Monday, September 29, 2008

Kala aaur Goura : Nayeda

Insan kitna hi
Aaage badh gaya ho
Usmen kayam hai
Jadtayen,
Ghrinayen aaur
Paimane wahi hai
Mapne ke.
Hum bhi prabhavitHain:
Goura abhineta
Hue Grant karta hai
Mehsoos ‘Thrill’
Nigro call-girl ke
Saath younachar men
Gouron ki dekhadekhi
Chahe USA ho ya Europe
Hum bhi apna rahen hai
Saundarya ke unke pratimaan
Unki manytayen
Unki tathakathit ‘taknik’.

Hamare
Dil-o-jehan men
Bhara hai
Koot koot kar
Gouri shakhsiyat
Hoti hai behtar
Kali se.
Bhool jaten hain
Hum apne
Shyam salaune ko aaur
Bazar sanskriti ke
Andhanukaran men
Kho jate hain vigyapanon
Ki duniyan men
Ya hoten hai shikar
Is manovarti ko
‘Encash’ karne wale
Bazari bahuroopiyon se.
Kalon ke prati
Apna rahen hai
Hum bhi hikarat
Na jane kyon seench
Rahe hain hum
Apne hi prati ghrina.

Apna rahen hai,
Gudiya unki
Gouri-chithi
Seek ki tarha dubli-patri
Sunhale Balon wali.
Barbie……….
Jo ban chuki hai ‘benchmark’
Hamare naari saundarya ka
Bhool gaye hain hum
Khujuraho,Ajanta, Elora,
Bhuvaneshwar, Karnatka aadi.
Men ankit
Bhartiya saundarya ko.
Barbie banane walon ne
Banayee thi humare liye bhi
Kali Barbie,
Jo nahin biki--- hum
Kalon ke Desh men bhi
Aaur utapadak ko
Badalani padi thi
Aapni Vipanan neeti (Marketing Strategy)
Itna jadon tak jam gayi hai
Hum men Gourepan kee
Durbheeti (phobia) ki
Kali Ladki ka ullekh
Nahin milta kisi
Vaivahik vigyapan men
Aaaur chahiye sab ko gaur-varna.

Utpadak aaur vigyapan
Uksa rahe hain is
Heen Granthi ko.
Hum bhool rahen hai
Aaur de rahen hai badhawa
Rang Bhed aaur Naslvad ko
Jiske liye Bapu ke anandolanon ki
Hui thi shuruat Dakshin Africa men
Diya tha janm jisne
Satyagrah ko…………
Gandhi, Satya Garha aaur
Aazadi Hamri…………

Bazarwad ki aapsanskriti
Bhula rahi hai hamare
Mitti ke khilaunon ko
Who mitti ke laundhe
Aaaur unse bane
Hathi,Ghode, aaur Gudiya
Ya lakdi ka ghoda
Ya kapde ki gudiya………..
Diye jaa rahen hain
Hamari poudh ko
Hatyare,Hinsak aaur
Pratispradhi khel khilaune,
Chahe ‘Miss Universe’
Ka ho khel ya
AK Chhappan ka. Ya
Racing Cars ka…………….

Humen chahiye
Aarthik badlaw
Sochon men paschim ki
Spast-ta aaur ‘fairness’
Na ki apsanskriti,
Kalepan se ‘fairness’
Aur apne bachon men
Hinsa, pratihinsa aaur
Bhayawah Pratispradha ke
Sanskar………………
Aab bhi waqt hai hum jagen
Aaur aapne bharat ke liye
Aek adarsh praroop banayen.

No comments: