Krishna, Budh, Mahavir, Isha, Muhammad ne,
Na chaha tha ki,
Unki 'brand' laga koi 'product' ho.
Hindu,Boudh, Jain, Ishai, islam naamon se,
Koi dharm ho.
Hum jaison ne unki sochon mein,
Payee thi sachayee.
Andhkar ko cheer,
Aage badh jane ki prerna.
Pehli-dusri pidhee ne sun kar,
Prasast kiya tha nij marg.
Fir aayee thi nakalchiyon
ki ek bhid.
Jisne Ghad li thi apni apni paribhashayen.
Bana dale the nagphash se kuchh bandhan,
aur baant liya tha manawta ko.
Manishiyon ne mukti ki baten ki thi,
Apne se apne ko jagane ka udghosh diya tha.
Kaha tha,
Tumhe apna marg swayam banana hai,
Kisi ke pad chinho par chal khud ko nahin khona hai.
Kintu bahurupiyon ko bhay tha,
Bhid haath se na nikal jaye,
Aur dhal liye the Boudh,Jain Muslim, Isai aur Hindu.
Kaisi nafrat failayee hai,
Mohabbat ki aad mein in jalimon ne.
Kahten hai baten vishwa bandhutva ki,
Par na ek muslim ek hindu ka bandhu ban sakta hai,
Aur na hi ek khristan ek boudh ko gale laga sakta hai.
Apni apni ghor andheri kothriyon ko,
Samajh baithen hai ye vishwa.
Bhatka rahe hai hum tum sabko,
aade thede tirchhe raston par.
Jo raste mahaj raston men hi paband hai,
Na pahuncha sakenge humko manzil tak.
Aao in pote hue rango ko dho dalen,
Karen apni shuruat khud se,
Aur garv se kahen:
HUM 'Swayam' hain.
HUM 'Swayam' hain.
HUM 'Swayam' hain.
Monday, September 29, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment