Monday, September 29, 2008

Ghutan Aaur Khule Dareeche : Nayeda

Jab bhi
Aadhi raat ke bad
Ladkhadate kadam liye
Munh men daru ki bass liye
Lal batti ilake se lout
Ghar aata tha to
Kehta tha :
“Ghutan Ho Rehi Hai-Badjat !
Daricha khol Do Taki
Taza Hawa Rahat De.”
Who khidaki khol
Sar-e-daman-e-shab
Chand taron ko tak-ti thi
Uski di hui choton par
Lal dawa lagati thi
Aur uske barhana kharraton
Ko suna karti thi.

Ghutan
Usko bhi
Mehsoos hoti thi
Us kafas men
Jo us hareem ka hi nahin
Uski dast-e-gam jindgi
Ka bhi khitab tha
Uske nohe jag jag kar
Kashakash-e-marg-o-jindagi se
Nidhal ho
Baar baar Aawaz dete the
Aao !
Mujhko khijan ke bemahar
Talkh ehsas se bachao.
Achanak koi aisa
Aaya tha uski rahon men
Jise uske soch andaz
Aur wuzood pe dil aaya tha
Jo uska sharik-e-gam-khudayee
Ban sukoon de reha tha.
Uski chahat
Sukhe biyawan sahra men
Bahar-e-gul le aayi thi
Lakhon surkh gulab
Apni khushbuyen bakher rahe the
Usko lagne laga tha
Khuda ne us par karam kiya hai
Uski tang jindagi ke
Band dariche ko khol
Thandi hawa ka jhonka diya hai
Ghutan se nizat di hai.

Fir aek din
Wahi sayyad
Aapne sang ‘Samaj’
Nam ke aek bahubali
Ko le aaya
Jo apahiz tha
Aur baisakhiyon par
Chalta tha.
Aek baisakhi ‘Majahab’
Kehalati thi jo
Bar Bar Farz ki
Duhayee deti thi
Dusari ka naam
Kanoon tha jo
Uske ghutan ke hone ko
Sabit karne ke liye
Barson ki saza deta tha.
Lal aankhe tarere
Who bahubali
Kabhi is baisakhi se
Kabhi Us baisakhi se
Use chot pahunchata tha
Aur use ta-zindagi
Mankooha bane rehne ki
Takrir karta tha.

Begairat,Bewafa,Behaya
Na jane kya kya
Namon se use pukara
Ja reha tha.
Jiska aasal haqdar
Who aadami tha jo
Us ‘Samaj’ ka haath pakde
Khada tha
Jo soya hua tha
Us Waqt jab kisi ka
Dum us badaboodar
Andheri jindagi men
Ghut reha tha.

Aagle din ke akhbar ki
Surkhiyan thi:
‘Najayaj Rishton ne Do ki Jaan Li.’
‘Vivahetar Sambandh-Premiyon ki Atamhatya’
‘Love Triangle-Two Dead’
‘Samaj’ ke izaredar
‘Society’ men girati hui
‘Moral Values’ ke liye
Fikrmand ho rehe the
Aur who donon
Mohabbat karnewale
Hathon men Hath liye
Sanson ki sansat se azaad
Bekhabar….Aek lambi si
Neend so rehe the.

Kareeb hi men
Radio par Mallika-e-tarnnum
Noorjehan ka purana
Nagma baj reha tha
“Khuda Khud Pyar Karta hai
Muhabbat eek ibadat hai”

Mayne:
Dreecha=Window. Sar-e-damaneshab=Last part of the night. Barhana=Naked. Kafas=Cage. Hareem=Four Walls of a house.Dastegam=Jungle of sorrows. Nidhal=Exhausted. Khija=fall,patjhad. Talkh=Bitter.Andaz=Manners/Mannerism Wujood=Existence Shareekegam-khudai=Involved in the miseries of world. Sukoon=Mental peace. Biyaban=Desert, Forest. Sahra=Desert.
Baharegul=Season of flowers. Surkh=Red. Karam=Generosity. Sayyad=Hunter, Fowler
Baisakhiyan=Crutches. Majhab=Religion Farz=Duty Mankooha=Wife. Ardhangini.
Takrir=Speech. Begairat=Shameless.Bewafa=Unfaithful.Behaya=Shameless.Nazayaj=Illegitimate. Izaredar=Monopolist, thekedar.Fikrmand=Worried. Ibadat=Worship.Kashakash-e-margo-jindagi= Struggle of life and death(Jindagi-maut se jujhna).

No comments: