Monday, September 29, 2008

Ehsas Kuchh Hone Ka :Nayeda

Ujiyari dhoop,
sone ka jhol,
Ya khudai roshani ka noor,
Suraj ki saugat si,
Ya maa ki gaud ki garmahat si
Aseer ke bahar azadi si,
Jab bhi chhuti hai mujhe,
Mujhe apna wajood,
Jata hai mil aur,
De jata hai ehsas,
Kuchh hone ka.

Mast Pawan ka jhonka,
Ya shamim diwani si,
Mehboob sa sparsh,
Tansen ka sangeet,
Jab bhi chhuta hai mujhe,
Mujhe hota hai,
Apne hone ka ehsas,
Aur de jata hai sandesha,
Kuchh hone ka.

Barish ki bochharen,
Mano khushboo ki fuharen,
Ya kudrat ke ishare,
Bheege bheege se nazare,
Jab bhi aate hai pas mere,
Mujhe hota hai vishwas,
Kisi ke apne hone ka,
Aur gunguna jate hai geet,
Kuchh hone ka.

Lahron ki chinghare,
Mano karbala ke lalkare,
Sagar ki gahrai,
Ya uske adi-ant ka aprichay,
Jab bhi do-char hote hai,
Mere jehan-o-jigar ke,
De jate hai mujarrab sa mutal-aa,
Kuchh hone ka.

Parbaton ki uttang chotiyan,
Un par jamin barfon ka thospan,
Suraj ki tapish se pighalana,
Jharna ya darya ka ban jana,
Foonkata hai nit naya mantra,
Meri khudgarz kayeenat men,
Sikha jata hai ek sabak,
Kuchh hone ka.

Indra dhanush ke rang,
Badlon ka umadna,
Mor ka nachna aur,
Koyal ka kookna,
Jinda kar jate hai mujh ko,
Foonk ke pran mere murda jism men,
Jaga jata hai arman,
Kuchh hone ka.

Kyon ho jate hai hum gafil,
Jindagi ki jaddo-jahad men,
Murjhaye se rahte hai hardum,
Goya baste rahen the lahad men,
Kya hua thoda na mila,
Bahut dala hai usne meri jholi men,
Khudayee Karam ka jalwa,
Deta hai dilasa,
Kuchh hone ka.

No comments: