Sunday, September 28, 2008

Prakrati Se Aekatva..............:Nayeda.


Jab bhi jindagi rula deti thi,
Apni chhaya bhi saath chhodti lagti thi,
Dusron ki nazren hikarat ke nazare dikhati thi,
Meri duniyan aaundhe munh girati nazar aati thi,
Mein…………….
Dusron ki nazron men dekhna chhod deti thi.

Dekhti thi Ped ko,
Jo chhaya, phal aaur phool deta hai dariyadili se
Bina kisi aaskti ke.
Mehsoos karti thi Dharati ko
Jo beej ko ankurit kar paudha banati hai
Bina soche tanik bhi- kisne boya hai ? … kaun bhogega?
Bilkul maa ke dular ki tarha.
Jo apne bachchon ko bina apeksha ke prem karti hai aaur
Kshama bhi karti hai yadi koi balak kar deta hai
Vyathith uske hriday ko.
Sunati thi pakshiyon ka chahchana,
Jo bhor ke madhurim mahaul men madhurya gholta hai
Panchhi jo gaten hain apni mouz men
Bina kisi daad ya wah-wah ki parvah kiye.
Chhu leti thi komal sundar phoolon ko
Jo kanton ke saath rahte hue bhi muskate hai
Bina kisi pralobhan ke khusboo failaten hain aaur
Bhramar se maitri nibhaten hai.
Mein dekhti thi kal-kal bahati nadiya ko
Jo bina kisi vywadhan aaur kuntha ke
Bahi jaati hai milne samandar se
Jo bahut sudur rahata hai aaur
Karti hai harit usko saath denewale
Kheton aaur bagichon ko ko
Deti hai apni takat (Bijli) padosiyon ko aaur
Bujhati hai pyas jane-anjanon ki.
Nirakhti thi Him-acchadit parvaton ke shikharon ko
Jo samman men sir uthaye adig khade hoten hain
Aaur apne upar aaur aas-pas dete hai jagah
Vrikshon ko, barf ko, jeevon ko,
Hamare aradhya devi-devtaon ko
Aaaur swayam ki khoj men nikle rishi muniyon ko.

Prakrati ke saath yeh maitri
Pun: le aati thi mujhe
Swayam ke pas,
Prem aaur karuna ki bhavna mujh men jaga kar
De jati thi mujhe insan hone ka ehsas.
Aaaj meine prakrati ko apne men basa liya hai
Vriksha,panchhi, dharati, nadiya,parvat hain mere antar men,
Meri aankhon ke samne aaur meri saanso ke kareeb
Aaur de rahe hain mujhe
Hansane ki prerana,
Jeene ka anand,
Jiwan shakti,
Khud ki pehchan aaur
Prem bilkul shart-rahit
Swayam ke prati aevam
Samast chetan-achetan ke prati.
Yah Harsh hai aek Utsav ,
Manusya aaur prakriti ke
Milan ka.
Aaaur ha is daivik yog ka
Pratiphal jo
Shaswat hai……
Sangeetmay hai aaur hai
Khusnuma.


( Yah abhivyakti kavi hridaya ki khusfehmi hai……..kash! aisa ho jaye….kyonki aisa ho sakta hai.)

No comments: