Monday, September 29, 2008

Granthi ka Visarjan : Nayeda

Bair se nahi mitaya,
Ja sakta hai bair ko,
Pratishodh nahin,
Bujha Sakta dahkte pratishodh ko.

Prem ka neer,
Mitata hai bair ko,
Kshma ka jal,
Bujhata hai pratishodh ko.

Purani baten.
Purane aghat,
Yadi laten hai smriti men,
Pratishodh,
Janam Jata hai privarti men.

Nahi rakhten hai,
Das sal purana calendar ghar men,
Fir kyon baten us-se bhi purani,
Aa jati hai swar men.

Khand Khand hota hai manav man,
Sarowar ki shusk mitti ke tulya,
Jahan jal samapti par padti hai dararen,
Agan ban jate hai nafrat ke sharare.

Jis maan men hoti hai,
Katuta, kalah aur dwesh ki bhavna,
Wah chit kshudra hota hai prem-rahit,
Aur deta hai,
Apne aham aur krodh se,
Swayam aur anyon ko partadna.

Itihash ke panno men jahan bhi rakt bahe,
Pratishodh ke bimb the lahraye,
kyon na hum jiwan bodh jagayen,
Pratishodh hata prem ganga bahayen.

Granthi ka visarjan hota hai,
Santulan,Samyam aur Sakshi Bhav se,
Sweekaren Samagra ko aur jagrit ho,
Hokar mukt heenatva prabhav se.

(Ek jagrit manishi ke vicharon se prerit)

No comments: