Budh ka sushisya,
Aek Bhikku,
Param vidvan,
Gyata vyakaran ka,
Sutron ka,
Mantron ka...........
Kushal kavi,
Prakand pandit
Deta tha upadesh
Apni aaujasvi vani
Lubhavani shaili men
Hota tha mazma
Ekththa
Anandit hote the
Jan-jan sun kar
Bhikku ke Prabhav shali
Dharamopadeshon ko par
Na jane kyon nahin ghatit
Hota tha parivartan
Kahin bhi,
Bhikku parasanna tha
Gin kar shrotaon ko
Dekh kar Bheed ko.
Gautam dekhte the shant chit,
Bulaya aek din Bhikku ko,
kaha :
Bhante ! marg par dristavya
Dhenuon ki karke ganana
Kya koi ho sakta hai
Swami unka.................?
Dhamm ka rajya hona hai
Manuj hridayon par,
'Dhammam' 'Dhammam' ki
Chitkar badha sakti hai
Darshakon ki sankhya,
Nahi sakti hai jeet
Manav mastisk aaur hridayon ko.
Bhikku! karo atamsat 'Dhammam' ko
Karo avatarit use jiwan men
Shabdon se kahin pare,
Tabhi lega jan-manas prerana aaur
Hogi sampurna tumhari deshna.
Monday, September 29, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment