Monday, September 29, 2008

Aandhkar aaur Prakash : Ankit

Tam ki chinta chhodo
Prakash ko pradipt karo.

Jo sochten hai
Sochte rahte hai
Bas tam ka
woh nahin pahunch pate
Kabhi Prakash tak.

Hota hai har jiwan men
Andhkar
Kar use swikar-angikar
Kuchh log
Ksheen kar lete hai
Prakash prapti ki
Akanksha ko.

Yah swikriti andhkar ki
Ek paap hai
Apradh hai
Tumhare apne prati hi
Yahi janmata hai
Dusron ke khilaf
Tum se hone wali
Nadaniyon ko
Tumhare nirapradh apradhon ko.

Kuchh log
Andhkar swikarya se bachne
Jut jate hain
Satat use
Nakarne men
Aur andhkar ka nishedh
Ban jata hai unka
Ek matra upkram.

Bhool hoti hai
Tam ki hasti ko swikarna
Uski kalpnik satta ke sammukh
Sir ko jhuka dena.

Waisi hi bhool hoti hai
Us se bewajah ladna
Dono hi hai bhram manuj ke
Dono hai agyan
Sadiyon se sadhaye huye
Manav man ke.

Andhkar kuchh bhi nahin
Hai prakash ka na hona
Prakah ka aagman hi
Mita deta hai
Ghor Tam ko
Kar alokit kan kan ko.

Andhkar se ladna matra
'Aa'-'Bhav' se ladna hai
Ek bahtkaw hai
Ek vikshipatata hai
Ardh chetan man ki.

Ladna hai to
Tam ko mitane nahin
Prakash lane ke liye lado
Prakash pa kar
Prakash la kar
Tam ko swat:
Mitne do.

Na tam ko sweekaro
Na tam ko nakaro
Na tam se lado
Tam tumhara lakshya nahin hai
Tumhara gantvya hai Prakash.

Utho! aage badho
Pane Prakash ko
Lane Navjyot ko
Jo tam ko nigal kar
Kar de roshan
Tan Man ko.

No comments: