Monday, September 29, 2008

Samand Samaya Bund men : Nayeda & Ankit

Sadaf Aur Guhar: Nayeda
Poshida rakh lo
Mujh ko,
Sadaf ban,
Guhar ki tarha
Kahin Kho na jaun
Mein
Bahar
men.

(Sadaf=Seep,shell. Guhar=Moti,pearl Poshida=concealed,chhupa hua Bahar=samudra)

Sagar Aur Bund: Nayeda ji Ko: Ankit

Moti ban-ne ki chah
Rakhe tum
Karti ho apeksha
Mere seep ho jane ki.
Na soche is katu satya ko
Nasht karega
Mujhko koi
Liye lalsa
Moti ko pane ki.

Priye!
Tum
Raho bund chapal si
Mein rahun lehrata sagar,
Aur
Mila lun tujh ko
Nij tan-man men.
Bund bina astitva nahi hain
Koi bhi sagar ka
Samman nahi karta
Koi reete gagar ka.

Pran !
Bana hun mein
Kewal tujh se hi
Mat algawo,
Mujhe saamalo
Khud men hi.
Kahin kho na jaun
Tum Bin
Mein

No comments: