Monday, September 29, 2008

Sheet Samadhi urf Manduk Katha : Ankit

Sheet Samadhi Urf Manduk Katha: Aek Tukbandi
(Is tuk-bandi ya geetika ko chhand matraon ke tuk sanshodhan ke baad tarz Radhesyami Rmayan men gaya ja sakta hai.)
********************************************************************


Aek raat manduk aek mere sapne men aaya tha,
Sadar savinay muska kar us ne yun farmaya.tha.
Koi chidiya par likhata hai to koi likhta kutte pe,
Lashon par vyakhyata koi,koi jhade hue paate pe.
Aaap kyon nahin mujhe vishay-vastu banate hai,
Taim katne likhte ho, kyon na punya kamate.hai.
Dadur ke gehre shabdon ne aek likhas jaga di thi,
Great Work ! Badhiya hai!.ki utkat pyas laga di thi.

Mendhak jaati ubhaychar prani jal-jangal men rahta hai ,
Chikani chamadi wala yah bhure aur hare rang ka hota hai..
Sheet-samadhi leta pank men, aande basant men deta hai,
Tedpol das-diwas samay men aande se bahar ho leta hai.
Pratham grisham ke sang sang hi saans swayam aa jata hai,
Poonch chhod yah prani mansahari badku ho jata hai.
Purna vayask hone men isko barson hi lag jate hai.
Manav angon sam sanrachna ang sabhi jag jate hain,
Jeebh manduk-dev ki laslasi aaur bahut sajeeli hoti hai,
Keede makodon ki sadgati ke hetu bahut kantili hoti hai.

Sawan Bhado ki ritu manoram tan-man vyakul rahta hai,
Usi samay dadur-mandal tar-tarane ko aakul rahta hai.
Geet sangeet kavit satsang sab chuppi sadhe rahte hai,
Manduk geeti ke sammukh sab raag hi aadhe rahte hai.
Kuwe ke mendhak saada samadar ko kuwan kah dete hai,
Duniyan na dekhi ho kabhi,badal ko dhuwan kahte hai.
Mada mendhaki jag men sarawadhik charchit charitar hai
Kahawaton aur muhawaron men uski baat vichitar hai.
Chanchal chounchale darshit kar koi bhi hasti hoti hai,
Mendhaki ko jukham hone se tulna uski hoti hai.
Samanya saral baap ka beta, jab dambh bahut dikhlata hai,
Baap maare mendhaki aaur beta uska tirandaz kahlata hai.

Fudak fudak kar dharati par dadur dal jab chalta hai,
Sarp nikal aate bambi se, unka hriday machlata hai.
Mendhak namak is prani ka, shiksha se ati-nata hai,
Mastarji ko chhakane men mendhak samuh kam aata hai.
Mendhk shahid ho kar shan se, jeev vigyan sikhata hai,
Chhote bade chikitiskon ko wah jiwan rah dikhata hai.
Panch-tantra aaur Isap katha men mendhak mahtmya gate hai,
Bachche bhi uchhal uchhal kar, mendhak sadrash kahlate hai.
Mendhak geet ga ga kar, prabhu! mein swayam bhi tarrata hun,
Karun Kavitayen likh kar vibho! mein swa-kanth ko bharrata hun.
Moodh bana yah kah baitha manduk bahut hi bahumukhi hai,
Mandookya-Upanishad padh padh kar jan-gan-man hote sukhi hai.

Tan badan men sahasa mere gudgudahat si kuchh hoti hai,
Aankh khuli to bistar men, aek navyuva mendhaki hoti hai.
Khuli khidaki se kood meri tanhai ki saathi wah bani Priye!
Shayad swapan men yahi sundari meri prarthi bani priye !!
Turant dial kar number mein Muscat ko call lagata hun,
Mendhak prakaran se bachne hetu Nayedaji ko bulwata hun.

No comments: