(Meri ek antarang saheli formal talim nahin ke barabar pa saki. Uski nikah aek aise aadami ke sath hui jo bahir mulk se bahut kuchh talim aur ilm hasil kar ke aaya. Wah, aek nek aur jahin insan hai, apne work field men bahut hi kamyab hai, aek jimmedar
aaulad, khavind, baap, dost aur shahri hai..........Uske likhe drame Pakistan Tv chanels
par kai dafa air ho chuken hain, uske likhe geeton men bhi kashis,rawani aur gehrai
hai. They are an xecellent couple.Mujhe apni friend ko khush pa kar behad khushi hoti hai. Usse hui antarang baaton ko meine poem men dhalne ki koshish ki hai...........jindagi ki yeh sachchai shayad kayeeon ke dil chhu sake.)
Woh mera Dost hai,
Mera Humdam,
Mera Khuda,
Mein bhi uski dost,
Humdum aur khuda hun.
Hamne apne khwabon ki,
Duniya ko in char hathon,
Aur khuda ke karam se ,
Banaya hai,
Sajaya Aur sanwara hai.
Mein uski bahut si,
Baton ko nahin samajhti,
Na hi samajhne ki juroorat hai,
Mujhe to bas use bolte,
Dekhna achha lagta hai,
Uska lehja aur andaz,
Mere dil ko chhuta hai.
Uske aankhon ki juban,
Mahaj mein hi samajhti hun,
Duniya use padhe sarahe,
Yeh 'hamari' khush kismeti hai.
Uska sabse bada navil,drama,
Geet, Gazal aur kahani woh baat hai,
Hamare gaon ke kheton ki,
Jise woh apne usi..usse behtar,
Andaz men kehta hai...bar bar.
Jindagi aek murabba(khet) hai,
Hum dono jimindar(kisan),
Mein hal chala reha hun,
Aur tum beej bikhere ja rehi ho.
Mein kamar par angochha bandhe,
Nirai kar raha hun,
Tum bhi haath banta rehi ho,
Tum aur men saath saath 'Heer',
Ga rehen hai,
Sara alam mano jhum reha hai.
Yeh lahlahati faslen,
Sunhali phooli sarson,
Hare bute,
Apni hi jindagi nahin to kya hai ?
Insan kahin bhi hokar aa jaye,
Kuchh bhi ban jaye,
Apne jamin, apni mati ki,
Jo sachai sadiyon se hai kayam,
Koi use kaise jhutla sakta hai.
Jindagi ke kheton men,
Plastic ke beej kaise bo sakta hai.
Jab jab woh uljhan men hota hai,
Mere agosh men aa suljhata hai,
Kathin se kathin sawalon ke,
Jawab mujhse hi pa-ta hai.
Uski har nazm ki pehli tanquid,
Meri hoti hai,
Uske har she'r ki pehli dad,
Meri hoti hai.
Meri ankho men uski har ,
Gazal basti hai,
Kya hua mehfil men,
Auron ki taliyan bajti hai.
Mere saath chay ka aek garam piyala,
Usko-mujhko deta hai nayee jindagi,
Ghar ka bana khana, nanhon ka saath,
Furasat ke subaha sham,aur sanjhi bandagi.
Iske alawa bhi hoti hai jo duniya,
Kya humen nahin hai woh bhi muhaiya ?
Khush rehna hansana hamari fitrat hai,
Hamare liye yehi hai jannat, yehi kudarat hai.
Rishton ko 'relationship' kehten hai,
Meine aab jana.......'going around'
Aur 'Break Off' ke mayne ko pehchana,
Longing' ki chhoti lambai ko bhi napa,
Lafjon ke is numayash ki gehrai ko mapa,
Dil se padha...dil se jana...dil se mana,
Jindagi ka kuchh bhi bhed raha na anjana.
Jine ke liye juroori hai sanso ka aana o' jaana,
Ginane walon ka chhota hota hai jamana.
Mujhe kisi darvesh ki is bat men hai 'joy'
Dhai akhar prem ka padhe so pundit hoy.
Monday, September 29, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment