Monday, September 29, 2008

Bhado Baras Raha Hai.........: Ankit

Aao Priye !
Dwar ke patt kholo
Bhado baras raha hai.

Sankucha raha hun
Mein yun hi khada,
Dekh rahi ho
Tum us khidaki se
Jise too ne sanson
Ke liye khula rakh chhoda hai
? ? ? ? ?...........................

Mein to bhramit tha
Mere Basant ke
Paton ko tere aham ki
Aandhi gira chuki hogi
Vraksh se---
Khila chuki hogi too
Nayi kompalen
Aur kar rahi hai
Pratiksha
Apne nav man-meet ka
Hriday ka ‘vatayan’
Khole.

Aaj khade dekha hai
Tujkho Priye !
Nitant akela
Nayan
Bichhaye iss khidaki par
Lete hue wahi saanse
Jo kabhi hoti thi
Sanjha
Teri aur Meri……….

Man leta hun
Tum sach ho aur
Nahin rahi tu men
Aab jeene ki lalsa.
Fir kyon khuli hai yah
Khidki………
Un saanso ke liye
Jo aab nahin hai
Tumhari Avashyakta ?

Hath* Chhodo
Jara hridya ko
Naynon men lao.
Mein vyakul hun
Tadaf raha hun
Pane fir se tera saath,
Aao Priye!
Dwar ke patt kholo
Aab bhi
Bhado baras raha hai.


*Jidd.

No comments: