Monday, September 29, 2008

Utkantha Shyam Milan Ki : Ankit

Utakantha Shyam Milan ki.................
Rachna ki prastuti do bhagon men hai.

Pahila bhag parichay de raha hai Aek aisi Krushna bhakt 'Naari' ki jo apni utakantha ko kavya men dhal-ti thi aur Shyam Salaune ko apne premi/jeewan saathi ke roop men dekhti thi aaur unse milan ki utakantha ko liye saansen leti thi. Shayad aap 'Meera' ke liye sochne lagen hai........ji nahin, woh koi aaur thi.

Doosara bhag aek rachna hai jo unke kavya se prerit hai.

SHRI KRISHNA KO SAMARPIT HAI YAH PRAYAS. Neelmai Manmohan.......sharnam mam:.

Aap sabhi Mitron Ko 'Shayam Salone' ke janmotsav par anand-kamanayen.

Parichay aek anuthi Krishna Premika ka........
Krishna Bhakti men dakshin Bharat ki ‘Aantal’ ki bhakti-parak rachnaon ka vishes mahatva hai.Aantal Tamilnadu se thi aur navami sadi unka samay kal tha. Woh bhi Meera Bai ki tarha Srikrishan ko apne pati ke roop men dekhti thi aur vishwas rakhti thi ki woh bhi peechhle janm men aek Gopi thi. Krishna ko apne premi ke roop men dekhti thi aur unse ‘Milan’ ke liye vyakul rahti thi. Unki kritiyan jinmen unhone krishnaprem ki anuthi abhivyakti ki hai: ‘Tirupavvayee’ aur ‘Nachchiyar Tirumoli’ hai. Jahan Meera (1498) ke kavya men bhakti-may ‘expressions’ hai wahin ‘Aantal’ ke kavya men bhakti ke saath sringar, Krishna ke saath sharirik sampark ki utkantha ke roop men, abhivyakt hua hai. Unke lekhan ke marm men vichakshan, atikraman, sahgamita ke bhav hai aur
Inhi bimbo ki kalpana unhone ki hai.
Chunki Uttar Bharat men ‘Aantal’ ke bare men logon ki jan-kari adhik nahin hai, mein
Aaj Krishan ke janam din par unki is ‘devotee’ ya ‘beloved/lover’ ke bare men thoda sa
Vivaran aap mitron se ‘share’ kar ke prasannata anubhav kar raha hun.

Meri iss rachan ka marm ‘Aantal’ ke bhavon se prerit hai.

Utakantha Shyam Milan Ki................


Na jane kitne diwas,
Manjhdhar men rahi
Lahrati Mein……..
Aur Bhanwar men thi
Adolit………..
Nayan mere rahe talashte
Shyam-Salaune
Venkateshwar ko.

Aaj Aayee
Rajni Milan ki,
Deh men mere
Tootan hai
Aeinthan ha,
Aaur maan hai,
Ullasit,
Anandit aevam
Mad Unmatt.

Mialan-sanyog
Ki uttakat
Adamya
Aakanksha se
Vakshobh mere
Hain vikasit
Aur adhar hai
Raktim…..
Tan-man mera
Hai utsuk,
Ullasit
Aaur atishay vyakul.

Tivra-vedna
Deeragh virah ki
Hay ! De Gayi Mujhko
Peeda ka
Aek aseem samudra.

No comments: