Sunday, September 28, 2008

Jindagi ko Maksad Do:Ankit


Yeh rachna meine apne student life men, ek dil chhunewale article ko padh kar likhi thi.
Is prabudh FORUM par ise share karte hue mujhe khushi ho rahi hai, yadypi samay ke saath mere sochne ka andaz kuchh kuchh badal gaya hai........lekin 'basics' wahi hai.


Jindagi ko maksad do,
Aur dil-o-dimag ko JAJBA,
Khud ko bhar lo,
Unchaiyon ke sapno men.

Gar maksad na ho jine ka,
To na paida hogi tum-me aekta,
Bikhari rahegi tumhari takten,
Tum bhi rahoge bikhare se,
Tute hue rahoge...tut-te rahoge,
Aur raingte raingte bich rah,
Apna wajood kho-kar gir padoge.

Shaksiyat ko pana hai to,
Karlo aek-jut apni jehani,
Aur jismani takton ko,
Ho jao samarpit lakshya ko,
Keawl aise hi paya jata hai,
Swatantrata ko,
Swa-pahchan ko.

Bhuli bhatki mansikta men jine wale,
Hoten hai ek arajak bhid,
Baten karte hai: thope hue anushashan ki,
Hoten hai unke swar swa-virodhi,
Aur nahin khil sakta sangit saptak,
Jo ho sakta hai Jeene ki shakti.

Jamin men dabe beej ko dekho,
Kaise apni sab takton ko sanjo,
Jamin se upar uth-ta hai,
Suraj ko dekhne ki uski pyas hi,
Use ankur banati hai.

Isi prabal ichha-shakti se,
Woh khud ko todta hai,
Bahar aata hai,
Chhotepan se.

Beej ki tarha bano,
Sab takton ko,
Aek saath sanjo kar,
Upar ki taraf badho,
Aayega jaroor woh pal,
Jab paoge tum,
Apne swayam (SELF) ko.

Magar Sawdhan !
Lakhsya jiwan ka thos ho,
Sakaratmak(positive) ho,
Tumhara aapna ho,
Baasi na ho,
Udhara na ho,
Jidd men kuchh alag banane ka kram na ho.

Baas chun lo,
Ek 'solid' sa,
Chhuan jiski ho nanhe panchi ke,
Pankho si komal,
Aek anmol maksad,
Jaga lo pyas usse pane ki,
Yehi ho tumhara safar,
Jeewan Jan-ne ka,
Jeewan jeene ka.

No comments: