Monday, September 29, 2008

Damit Bhavnayen : Nayeda

Damit Bhavanayen.............
(In English language this is 'REPRESSION' or 'SUPRESSION'..........yah hota hai jaab durbhagyawas hum swayam ko tan aur man dono hi star par EXPRESS nahin kar pate.....karan hai hamari conditioning jo barson se hoti jati hai aas-pas ke dawab ke karan,ya hamari 'confused' sochon ke karan. ya inflated ego ke karan........ Repression vyakti ki bhasa aur vyvhar men jhalakne lagta hai. A repressed person becomes violent-to others or to oneself or to both.)

Damit bhavanayen
Kabhi bhi jeene ka
Marg nahin ho sakti
Woh marg hai hi nahin.
Weh chali jati hai achetan men
Karti hai pratiksha
Na jane kis mukti ki
Aur tanik se uksane se
Ho jati hai prakat
Dhare roop
Hinsa ka, Irshya ka,
Sasti kamukta ka
Awsad ka.................

Damit bhavnayen
Deti hai aisa jeewan
Jo na chaha gaya tha,
Karati hai aise kritya
Jinko karne ki chah
Kabhi na thi,
Aur dikhati hai marg
Swa-vinastikaran ka,
Swayam ko kuchh aisa banane ka
Jo swa-satva ke viparit ho.

Damit bahvanayen
Bana deti hai insan ko
Khud se hi aanjan
Apne ghar men Ajanabi,
Aur paravart karti hai Usse
Aek dheeme vish ka pan kar
Aek mand gati ki nirtantar
Ghatit Atma-hatya ke liye,
Bana kar jeene ko mahaj
Saans lene ki prakriya athwa
Manav ke awaran men
Danavta ki nispatti ka.

Damit Bhavnaon ka
Sakaratamk praktikaran
Unki vivek purna rihayee
Kholtee hai dwar swamukti ke
Karuna ke, Prem ke
Aur sauhard ke.
Yaad aata hai Sigmund Freud
Ka manana ki
Hinsa-pratihinsa ke jad men
Hai damit bhavnayen
Damit Bhavnayen...................

No comments: