Sunday, September 28, 2008

Kaisa naata hai : Possesiveness: nayeda


Tum se kaisa naata hai yeh mira…..

Tum hote ho to
Milta hai lutf
Satane men thujhko.
Jate ho jab tum door thode
Na jane kyon
Aata hai maza
Girane nazron se tujhko.

Jab koi
Naam bhi leta hai
Tumhara anjane…..
Thode pyar se
Thode israr se,
Lag jati hai aag jane kyun
Mire ujde se dayar men.
Mein teri hun ya nahin
Bhool jati hun mein
Tum sirf mere ho,
Bas yahi khayal rehta
Mire ikhtisar men

Janm se khoya hi khoya hai
Meine............
Na jane aab jo bhi hai pas
Use jakdane ki aadat si ho gayi hai,
Jan-te hue ki kuchh bhi
Nahin hai mera.
Khalipan ,bebasi aaur jalan
Miri fitrat si ho gayi hai.
Sab ehasas mire bas hai upari,
Meri sochen behad sankrhi si ho gayi hai.

Maloom hai mujhe ke
Tumhe dene kuchh nahin pas mire
Meri har muskan rang-e-tauhin ho gayi hai.
Ka se kahun yeh dukhwa hamar
Mujhko bas aisi hi mohabbta ki
Aadat si ho gayi hai.
Yehi mera bas ik pal ka sukoon-o-taskin hai,
Miri jindagi Ik be-manzil safar ho gayi hai.
Ghoot raha hai dum tira mere aagosh men
Tham gayi hai lazzat Tiri
Shakhsiyat-e-sarfarosh men.
Iisar ki kayee takriren hai mire pas ,
Fasane wafaon ke bhi bahot likhe hain meine.
Lafzon ka aek bhanwar kafi hai dubone tujh ko
Mohabbat men marnewalon ki
Kai kahaniyan padhi hai meine.
Mujhse bhag kar, kahan jayega tu,
Maloom hai mujhe,lout ke aayega tu.............................

Mire andar koi karah raha hai
Dard bhare nalon se ye aasman gunjzar raha hai
Aankhon men miri neend ki jagha khauf hai
Baichaini aaur akelapan mujhe
Bemout maar raha hai.
Jeena chaheti hun jindagani magar
Baten miri mout ki hai
Mehbooba hun men tumhari
Sochen miri saut si hai.

Aao nikalo in andheron se mujh ko
Roshani se nahala.. roshan kar do mujh ko
Mein bhatki hui hun apne hi viranon men
Le chal mujhe aye dost !
Mohabbat ke rangi maykhanon men.
Mujh se pehli si mohabbat
Mere mehboob na mang,
Mang le dua miri khatir
Kisi maszid ya but-khanon men.

(Yah poem 'psychology' padhne ke dauran ki gayi aek case study men hasil hue feed-back par ‘based’ hai.)
(Ikhtisar=Gist/saransh. Shakhsiyat=Peronality/vykatitva Sarfarosh=One who is ready to die for a good cause/atma-balidan karne wala. Iisar=Sacrifice/swarth tyag. Dayar=house/ghar/place/jagah Tauhin=insult/anadar.)

No comments: