Fasla chand kadmon hi ka tha Mere hamnashin
Do kadam tum na chale do kadam hum na chale.
Daman-e-waqt doobata tha garam ashkon men
Mere din yun hi dhale- raaten meri yun hi dhale.
Dil ke arman khamosh si dastaken dete hi rahe
Labon ke band darwaje hum se hargiz na khule.
Massoom khwabon ki thi woh be-juban chahat
Sanson ke hindole men jhule aur nazon se pale.
Garur-e-husn mera woh ishkiya deewanagi teri
Tariquiyon men bas hasraton ki shammen jale.
Kash! sun lete meri dhadaknon ki thaki si sada
aab aalam hai ya rab! hum teri duniya se chale.
Monday, September 29, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment