Sunday, September 28, 2008

Fazul ke Shikawe : Ankit


Mahaaje-shauk se kyun
Aati hai Rudade-jang,
Khalke-khuda teri panahon men,
Men aaya to tha.

Uthaya tha pehla pathar
Mere mohsin ne,
Warna tu-ne mujh ko
Bachaya to tha.

Pyase ki justju men tha
Khwab ik bahar ka,
Sidaf ka sapna
Gauhar ko aaya to tha.

Raste ke patharon ne
Khud aakar di thi choten panwon ko,
Warna mein bhi
Sambhal ke chal paya to tha.

Waqt ne de diya tha
Mauka dasne ka,
Aastin ka sanp kabse
Yehi pal paya to tha.

Jab dekha sahan men gire
Pathron ko,
Shajar ghar ke lade the aanaron se
Yeh khayal aaya to tha.

Bhar gaya tha uska aangan
Falon ke dheron se,
Men na chakh saka to kya
Woh farjan mera hamsaya to tha.

Roshani ke jawan lams ne
Chhode the andhere.. dilon men,
Jugnuon ke jamghat ne
Rafakat ka geet gaya to tha.

Kyun karte ho fazul ke
Shikwe khud se,
Bulndiyon par nazar rakhne ki fitrat ne
Sajo-dastar giraya to tha.



Mahaje-shauk=Battlefield of desires Rudade-jung=News of war Mohsin=Well-wisher
Lams=touch Sajo-dastar=turban(Pagdi) Shajar=Tree Farjan=wise person Hamsaya=neigbour Bahar=ocean,samandar Justju=in search Sidaf=mother of pearl(seepi) Gauhar=pearl Rafakat=peace n happiness(Sukh-shanti) Khalke-khuda=O lord! Master of Universe.

No comments: