Krishna hai swayam men aek dharm,
Samajhna hai hum sab ko yah marm.
Geeta manan ki hai aek dharmik drishti,
Dasatwej hai anamol vishay samaji srishti.
Gayen hai Shyam Sundar ke madhur Tarane
Faiyaj,Gulam,Rasulan,Akhtar nam na anjane.
'Wajid Ali Shah' likhit natak ‘Kissa Radhe-Kanhaiya ka
Abhinay jismen karte the khud nawab Bansi-bajaiya ka.
Syed Ibarahim ‘Raskhan’ ki kavit hai bari nirali,
Manus aur Pashu bas basen Gokul baat keh dali.
Orissa men aaj bhi jab lage Jagannath se preet,
Kavi 'Shalbegh' ke mukhrit hoten hain tab geet.
Krishna aadharit kalakrityon ka hota jab-jab mulyankan,
Yaad kiya jata hai 'Mewari Sahibdeen' ka Bhagwat chitran.
Akbar pujta tha Krishna ko hota tha nitya Bhakti sangan,
“Shyam-Ghanshyam umad-ghumad aayo” ‘Tansen’ ki tan.
Reetikaal ke kaviyon ne kiya Krishan Ras-varnan Amol,
Alam-Shekh aur Mubarik ki ras-rachnaye thi munh-bol.
Aao parva janmasthami ka mil jul, Geeta ga kar manayen,
Kinkritvyavimudh khade kyon hai hum, atankwad bhagayen.
Monday, September 29, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment