Chhan chuke hain hum khak is jamane ki
Na samjh paye wajah unke muskurane ki.
Doob jane ki kabhi na rahi unaki fitrat
Yahi wajah hai shayad guhar churane ki.
Khud-garzi se samete rahe sarmaya har pal,
La-pata hai kyun jab aayi ghadi chukane ki .
Unhe manjoor hai dhahana O Girana ghar ko
Baithe the munde aankh kaisi ada bahane ki.
Haqiqat se do char hona na munasib hai unko
Din Rat padha karte hain jild jhoote fasane ki.
Khilana gawara nahin unko kisi ka ya-rab
Shikane lalat ki kehti dastan dil jalane ki
Monday, September 29, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment