Monday, September 29, 2008

Darpan ka Ajanabi Pratibimb : Nayeda

Kaisi vidambana hoti hai jab vyakti khud ko aapne ghar men ajanabi mehssos karne lagta hai.........aisi hi aek mitra ka manovishleshan karne ka awasar mila......is rachna
ke madhyam se aapke saath share kar rehi hun.
********************************************************************

Meine us din
Darpan men
Apne pratibimb
Ko dekha aur
Laga mein apne ghar
Men hi nahin
Khud se bhi ajanabi ho gayi hun
Woh chehra jana pehchana tha
Magar Bhav aaprichit se the.
Kyon Hua Aisa ?
Meine swayam ke adhurepan ko
Swayam ke khalipan ko
Unke pyar se bharne ke bajay
Un par andhikrit swamitva
Ke sanyojan se
Vijit karne ki muhim ki thi,
Unhe apne shashan ki dor men
Bandhne ka dusprayas kiya tha
Unka swatantrya haran kiya tha
Jinhone mujhe bharpoor prem
Aur samman diya tha.
Meri heen bhavna aur
Dwesh ne mujhe chahte hue bhi
Unhe pyar nahin karne diya tha
Unke sah-astitva ko sweekarane
Nahin diya tha.
Din raat mere soch bas rachte the
Chakravyuh
Jiska ghera kalantar men
Mere irdgird pad chuka tha
Aur mein nirih si
Chitkar rahi thi
Mujhe Bachao !
Mujhe Bachao !

Hum dusron se bach jaten hai
Ya bhram pal lete hai bachne ka
Parntu swayam se nahin nizat pa sakte
Apradhbod baheliye ki tarha
Peechha karta hai
Lakh chhupne par bhi khud
Se chhupna na-mumkin hota hai
Aur shikar ho jaten hai
Us shayyad ke panjo ke
Jo bahir se nahin andar se
Nochata hai.
Shayad kshma karne ka prarambh
Hum swayam se hi kar saken
Swayam ko swayam ke gunahon
Ke liye kshama kar
Fir pa saken aisa jeewan
Jismen sukoon ho, shanti ho, maitri ho
Aur prem ho aur
Hamara hridaya alokit ho
Karuna se.

No comments: