Monday, September 29, 2008

Aek Bichhudna Anutha Sa : Ankit

Bhid men,
Us din tum ne
Mujhe akela chhod diya tha.
Tere bichhude haath
Ki talash men,
Mein kahan kahan nahin gaya,
Mile
Mujhe who parichit chehre,
Jo manytaon ke chabuk se,
Mere nagn astitva ko,
Lahu luhan kar rahe the,
Dandadhikari ban,
Mere gunahon ka vivechan kar,
Bin manga faisla suna rahe the.

Sabit kiya jar aha tha,
Galat hun mein aur,
Galat ban sakta hun.
Jab jab mere riste ghav
Khule aur dardaye,
Daya ke saath
Namak bhari muththiyan khul gayee.
Marham ki baat jab jab uthi,
Unhone bhi yaad dilaya,
Mujh ko bhi yaad aaya,
Koi aisa bhi aaya tha
Mere jiwan men,
Jisne nazron se sahla,
Bhar dala tha barson purane
Ghavon ko.
Muskano ki marham
Jee khol ke di thi.
Magar aek jal-jala
Aaya tha achanak.
Chupke se kured
Sab ghavon ko
Hara bana,
Chal diya tha koi.

Pukar Baitha that tum ko,
Bulane laga awajen dekar,
Chale aao ! Chale aao !
Soch thi jehan men;
Saath gujare lamhe,
Dene pane ke aanthak daur,
Fir se chale aayenge..
Pal do pal ke liye hi kyon na.
Taki Bichhuden to muskan ke saath.
Aur fir milne tak,
Isi muskan ko virasat maan
Hanste Hanste jee len.

Tum se tumhari shikayat karna chaha,
Magar shabd sookh chale the,
Aankhon men behta paani bhi,
Nahi keh sakta tha wah sab
Jo moun men hai..
Maan hi man bol raha tha,
Shukriya !
Mujhe akelepan ka upahar dene ka,
Mujhe mujh tak lota lane ka,
Un muskanon ka,
Un phoolon ka,
Jo tere mere darmiyan khile the,
Jinki khushboo se,
Tum ne mehkna chaha tha.
Sach ! yah teri-meri khushboo hai,
Jab jab failegi,
Thodi si sugandh uski bhi hogi,
Jo tumhare saath tha,
Jab pehli kali khili thi,
Sabnam ne pyar se patton par,
Aasan jamay tha.
Aek daur aisa bhi aaya tha,
Jab hum tum pighal kar
Aek hone chale the.

Vytha iski nahin,
Mein akela hun.
Akelapan meri shuruat thi,
Akelapan mera ant hai.
Tum jo khud ko pehchan
Khud se karne chale the,
Swyam ko nikhar—apna
Astitva khud banane ki chah liye the.
Kyon saunp rahe ho
Apne aap ko,
Un mulyon ke aadhin
Jo tum ne kabhi nahin sweekare.
Thak gaye ho to,
Susta lo.
Gusse men ho to,
Bikhar pado.

Kunthaon par prem
Parat bhi nahin chadhti..
Umar ke takaze
Parichay se prem tak
Pratiksha nahin karte.
Is duniyawi rishte ki shuruat
Shehzade ke pari ko chumne
Se hoti hai………..
Aur aakhir men
Aek tuda muda sa mard
Aek sahami sahami si aurat ko
Dekhta hai table ke us par.

Anjam bata loutane ki muhim nahin hai,
Mahaj aek ‘reminder’
Kya do azad parinde
Aek dal par nahin baith sakte ?
Kya jeen ke liye kisi ko
Saunpana jaroori hai ?
Bas astitva bodh ki baat kar raha hun,
Jo tum ne suni thi,
Tum ne sweekari thi.
Anant yatra men chal nikali thi tu,
Kisi ka haath tham,
Jisne kabhi tumhe nahin manga
Tumhare astitva ko chaha tha/hai.

Jab us massoom astitva ko
Jo mere saath ubhara tha,
Bemout marte dekha,
Roum roum mera vyathit ho utha.
Meri vytha men bodh ke sang
Moh bhi sama gaya tha,
Jo chor ki tarha
Tere mere bich aa chukka tha.
Shayad hum dono mil
Is chor ko bhaga dete
Magar bichhudna sanjog tha.

Kuchh aade tirchhe var kar
Is chitt chor ne
De diyen hai ghav
Bhay ke…irshya ke
Aur asmanjas ke.
Anubhavon ne mujhe ghav ko
Ghav samjhana sikha diya hai.
Aur aek chetna sushrut ban
Mita rahi hai in ghaon ko.

Jiwan-chakra pura kar
Jab tumhe ehsas ho
Kuchh bhav
Umar, samaj aur rawajon se
Hat kar bhi hoten hai.
Anakarman aur sahastitva
Panchsheel ke shabd matra nahin
Jiwan ka yatharth bhi ho sakten hai.
Chale aana………….
Dastak ki jaroorat na hogi.
Mein hunga
Khule aasman ke neeche.
Hum do nahin
Hum jaise anek honge
Wahan dekhna
Dhayee aakhar ka nritya
Aek astitvaheen
ASTITVA..

No comments: