Monday, September 29, 2008

Kahani Anuthe Prem Ki : Ankit

Kahani Anuthe Prem Ki : Itihas ke Panno Se
Sikandar Mahan ne Bharat men kayee rajyon ko jeeta. Koi bhi karan raha ho, woh wapas Yoonan chala gaya aaur yahan ka jimma aapne vishwasi Salyukas ko de gaya. Magadh samrat ka dasi-premika se utapann putra Chandragupt apni maata ke apman ka badla apne pita Raja Maha Nand se lena chaheta tha, isliye usne Sikandar ki fauj ko ‘join’ kiya as a ‘General’. Isi prakar uska guru Chanakya (Kautilya) bhi aapne pita ki hatya ka badla Nand-raja se lena chahta tha. Dono ke pratishodh ki aag Magadh-jeet aaur Mahanand ko nast karne ke mansoobe rakhti thi. Idhar Selyukas ki beti Helen aaur Chandragupt men gehra prem ho jata hai. Chandragupt Magadh vijay ke jajbe ko murt roop dena chaheta hai, jiske liye yudh awashyambhavi hai……Usi daur men dono premi-premika ka sanwad is kavita ka vishay hai.


CHANDRAGUPT_HELEN SAMWAD

Kahan kaun jaan sakta hai, parinam yudh ka kya hoga !
Kaun parajit yudh-bhoomi men kaun vijit wahan hoga!!
Kahati yawan bala anunay se, chitvan bas sneh-sit hai !
Hriday prem se bhara hua hai, deh aang samarpit hai !!
Samar marg par jata nar hai, kafan bandha uske sir hai!
Mratyu-varan ho ya jivit ho, sab hi niyati nirbhar hai !!

Helen:

Sajan, chalo tum saath hamare, na ho rajmahal chahe !
Tum maharaja..mein maharani, prana kutir bhi ho chahe !!

Chandragupt:

Roop aaur youvan manuj ko, kar deta hai andh, Priye !
Prem jakad jata bedi ban, to ho jata manu mand Priye!!
Mein jaunga samarangan ko, dridh pratigya meri hai !
Aekaki lad badhun sarvada, Priye! aasi to meri cheri hai !!
Putra kaisa dhikkari hai, jo matri-ashru na pounchh sake !
Pratishodh-pratigya shesh rahe, va nij parinay ko soch sake!!
Tum meri janjeer nahin ho, tum meri ho gati Priye !
Aek swas men jay mala ho, aek men veergati ho Priye !!
Yadi vijay prapt ho mujh ko, to gale dal-na jay-mala !
Yadi mrityu ka varan karun to dena agan chitta-jwala !!
******
Chandragupt ke vachan dridh the, Helen bala kamsin thi !
Pushp-mukh malin tha uska, ashru sinchit dui-nayanan thi !!

******

Apne prem ko paane manusya kis kis tarha yatna karta hai....kintu sachcha prem premi/premika ko khushi dene men hi hai......kisi aek ko to pahal kar-ni hi hoti hai..Helen ko salam !)

Helen:

Apni budhi aaur yukti se, naresh tumhe banwa dungi !
Yoonan adhikrit Bharat ka, shashan bhi sambhala dungi !!
Magadh Raj par akraman ka sahas Sikandar kar na saka !
Bana pratinidhi tat mere ko chala, yahan wah rah na saka!!

Chandragupt:

Tum apne moh-bandh ke khatir, desh apna kyon bech rahi !
Chandragupt hai veer sipahi, sauda asambhav kyon soch rahi!!
Apni matribhumi ke prati sada, samman tumhara rahe Priye !
Nij swarath ke liye, tumhara yah patan nahin hai many Priye !!
Kheench khadag cham-cham, Chandragupt yun bola tha !
Maa Shakti Bhawani ki jay bol, wah swayam ko tola tha !!
Vishwas mujhe hai apane sambal ka, Rajya Sinhasan paunga !
Taduparant he Pran-priye ! mein maharani tujhe banaunga !!

*********

Boli priya he Prana-nath ! mujhe bas Chandragupt ki vanchha hai !
Bola Mauraya karo prabhu pujan, bas JAY hi tumhari ichha hai. !!

**********

Helen :

Kahna jiwha se saral hai, ati-kathin samajhna hai maan ko !
Purush hridaya hota kathor hai, thes na lagana mere dil ko !!
Samay bitne ke sang sang, kahin bhool bhi jao maurya mujhe !
Vachan nahin bhoolun kabhi, par guru agya shirodhrya mujhe !! (Chandragupt)
Kaun guru hai mujhe batao, bhiksha mangungi unse !
De den Chandragupt ko mujhko, yah var manungi unse !!

Chandragupt:

Yathasamay Devi: Atipriya Meri !, parichay unka mein de dunga !
Kshama karo is samay mujhe, har ashay mein tujhko de dunga!!

************

Helen:

Karen Prabhu deerghayu tujhe, jeet tumhari cheri ho !
Swapan sanjoye gayee kumari, duniya aab to meri ho !!


(Yah baat alag hai ki Helen ko Yoonan lautna pada……..uski vidayee kaise hui….Chandragupt aaur uski aankhen kya keh rahi thi yah kuchh itihas ki aaur kuchh kalpana ki baaten hai. )

No comments: