Monday, September 29, 2008

Aao 'impress' karen............by Nayeda

Dhanadhya hina koi gunah nahin hai, humara desh dhan sampada men agrani tha aur isiliye 'sone ka pakhi' kehlata tha. Kalantar mein hum garib hote gaye kuchh hamari sochon ki jimmedari hai aur kuchh aise shasha/shashnon ki jo humen garib rakhne men
aapna swarth samjhate the.... yeh sab itihas ki baten hai. Aab hum aek naye daur se gujar rahe hai....aarthik smridhi ke chinah visangatiyon ke saath ubhar rahe hain aek transitory phase hai.........waqt ke saath sab theek hona hai...naummidi ki koi baat nahin hai.

Aek nav-dhanadya varg ka pradurbhav samaj men ho raha hai, jo bad- kismeti se dikhawa, tej raftar, hamare moulik mulyon ki avhelana, paschim ka andhanukaran, manviya sambandhon ke silsile men satahi aaproach ityadi ki visangatiyon ke saath ubhar raha hai.............nayee peedhi ki mansikta jahan bahut muamalo men imandar aur sahaj hai wahin humen shaswat aur bharatiya mulyon ke prati unhe jagruk karna hai, baaton se nahin khud jeekar----as 'example is better than percept'.

Yah vyangyatmak rachna isi kram men aek prayas hai.

Abhivyakti ki shajta ke liye 'khichaddi' jaisi milijuli bhasha ka prayog kiya hai....asha hai aap udar man se ise 'ignore' karenge aur 'content' aur 'expression' ka lutf uthayenge.

*******************************************************************************

Aao 'impress' karen.........

Naya naya bana
Hai apna 'bank balance'
Saujanya 'share-bazar'
Call Center-one night
B.P.O.....................
Andar men chetna jagane se
Taklif hogi
Kyon jehmat len
Khud ko bheetar se
Badlane ki
Aao bahir se badlen
Aao 'impress' karen.

Nayee ho gadi,
Nutun ho Bari (Ghar)
Naye Naye paridhan
Naye Naye lep (cosmetics)
Crime thrillers ya Neeli Neeli
DVD chamakti si LCD
Peene ko Blue Label
Khane ko Pizza aur Burger
Processed-imported dibba-band khane
Party karne ke naye naye naye bahane
Dates ke badlane ke sang Saathi ka badalna
'Independent' life.....
Moments me jeena
Plastic Money..... EMI ho to
Kahe bahe paseena
Roj naye rishte
Roj nayee Hasina.

Kahe ka Ram Ram
Kahe ka Ya Khuda
Olddies hain spent-force
Aapni baat juda.
Aao Aramani, Versace
Gucci Bosini Giovoni
Ki baten kare.....
Bullock Cart ko chhodo...chhi
Cartier ko sochen aur aapnaye
'Diesel' uff itna bhi nahin jante
King khan ka favorite brand hai
Tumhe aapne tractor ki padi hai
'Police' khakhi kapadon wale nahin
Mere is kale chasme aur
Katori si 'watch' ka naam hai
Aaap jaise 'backward' hai
Isiliye India baadnam hai.
Chhodo kali,chaman aur phool ki baten
Aao gayen POP aur karen 'cool' si baten
Jab aaye vasuli ko bank ke numayande
Meri mom choopa lena mujhe apne daman men
Budha gaata tha na-
'Meri Duniya hai Maa tere Anchal men.

Tu kehte ho chhodo 'Showmanship'
Chhodo dikhawa
Hosh men aao
Tum kya jano in 'mod' baton ko
'Show Must Go On.'
Bas j...e....e...l..o aaj ke liye
Kaal kisne dekha hai..
Kahe 'confess' karen
Aao na 'impress' karen..............

No comments: