Sunday, September 28, 2008

Girahe Dhage aur Chadariya: Ankit


Is kavita ko sochne aur likhne ke kram men mein inspire hua teen rachnaon se jinka jikr aur aap se share karna lazmi samjheta hun. Woh hai Mahdur Bhai ki rachna 'Anjan' ka ek she'r,Rahimji ka duha aur Gulazar Sahib ki gazal 'Girahen'


Julahe ne kaha,
Mere jode dhagon,
Ki girahen,
Nahin dikh pati kapde men,
Uski tarkib to nahin,
Bata sakta,
Bant sakta hun,
kyah ha tajurba mera.

Mein kabhi kachhe dhage nahin leta,
Jab bhi tootan hoti hai..aapa nahin khota,
Toote hue siron ko bant kar karta hun eksa,
Thoda pani lagakar thoda ghuma fira kar,
Fir lagata hun ek girha mazbootsi,
Kat deta hun woh hisse,


Jo reh jaten hai bahar girha ke,
Fir paani se kar gila,
Sukha leta hun turant,
Aure bunane lagta hun fir lagatar,
Usi lagan se.

Mein hun Kabir ka farzand,
Na karta hun kotahi,
Na karta hun jaya waqt ko,
Tootne ki baat ko sochne men,
Ya bas girah ko hi dekhne men,
Meri nazar to rehti hai mahaj is baat par,
Chadriya ki bunai ho bas achhi,
Jhonk deta hun sab kuchh,
Usi ko bunane men.

Fir dekhne dikhane ka nazriya bhi,
Ho imandar,
Aap puree chaddar ko hi dekhiye,
Na ki hikarati nazar se us girah ko,
Jiski kitni badi den thi tago ko ,
Jodne men... mere tano-bano ki buniya men,
Woh naa hoti to chaddar na hoti,
Meri Khaddi kya kaam aati fir,
Logon ko bila wajah ladane men.

Chaddar ki khubsoorati,
Aur girah ke vazood ko sweekarna,
Jo dekhna hai usike husn ko dekhna,
Apni tarha hi chadriya ko samjhana*,
Aapki nazron ko badal dega,
Aap dekhenge bas usko hi,
Girah ko aur jod ko nahin,
Khayal rakhna jyon ki tyon,
Dhar di thi jhini jhini chadariya ko,
Ek anpadh-gyani fakir ne
Kisi gujare hue jamane men.

Ae mere Shayar Dost,
Kaha us sayane se julahe ne,
Fark sirf hai nazariye aur nazar ka,
Nazara wohi ha---haquiqat wohi hai,
Bhulane ki aadat nahin hai aapki,
Tabhi har shai ko maapte hain,
Aap apne hi paimane men.


*Insan ke jism men bhi kai girahen/ganthe/jod hain.......aur sochon men bhi.
Hum kyon na julahe ki baton ko samjhen, chadriya sach men nayab ho sakti hai.

No comments: