Roshan saman mein khuli ankhon se andheron ko dekhten hai,
aadat jo ho gayee hai-bikhre toote chehron ko dekhten hai,
gulami hi gulami hai jin ke jehno mein,
woh gulshan ko nahin.....dar par pade pahron ko dekhte hai.
khushbuon ka lutf kya lenge woh bande,
har fiza mein jo badbuon ko dekhte hai,
chalna nahin hai jinki fitrat mein,
woh kadam kadam par manzilon ko dekhten hai.
aadhe sach ki lashen lade hue hai kandhon par,
jhoot ko hi sach jaisa samajh kar dekhten hai,
aaye hai hone sharik meri mehfil mein,
woh mehfil se jiyadah sajawat ko dekhten hai.
bite kal ke khayalon se chipake hai raat din,
aane wale ki fikr liye har waqt...aaj ko dekhten hai,
har lamha khudkushi karte jiye ja rahe hai woh,
jine se jiyadah mout ko dekhte hai.
khud khali hai magar aamda hai bharne sabhi ko,
woh aks se jiyadah ainon ko dekhte hai,
ehsas mehsoos ki chhuaan se dar kinar,
har shai mein woh apne hi mayno ko dekhte hai.
jakde bandhe se hai khoufjada janjiron mein,
haquiqat se jiyadah kitabon ko dekhte hai,
kaise payenge sakoone mohbbat ko,
tod tod kar pyare gulabon ko dekhten hai.
khud ho chuke fana hathon waqt ke,
afsos woh har ek ki mayyat ko dekhte hai,
fir bhi jee rahen hai hum unki basti mein,
jo hum se jiyadah hamari kimat ko dekhten hai.
Monday, September 29, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment