Monday, September 29, 2008

Waqt Aab Hai kam : Nayeda

Waqt aab hai kam.........
(Ammi ki aek saheli hoti thi Nazma-mausi. Urdu literature padhati thi aur bahut hi jajbati thi. Waqar naam ke aek shakhs se unko ishk ho gaya tha......Waqar sahib bantware ke baad us par chale gaye shayad apne gharwalon ke dawab men aur unka saath dene...... aur phir woh laut ke nahin dekh paye. Nazma unki yaadon men tadafti rahi.Nazma Mausi intezar ki tadaf men khud ko aek janlewa bimari ke hathon hawale kar baithi aur bewaqt khuda ko pyari ho gayi. Aakhri waqt men unke dimagi halat bhi bigad gaye the......sukhe peele pade badan, kankal hue jism ke bavjood bhi khud ko sajati sanwarti thi aur mehndi lagati thi...is umeed men ki woh chala aaye...........unhi ke jajbaton ko lafz dene ki koshish kar rehi hai yeh nazm)

Aankh hai pur-nam tum chale aao
Saans aaye hai kuchh kum tum chale aao.

Dhadkane pukarati hai shab-o-din
Thum si gayi hai rum tum chale aao.

Ujda sa lagta hai ye aalam hum ko
Bas uska hi hai karam tum chale aao.

Rooh hai jawan jism dhalane ko aaya
Rishton men hai gar dum tum chale aao.

Din-o-raat bistar bana hai ghar mera
Uth rahe na kadam tum chale aao.

Har pal naam lete tira tujhe sochten hai
Jindagi ban gayi hai samm tum chale aao.

Mehandi lagaye bethe han tere liye
Geshu hue be- kham tum chale aao

Aankh bhar dekh lenge bas tum ko
Waqt aab hai kam tum chale aao.

Rum=bhag daud samm=jahar kham=ghumaw karam=kripa geshu=kesh(hair)

No comments: