(Chaturmas vrat tyohar aaur bhakti ka kaal hota hai......lagbhag sabhi parmparaon men Hindu, Boudh, Jain aaur muslim......Janmastmi, annant chaturdasi,sharad navratra, ramzan,paryushan-samawstari, dus lakshan aadi........to aek chhoti si prarthana Prabhu se, Moula se.)
______________OM_______________786______________OM_____________
Yeh meri jindagi,Prabho !
Kis mod par khadi hai
Manjhdar men hai naiya
Sar par aaften khadi hai.
Dhool bepayan is par
Jamane ne jama di hai
Nisha-n ungali ke hai kahin
Kharonche bhi laga di hai.
Waqt ke thapedon ne
Dhundhala isko banaya hai
Roshani na suhati hai
Aks benoor ho aaya hai.
Bane firten hain charagar
Jaal farebon ka bichhaya hai,
De-de marham-e-jakhm Moula !
Bas tera hi saaya hai.
______________OM_______________786______
Yeh meri jindagi,Prabho !
Kis mod par khadi hai
Manjhdar men hai naiya
Sar par aaften khadi hai.
Dhool bepayan is par
Jamane ne jama di hai
Nisha-n ungali ke hai kahin
Kharonche bhi laga di hai.
Waqt ke thapedon ne
Dhundhala isko banaya hai
Roshani na suhati hai
Aks benoor ho aaya hai.
Bane firten hain charagar
Jaal farebon ka bichhaya hai,
De-de marham-e-jakhm Moula !
Bas tera hi saaya hai.
No comments:
Post a Comment