Monday, September 29, 2008

Aahat : Ankit

Tumhare
Aane aur
Jane ke
Kadamon
Ki aahat
basi hai
Mere tasvvur
Men.

Paata hun
Tujhe
kabhi kareeb
Kabhi Door
Kabhi bejari
Kabhi suroor.

Ehasason
Ke yeh manjar
Chubhten hai
Ban ke
Khanjar;
Dete hain chhanw
Ban ke
Shajar.


Tasvvur=khayal,kalpana/thought,imaginatiom.Bejari=trasta/disgust,chagrin Shajar=vriksh/tree.Suroor=anand/joy.

No comments: