Monday, September 29, 2008

Shunyata aaur Purnta : Ankit

Sarita Pravah-man
Sagar men
Kintu
Sagar nahi
Bharta kabhi aur
Na hi
Sarita hoti
Khali kabhi.

Samast pravah
Jal ka sarita se………
Nahi karta
Shunya usko,
Kahan hai
Shunyata
Dene se.

Sarita jal-shunya
Ho kar bhi
Kya poor sakegi
Sagar ko,
Jo kahlata
Paripoorna kintu
Lene ko tatpar
Nishidin.

Daiy sarita ka
Shunyta men,
Prapya sagar ka
Purnata men,
Kaisi hai yah
Krida
Sampadit nirantar .

Prapti hai
Shunyta bhi
Purnata bhi
Aevam
Pratidan bhi Hai
Purnta bhi
Shunyta Bhi.

Nar aur Nari
Pravahit hai
Ek duje men
Unki prapti
Hai aek duje men
Prashan hai anutha,
Kitna saamjhe
Hum
Shunyta ko,
Kitana Jane
Hum
Purnata Ko?????.

No comments: