha=Window. Sar-e-damaneshab=Last part of the night. Barhana=Naked. Kafas=Cage. Hareem=Four Walls of a house.Dastegam=Jungle of sorrows. Nidhal=Exhausted. Khija=fall,patjhad. Talkh=Bitter.Andaz=Manners/Mannerism Wujood=Existence Shareekegam-khudai=Involved in the miseries of world. Sukoon=Mental peace. Biyaban=Desert, Forest. Sahra=Desert.
Baharegul=Season of flowers. Surkh=Red. Karam=Generosity. Sayyad=Hunter, Fowler
Baisakhiyan=Crutches. Majhab=Religion Farz=Duty Mankooha=Wife. Ardhangini.
Takrir=Speech. Begairat=Shameless.Bewafa=Unfaithful.Behaya=Shameless.Nazayaj=Illegitimate. Izaredar=Monopolist, thekedar.Fikrmand=Worried. Ibadat=Worship.Kashakash-e-margo-jindagi= Struggle of life and death(Jindagi-maut se jujhna).

Aek Bichhudna Anutha Sa : Ankit

Bhid men,
Us din tum ne
Mujhe akela chhod diya tha.
Tere bichhude haath
Ki talash men,
Mein kahan kahan nahin gaya,
Mile
Mujhe who parichit chehre,
Jo manytaon ke chabuk se,
Mere nagn astitva ko,
Lahu luhan kar rahe the,
Dandadhikari ban,
Mere gunahon ka vivechan kar,
Bin manga faisla suna rahe the.

Sabit kiya jar aha tha,
Galat hun mein aur,
Galat ban sakta hun.
Jab jab mere riste ghav
Khule aur dardaye,
Daya ke saath
Namak bhari muththiyan khul gayee.
Marham ki baat jab jab uthi,
Unhone bhi yaad dilaya,
Mujh ko bhi yaad aaya,
Koi aisa bhi aaya tha
Mere jiwan men,
Jisne nazron se sahla,
Bhar dala tha barson purane
Ghavon ko.
Muskano ki marham
Jee khol ke di thi.
Magar aek jal-jala
Aaya tha achanak.
Chupke se kured
Sab ghavon ko
Hara bana,
Chal diya tha koi.

Pukar Baitha that tum ko,
Bulane laga awajen dekar,
Chale aao ! Chale aao !
Soch thi jehan men;
Saath gujare lamhe,
Dene pane ke aanthak daur,
Fir se chale aayenge..
Pal do pal ke liye hi kyon na.
Taki Bichhuden to muskan ke saath.
Aur fir milne tak,
Isi muskan ko virasat maan
Hanste Hanste jee len.

Tum se tumhari shikayat karna chaha,
Magar shabd sookh chale the,
Aankhon men behta paani bhi,
Nahi keh sakta tha wah sab
Jo moun men hai..
Maan hi man bol raha tha,
Shukriya !
Mujhe akelepan ka upahar dene ka,
Mujhe mujh tak lota lane ka,
Un muskanon ka,
Un phoolon ka,
Jo tere mere darmiyan khile the,
Jinki khushboo se,
Tum ne mehkna chaha tha.
Sach ! yah teri-meri khushboo hai,
Jab jab failegi,
Thodi si sugandh uski bhi hogi,
Jo tumhare saath tha,
Jab pehli kali khili thi,
Sabnam ne pyar se patton par,
Aasan jamay tha.
Aek daur aisa bhi aaya tha,
Jab hum tum pighal kar
Aek hone chale the.

Vytha iski nahin,
Mein akela hun.
Akelapan meri shuruat thi,
Akelapan mera ant hai.
Tum jo khud ko pehchan
Khud se karne chale the,
Swyam ko nikhar—apna
Astitva khud banane ki chah liye the.
Kyon saunp rahe ho
Apne aap ko,
Un mulyon ke aadhin
Jo tum ne kabhi nahin sweekare.
Thak gaye ho to,
Susta lo.
Gusse men ho to,
Bikhar pado.

Kunthaon par prem
Parat bhi nahin chadhti..
Umar ke takaze
Parichay se prem tak
Pratiksha nahin karte.
Is duniyawi rishte ki shuruat
Shehzade ke pari ko chumne
Se hoti hai………..
Aur aakhir men
Aek tuda muda sa mard
Aek sahami sahami si aurat ko
Dekhta hai table ke us par.

Anjam bata loutane ki muhim nahin hai,
Mahaj aek ‘reminder’
Kya do azad parinde
Aek dal par nahin baith sakte ?
Kya jeen ke liye kisi ko
Saunpana jaroori hai ?
Bas astitva bodh ki baat kar raha hun,
Jo tum ne suni thi,
Tum ne sweekari thi.
Anant yatra men chal nikali thi tu,
Kisi ka haath tham,
Jisne kabhi tumhe nahin manga
Tumhare astitva ko chaha tha/hai.

Jab us massoom astitva ko
Jo mere saath ubhara tha,
Bemout marte dekha,
Roum roum mera vyathit ho utha.
Meri vytha men bodh ke sang
Moh bhi sama gaya tha,
Jo chor ki tarha
Tere mere bich aa chukka tha.
Shayad hum dono mil
Is chor ko bhaga dete
Magar bichhudna sanjog tha.

Kuchh aade tirchhe var kar
Is chitt chor ne
De diyen hai ghav
Bhay ke…irshya ke
Aur asmanjas ke.
Anubhavon ne mujhe ghav ko
Ghav samjhana sikha diya hai.
Aur aek chetna sushrut ban
Mita rahi hai in ghaon ko.

Jiwan-chakra pura kar
Jab tumhe ehsas ho
Kuchh bhav
Umar, samaj aur rawajon se
Hat kar bhi hoten hai.
Anakarman aur sahastitva
Panchsheel ke shabd matra nahin
Jiwan ka yatharth bhi ho sakten hai.
Chale aana………….
Dastak ki jaroorat na hogi.
Mein hunga
Khule aasman ke neeche.
Hum do nahin
Hum jaise anek honge
Wahan dekhna
Dhayee aakhar ka nritya
Aek astitvaheen
ASTITVA..