Sunday, September 28, 2008

Girahe Dhage Aur Chadriya: Kuchh au baten: Ankit


Ek aadh jagaha thodi hijje ki ya spacing ki galatiyan reh gayi hai maslan 'Bunayi' chhap gayi hai 'Buniya' aur ek stanza ke bich space chhot gayi hai, aisi hi chand aur...umeed hai aap mujhe muaf karten hue makool girah laga lenge.......correction ke saath padhne ke liye.

Aab woh rachnaiyen jinka jikr meine shuruat men kiya tha :

MADHUR BHAI:

kyun kheench diya tumney kyun ghaanth pud gayi,
kachey dhagey[rishtey] ki fitrut sey kyun toon anjaan rhaa.


RAHIM JI:

Rahiman dhaga prem ka, maat todo chatkay,
Toote se fir na mile, mile ganth pad jay.

GULZAR:
Nazm ka unwan hai 'Girahen'

Mujh ko bhi tarkib sikha koi yaar julahe !

Aksar tujhko dekha hai tana bun-te
Jab koi taga toot gaya ya khatm hua
Fir se bandh ke
Aur koi sira jod ke usme
Aage bun-ne lagte ho
Tere is tane me lekin
Ik bhi ganth girah buntar ki
Dekh nahin sakta hai koi

Meine to ik bar hi buna tha ek hi rishta
Lekin uski saari girahen
Saf nazar aati hai mere yaar julahe !


ANKIT:

Doston jab bhi aise mouke aaye
Yaad karen hum julahe ka tajurba
Karen muaayana un toote/khatm hue dhagon ka,
Ek sahi aur Sidhi Sahaj soch ke saath,
Bhigo ke unko mohabbat se,
Dil se nikali muafi ke sath,
Jod den fir se,
Aur lagen bun-ne fir se pyar ki chadriya ko,
Girhon ko nahin,
Dekhenge us sundar si,
Lubhawani se........naram si......garm si..,
Jhini si chadariya ko,
Dhar den use jyon ki tyon,
Jaise dhari thi Badshah Kabir ne,
Us gujare hue jamane me.

Aur gar na ho mumkin,
Jodna un toote dhagon ko,
Girah ban na pa rahi ho mazboot,
Bikhar sakte hon tane bane,
Ya chhid sakti ho chadriya,
To lag jana hai nai bunayi me.
Bhula kar tootan ko,
TooteDhgon ko aur,
Na bani girhon ko,
Ek khubsoorat se kalam ko gun-gunate hue,
"Woh afsana jise anjam tak lana ho,
Namumkin,
Use Ek Khubsoorat Mod dekar,
Chhodna achha"
Na ulajh kar us dard bhare fasane me.


Us gujare hue jamane men.

No comments: