Monday, September 29, 2008

Pattjhad Ke Patte : Ankit

Pattjhad Ke Patte
(Koi 25 saal pahile ki baat hai aek kitab 'LORD OF THE DAWN:The Plumed Sepent Of Mexico' padh reha tha.......jiske liye kaha gaya hai-This book is a song that pours from
human heart. Aek chapter ko padhte padhte kuchh scribbing ki thi.....aap se share kar
raha hun.)
*********************************************************************

Yah nahin hai
Bhinn
Pattjhad ke anya patton se.

Kuchh hi samay purva
Yah tha harit
Jeevit
Aur aab
Kar raha hai varan maran ko.

Samay ke saath
Yah bhi lupt ho jayega
Van ke dharatal par
Bichhe ghas-pat ke
Bichhaune men.

Fir Bhi
Saundarua hai
Iski mrityu men
Jis se
Nayan ho jate hain
Chakachoundh aur
Antar-atma jagrit.

Kintu
Parvaton se aa rahe
Pravahman
Jal ki tarha
Jab tak nahin hum thame
Aur dekhen,
Kabhi bhi Humen
Anubhav nahin hoga
Aisa Patta,
Aisa Maran,
Aisa lop,
Aisa vilay aur
Aisa Saundarya
Hote the kabhi..........
Hote hain kabhi........

No comments: