Jeewan
Hamara hai aek
Darpan.
Hum nishi-din
Jamne deten hai
Dhool
Iss ujle darpan par;
Kabhi nahin karte
Prayas
Usse hathane ka
Aaur
Darpan ho jata hai
Aandha
Koi aur kya
Hum swayam
Nahin pate
Pratibimb Purna
Jab Jab hoten
Darpan
Ke
Samne.
Jab bhi hum
Sochen aauron Ko
Karen
Unki vyarth
Alochana,
Thahren tanik
Aaur karen
Purva uske
Ujle darpan ka
Samna.
Darpan
Mithya na bolega
Jaisa hai
Waisa hi
Bhed wah
Kholega.
Aao apne maan
Ko darpan banaye
Bhale Bure
Sare Karmon ko
Dekhen aur
Dikhayen.
Monday, September 29, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment