Hey Swayam !
Kuchh lamhe aate hai
Tumhare jeewan men
Jab duniyan
Chhod deti hai
Tum ko
Nitant Aakela
Koi nahin hota
Aas-pas
Maan ke bhi,
Taan ke bhi,
Rooh ke bhi..
Ghir Jate ho tum
Wasna
Lalsa aur
Vedna ke
Bhavon se.
Tanha Dil lagata hai
Mang-ne
Apni AAZADI…….
Nestonabood karte hue
Duschinta ke duniyawi
Kanoonon ko--- yaa
Kuchalte hue
Marsiye ke
Dard bhare naalon ko.
Ya-Rab !
Khubsoorati
Aur gathila badan liye
Dev Purush sa
Aek Insan
Kamp raha hai
Jalim toofani
Samandar ke
Beech.
Yaa
Usi Taraha
Aekaki khada
Rog Grast aek
Vishal Ped
Danwadol ho raha hai
Jo cheer kar
Bant gaya hai
Kai Hisson men.
Hamesha
Hoten hain
Jeewan Sangharsh
Ke aise kai
Udaharan
Sammukh Tumhare,
Jab bhi tum
Hote ho Nitant
Aakele,
Aur Koi Nahin Hota hai
Aas-pas.
(Nestonabood=Udhwast. Destroyed/Annihilated. Nala=Artanad. Wail. Marsiya=Shok-geet Elegy. )
(Meine consciously lamhe(Pal/kshan), tanha (Aakela), rooh (Atma), marsiye. Nestonabood, Aazzadi(Swatantrata),Insan(Manav)Toofan (Andhad) aadi shabdon ka
prayog kiya hai……mere anusar bhasa ko saundarya dene aur Hindi-Urdu ki dosti ka
ek chhota sa kirdar nibahne ke liye…iss sambandh men bhi aapka ‘feedback’ chaheti un…..kripaya apni tippaniyon men kahen; mera marg-darshan hoga.)
Monday, September 29, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment