Mujhe sparsh karo apni kaya se
Darshao kya hai tumhare maan men
Mujhe mehsoos karne do
Tumhare moun sochon ko
Jo yug-yugantar se bah rahe hain
Un kalatit rahashyon ko
Jo avyakt hain
Tapt dehon men chhupe udvegon ko
Aaindrik uttejana ke antim chhaur par
Chandralokit taral swapan ko
Swas ki gati se parichalit dhwani ko
Resham se vicharon ko aur
Ushna siskiyon ko.
Do alinganbadh jism
Nirvashan chandani men
Aek prachin nartya
Aek udvegmay kathanak
Maan jude hain
Mastisk jude hain
Bhav bah rahe hain
Ehsas sukomal prakash men
Khil rahe hain.
Aise ghatit ho raha hai prem
Do atmayen ho rahi hai aek.
Monday, September 29, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment