Jeewan,
Aek Sanjha Natak,
Deh aaur Atma ka,
Jise khel rahen hai
Hum sab,
Sansar ke,
Vishal aaur Vrihat
Rang Manch par.
Meine,
Apni rachnaon men,
Shaiyya ke sukh
Pane ya na pane ki
Baten ki athwa
Shamshan ko apni
Manzil banaya.
Meri har
Khushi aaur
Gum bas rahe
Bhatkate
Shaiyya se
Shamshan tak.
Kyon
Na jana
Hey Prabho!
Jiwan kuchh aaur hai
Vasna aaur
Mrityu ke
Siwa.
Kyon bhool gaya mein,
Hey vibho !
Janm ko
Prem ko,
Souhard ko,
Harsh ko,
Anand ko,
Shakti ko,
Mukti ko,
Tripti ko,
Prakriti ko,
Geet ko,
sangeet ko,
Aganit tathyon ko,
Jiwan ke satyon ko,
Tum ko,
Swayam ko.
No comments:
Post a Comment