Monday, September 29, 2008

Aek Sawal : Teen Jawab ---Nayeda & Ankit

Kafas: Nayeda

Kafas
Men
Band to
Kar diya
Paanchhi ko.
Magar
Use jinda
Rakhne
Kahan se
Laoge
Aaasman ?

(Kafas=Pinjra)

Azaadi Ki Shammaa : Ankit

Kabhi Kabhi
Koi Parinda
Fansata hai
Kafas men
Lalach se
Kamzori se
Thahar jaane se.

Aasaman ko
Chahne wale
Bas dekhten hai
Aasman ko,
Bas chahten hai
Aasman ko,
Bas sochten
Aasman ko.
Udte hue bhi
Thahre hue bhi.

Tum
Shayad
Aaasman ke siwa
Kuchh aur paane ki
Lalsa men,
Yah jadojehad se haar
Hatash ho kar
Tham se gaye the
Tabhi to mila tha
Yah sone ka
Pinjar................

Han
Tum jaise
Badkismeti ke shikar
Panchhi ko
Lautane
Jaroor Aayenge
Tumhare hum-khayal
Tumhare hum-udan.
Au fir milega tum ko
Khula Khula Aaasman.

Badal sakta hai
Shaiyyad ka bhi dil
Har dil men khuda
Basta hai.
Tum pukarna usko
Taki uski rooh men
Soya Khuda jage
Kafas ka dar khule
Tumhe ho hasil
Fir wahi aasman.

Bas.......
Khud ko
Sambhale rakhna
Har raat ki hoti hai
Sahar.
Karna hai
Thoda intezar
Jalaye hue
Azaadi ki Shamaa................


Parinde ! Aasman Tumhara Hai: Ankit

Parinde !
Kafas ka wazood
Dafan hai
Tere jehan men.
Khuli aankon se
Dekh
Kafas Kahan ?

Jamanon ki aadat ne
Diye hai tumhe
Bharam Kafas hone ke
Haquiqat hai nahin jo
Mahaj
Tasvvur hai tumhara.

Aasman bikhra hai
Tere ird-gird
Yeh Baat aur hai
Tu
Bhool gaya hai udna.

Parinde !
Teri pankhen hai
Salamat
Tera jism hai
Tandurust
Bas kholkar
Maan ki aankhon ko
Bula le apne
Khoye hue josh ko
Bhulaye gaye hosh ko.
Aur jaga kar jameer ko
Naam lekar
Parvardigar ka
Ud ja aur
Udta ja
Sara jahan tumhara hai
Aasman tumhara hai............

Panchhi ! Kashma Karna............: Ankit

(Nayedaji ke aek nanhe se sawal ka jawab dene ki do nakamyab koshishen kar chuka hun. Is kalam se nikali rachnayen:1)Azaadi ki Shammaa 2) Parinde!Aaasman Tumhara Hai......aap logon ka sneh hasil kar saki magar jinka sawal tha unhe jawab kuchh jame nahin..........shayad yah koshish unhe bha jaye....kyonki is bar dil se likhi hai dimag se nahin)
*********************************************************************

Panchhi !
Kshma karna
Meine tumhare sawal ko
Jaan kar andekha kiya.
Apne shabd-jal men
Kabhi tumhari neeyat
Par sawal uthaya
Kabhi tumhari liyakat ko
Lalkara
Kabhi tumhari takat ka
Hawala diya
Kabhi tumhare habeebon ki
Baaten ki
Idealism ki hud tak ja kar
Shaiyyad ke badlne ki
Umeed bhi jagayi
Baton baton men tumhe
Sara jahan aur sara Aasman bhi
Sounp diya.
Shayad dharm,farz aur khuda ka bhi
Hawala de dala
Kya Karun Mard jo Thehra
Bas aisi baten karna
Meri fitrat ban chuki hai
Naari ko bahlane yehi sabhi to
Karta raha hun.
Jadon ko andekha kar
Patton ko itrata raha hun.
Wah nahin karta
Jo karna hota hai mujhe
Bas idhar udhar ki baton men
Uljhata hun tujhe.

Magar Aaj
Pakda gaya........
Sab kuchh kaha magar
Kafas ke najdik na gaya.
Daar tha tumhari
Ankhon men ankhen daal
Nahi batiya sakunga.
Lakh koshishon ke bad bhi
Tum ko patiya na sakunga.

Aaj wohi kar raha hun
Jo mujhe karna hai
Khol raha hun kafas ka darwaja,
Taki woh pinjar
Ban jaaye khule darwajon ka
Aek mandir.
Jise tum shaan se keh sako
Ashiyana ya Ghar.
Khule Darwaje se aasman
Dekho aa gaya hai tumhare
Bilkul kareeb bilkul kareeb !

Aei madhur geet gane wale
Parinde !
Aek nayee tan chhed
Aab tera aasman
Tere ird gird hai
Bikhra........................
Aab teri mouj hai
Tu kya kare ?
Thahre
Gaye
Ude
Ya sanjh dhale lout aaye
Apne ashiyane ko.............

No comments: